इंसाफ़  जनता  की  रोटी  है।  
कभी  बहुत  ज़्यादा,  कभी  बहुत  कम।  
कभी  ज़ाक़ेदार,  कभी  बदज़ायक़ा।  
जब  रोटी  कम  है;  तब  हर  तरफ़  भूख  है।  
जब  रोटी  बदज़ायक़ा  है;  तब  ग़ुस्सा।  
उतार  फेंको  ख़राब  इंसाफ़  को—  
बिना  लगाव  के  पकाया  गया,  
बिना  अनुभव  के  गूँधा  गया!  
बिना  बास-मिठास  वाला  
भूरा-पपड़ियाया  इंसाफ़,  
बहुत  देर  से  मिला  बासी  इंसाफ़।  
अगर  रोटी  ज़ायक़ेदार  और  भरपेट  है  
तो  खाने  की  बाक़ी  चीज़ों  के  लिए  
माफ़  किया  जा  सकता  है  
हरेक  चीज़  यक-बारगी  तो  बहुतायत  में  
नहीं  हासिल  की  जा  सकती  न!  
इंसाफ़  की  रोटी  पर  पला-पोसा  
काम  अंजाम  दिया  जा  सकता  है  
जिससे  कि  चीज़ों  की  बहुतायत  मुमकिन  होती  है।  
जैसे  रोज़  की  रोटी  ज़रूरी  है  
वैसे  ही  रोज़  का  इंसाफ़।  
बल्कि  उसकी  ज़रूरत  
तो  दिन  में  बार-बार  पड़ती  है।  
सुबह  से  रात  तक,  काम  करते  हुए,  
आदमी  अपने  को  रमाए  रखता  है—  
काम  में  लगे  रहना  एक  क़िस्म  का  रमना  ही  है।  
कसाले  के  दिनों  में  और  ख़ुशी  के  दिनों  में  
लोगों  को  इंसाफ़  की  भरपेट  और  पौष्टिक  
दैनिक  रोटी  की  ज़रूरत  होती  है।  
चूँकि  रोटी  इंसाफ़  की  है,  लिहाज़ा  दोस्तो,  
यह  बात  बहुत  अहमियत  रखती  है  
कि  उसे  पकाएगा  कौन?  
दूसरी  रोटी  की  तरह  
इंसाफ़  की  रोटी  भी  जनता  के  हाथों  पकी  होनी  चाहिए।  
भरपेट,  पौष्टिक  और  रोज़ाना।  
                insaaf  janta  ki  roti  hai.  
kabhi  bahut  zyada,  kabhi  bahut  kam.  
kabhi  zayekdar,  kabhi  badzayka.  
jab  roti  kam  hai;  tab  har  taraf  bhookh  hai.  
jab  roti  badzayka  hai;  tab  ghussa.  
utaar  phenko  kharab  insaaf  ko—  
bina  lagav  ke  pakaya  gaya,  
bina  anubhav  ke  gundha  gaya!  
bina  baas  mithas  vala  
bhura  papaDiyaya  insaaf,  
bahut  der  se  mila  basi  insaaf.  
agar  roti  zayakedar  aur  bharpet  hai  
to  khane  ki  baqi  chizon  ke  liye  
maaf  kiya  ja  sakta  hai  
harek  cheez  yakbargi  to  bahutayat  mein  
nahin  hasil  ki  ja  sakti  na!  
insaaf  ki  roti  par  pala  posa  
kaam  anjam  diya  ja  sakta  hai  
jisse  ki  chizon  ki  bahutayat  mumkin  hoti  hai.  
jaise  roz  ki  roti  zaruri  hai  
vaise  hi  roz  ka  insaaf.  
balki  uski  zarurat  
to  din  mein  baar  baar  paDti  hai.  
subah  se  raat  tak,  kaam  karte  hue,  
adami  apne  ko  ramaye  rakhta  hai—  
kaam  mein  lage  rahna  ek  qism  ka  ramna  hi  hai.  
kasale  ke  dinon  mein  aur  khushi  ke  dinon  mein  
logon  ko  insaaf  ki  bharpet  aur  paushtik  
dainik  roti  ki  zarurat  hoti  hai.  
chunki  roti  insaaf  ki  hai,  lihaza  dosto,  
ye  baat  bahut  ahmiyat  rakhti  hai  
ki  use  pakayega  kaun?  
dusri  roti  kaun  pakata  hai?  
dusri  roti  ki  tarah  
insaaf  ki  roti  bhi  janta  ke  hathon  paki  honi  chahiye.  
bharpet,  paushtik  aur  rozana.  
insaaf  janta  ki  roti  hai.  
kabhi  bahut  zyada,  kabhi  bahut  kam.  
kabhi  zayekdar,  kabhi  badzayka.  
jab  roti  kam  hai;  tab  har  taraf  bhookh  hai.  
jab  roti  badzayka  hai;  tab  ghussa.  
utaar  phenko  kharab  insaaf  ko—  
bina  lagav  ke  pakaya  gaya,  
bina  anubhav  ke  gundha  gaya!  
bina  baas  mithas  vala  
bhura  papaDiyaya  insaaf,  
bahut  der  se  mila  basi  insaaf.  
agar  roti  zayakedar  aur  bharpet  hai  
to  khane  ki  baqi  chizon  ke  liye  
maaf  kiya  ja  sakta  hai  
harek  cheez  yakbargi  to  bahutayat  mein  
nahin  hasil  ki  ja  sakti  na!  
insaaf  ki  roti  par  pala  posa  
kaam  anjam  diya  ja  sakta  hai  
jisse  ki  chizon  ki  bahutayat  mumkin  hoti  hai.  
jaise  roz  ki  roti  zaruri  hai  
vaise  hi  roz  ka  insaaf.  
balki  uski  zarurat  
to  din  mein  baar  baar  paDti  hai.  
subah  se  raat  tak,  kaam  karte  hue,  
adami  apne  ko  ramaye  rakhta  hai—  
kaam  mein  lage  rahna  ek  qism  ka  ramna  hi  hai.  
kasale  ke  dinon  mein  aur  khushi  ke  dinon  mein  
logon  ko  insaaf  ki  bharpet  aur  paushtik  
dainik  roti  ki  zarurat  hoti  hai.  
chunki  roti  insaaf  ki  hai,  lihaza  dosto,  
ye  baat  bahut  ahmiyat  rakhti  hai  
ki  use  pakayega  kaun?  
dusri  roti  kaun  pakata  hai?  
dusri  roti  ki  tarah  
insaaf  ki  roti  bhi  janta  ke  hathon  paki  honi  chahiye.  
bharpet,  paushtik  aur  rozana.  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : रोशनी की खिड़कियाँ (पृष्ठ 159)रचनाकार  : बेर्टोल्ट ब्रेष्ट 
                             प्रकाशन  : मेधा बुक्स
                         
                                                संस्करण   : 2003 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.