रोज़मर्रा के उबाऊ सरल कामों में लगा नम्र जीवन
अपना स्वयं के चुनाव का कार्य है जिसे बहुत प्रेम चाहिए,
त्रस्त दिन के बाद ख़ुशमिज़ाज रहना,
मज़बूत होकर, विकट-छुद्र हालातों में भी रहना प्रफुल्लित,
न ध्यान दो और न सुनो बड़े शहरों के कोलाहल को
सिर्फ़ पुकार सुनो, हे मेरे प्रभु! मीनार से आती घंटी की आवाज़ों की
और इस शोर में स्वयं एक आवाज़ करना
बचकानी कोशिश के भ्रष्ट परितोष का परिणाम है,
पातकियों के घर में करना शयन करते हुए पश्चाताप!
केवल शांति चाह कर भी बात गढ़ते रहना
और धैर्य की विकट परीक्षा में बढ़ते जाना समय का छोर
जीवन की सरल बातों पर इतनी हाय-तौबा, तंगदिली और पश्चाताप!
और ये सारे सेवाभाव-परवाह
दरिद्र धर्म तथा छद्म नैतिकता की सेवा में तत्पर हैं!
मेरे इष्टदेव ने कहा—‘‘छी, अरे यह तो घमंड का तुच्छ व्यापार है!’’
rozmarra ke ubau saral kamon mein laga namr jivan
apna svayan ke chunav ka karya hai jise bahut prem chahiye,
trast din ke baad khushamizaj rahna,
mazbut hokar, vikat chhudr halaton mein bhi rahna praphullit,
na dhyaan do aur na suno baDe shahron ke kolahal ko
sirf pukar suno, he mere prabhu! minar se aati ghanti ki avazon ki
aur is shor mein svayan ek avaz karna
bachkani koshish ke bhrasht paritosh ka parinam hai,
patakiyon ke ghar mein karna shayan karte hue pashchatap!
keval shanti chaah kar bhi baat gaDhte rahna
aur dhairya ki vikat pariksha mein baDhte jana samay ka chhor
jivan ki saral baton par itni haay tauba, tangadili aur pashchatap!
aur ye sare sevabhav parvah
daridr dharm tatha chhadm naitikta ki seva mein tatpar hain!
mere ishtdev ne kaha—‘‘chhi, are ye to ghamanD ka tuchchh vyapar hai!’’

स्रोत :
पुस्तक : सदानीरा पत्रिका
संपादक : अविनाश मिश्र
रचनाकार : पॉल वेरलेन
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.