वह समय
जब ताले चेहरों से पहचान करेंगे
आवाज़ों को तौलेंगे
आँखों की पुतलियों से अनुमति ले लेंगे
लौटते हुए लोगों को
जेबों में रखी चाबियों की तरह
अपनी थकान भी साथ नहीं ढोनी पड़ेगी
दरवाज़े किसी गुप्त गणित के इशारे पर
खुलेंगे और बंद होंगे
जैसे घर नहीं
कोई निराकार चेतना हो
इतना जानकार हो जाएगा घर
कि ये शब्द विलुप्त हो जाएँगे
कौन है
‘अंदर आइए’ भी सुनाई नहीं देगा
धीरे-धीरे पृथ्वी से चली जाएगी वह ध्वनि
जो उँगलियों के पोरों और लकड़ी या लोहे के बीच
एक छोटे से पक्षी की तरह जन्म लेती थी
कौन जानेगा, कभी
एक सख़्त सतह पर
बस इतनी-सी थाप पर्याप्त होती थी
कि कमरे में खड़ी स्त्री
अखबार में झुका पुरुष
होमवर्क में जुटा बच्चा
अपने-अपने कामों से सिर उठाकर
दुनिया के प्रति थोड़ा अधिक सजग हो जाते थे
भविष्य के घरों में सब प्रवेश कर सकेंगे
केवल दस्तक नहीं।
भविष्य के घरों में
प्रतीक्षा की कोई उपयोगिता नहीं बचेगी
हर व्यक्ति की स्थिति हर क्षण ज्ञात रहेगी
कौन कहाँ है, किस गति से चल रहा है
कितनी देर में पहुँचेगा
इन सबका लेखा
दीवारों के भीतर बहती हुई
अगोचर संख्याएँ रख लेंगी
तब किसी खिड़की को
सड़क की ओर खुलने की आवश्यकता नहीं होगी
किसी बालकनी को
दूर तक देखने का अभ्यास नहीं करना पड़ेगा
साँझ किसी की वापसी की दिशा में
झुककर खड़ी नहीं होगी
और न ही रात
किसी विलंबित पदचाप की आहट सुनने के लिए
अपनी नींद टालेगी
तब मनुष्य एक-दूसरे के बारे में
इतना कुछ जानते होंगे
कि चिंता के लिए
बहुत कम स्थान बचेगा
और शायद प्रेम के लिए भी
क्योंकि प्रेम का एक पुराना रूप
किसी के आने के समय से अधिक देर तक
जगे रहने में बसता था
कोई घड़ी बार-बार नहीं देखेगा
कोई हवा के हल्के कंपन को
कदमों का भ्रम नहीं समझेगा
सब लोग लौट आएँगे तय घड़ी
और लौटने से पहले ही
उनके पहुँच जाने की सूचना मिल चुकी होगी
केवल प्रतीक्षा
अपने नियत स्थान पर अकेली खड़ी रह जाएगी।
प्रकाश इतना परिपूर्ण हो जाएगा
कि रात को
अपने पुराने कामों से मुक्त कर दिया जाएगा
कोई कोना दृष्टि से बाहर नहीं रहेगा
कोई सीढ़ी अनुमान के भरोसे नहीं चढ़ी जाएगी
कोई चेहरा आधे उजाले में नहीं बचेगा
घर लगातार जगमग रहेंगे
जैसे उन्हें
किसी अप्रकट निरीक्षण से गुजरना हो
तब अँधेरा
अपने लिए एक छोटा-सा कमरा खोजेगा
जहाँ वह कुछ सपनों को छिपा सके
कुछ भय पाल सके
कुछ रहस्यों को जीवित रख सके
मनुष्य सब कुछ देख सकने की
अपनी क्षमता में निश्चिंत होता जाएगा
बिना यह जाने कि उसने खो दी है वह जगह
जहाँ कल्पनाएँ आँखें खोलती थीं।
एक दिन
जूतों के तलवों से चिपकी हुई मिट्टी
घरों से निर्वासित कर दी जाएगी
पैरों के साथ थोड़ी सी धरती भीतर आना चाहेगी
पर हर बार एक अदृश्य चौकसी उसे रोक देगी
फर्श इतने निर्मल होंगे
कि उन पर अतिथि का कोई निशान नहीं ठहरेगा
फर्श इतना स्वच्छ
कि किसी बच्चे की उँगली
उस पर अपना पहला वृत्त नहीं बना सकेगी
मिट्टी को सहेजा जाएगा
काँच के बक्सों में
जैसे संरक्षित किए जाते हैं विलुप्त प्राणियों के अवशेष
उस समय की स्मृति में
जब मनुष्य अपने घरों को साफ रखने से अधिक
उन्हें जीवित रखने की चिंता करता था।
(पाँच)
एक विराम की मृत्यु
घर की हर सतह बोलने लगेगी
तस्वीरें सूचनाएँ देंगी
दर्पण सलाह देंगे
मेजें स्मरण कराएँगी
और छतों के भीतर असंख्य कूट संवाद
लगातार चलते रहेंगे
तब मौन
घर की भाषा में
एक त्रुटि की तरह दिखाई देगा
यदि कहीं कुछ देर तक
कोई ध्वनि नहीं होगी
तो घर पूछेगा, सब ठीक है?
क्या सहायता चाहिए?
कोई समस्या है?
और धीरे-धीरे मनुष्य
मौन को सुनने के बजाय
उसका कारण खोजने लगेंगे
घर का कोई सदस्य चुप होगा
उसकी चुप्पी समझी नहीं जाएगी
ठीक की जाएगी।
सभ्यता ने जब अपनी सभी गणनाएँ पूरी कर लीं
तो पाया
कि एक कुर्सी हमेशा बच जाती है
जिसका कोई निर्धारित उपयोग नहीं
वहीं बैठते थे आगंतुक
और कई बार संयोग भी
इस अतिरिक्तता को हटा दिया जाएगा
नई शताब्दियों के वास्तुकार
स्थान को उतनी ही सावधानी से नापेंगे
जितनी सावधानी से घड़ियाँ समय को नापती हैं
एक शरीर के लिए एक आसन
एक जीवन के लिए एक कमरा
और आवश्यकताओं से अधिक कुछ नहीं
तब लोग मिले बिना दूर नहीं रहेंगे
और विदा कहे बिना
अलग हो जाया करेंगे
घरों में कोई ऐसी जगह नहीं बचेगी
जहाँ कोई अपरिचित
आसानी से अपना परिचय रख सके
दक्षता के उस उज्ज्वल युग में
एक खाली कुर्सी
नक्शे की सबसे पहली कटौती होगी
और संयोग
सबसे पहले बेघर होगा।
ऋतुओं का घरों से संबंध
धीरे-धीरे इतना कम हो जाएगा
कि बादल केवल शीशों के बाहर घटेंगे
घरों का भीतर और बाहर
लगभग एक-सा रखा जाएगा
न तपन को प्रवेश मिलेगा
न ठिठुरन को
ऋतुएँ आती रहेंगी
जंगलों के कंधों को छू कर
घास के रंग उलटती-पलटतीं
पहाड़ों के रंग बदलती हुईं
लेकिन घरों तक पहुँचते-पहुँचते
उनकी सारी उग्रता और कोमलता छँट जाएगी
आकाश भरा हुआ होगा जल से
पर लोगों की त्वचा तक
उसका कोई समाचार नहीं पहुँचेगा
बाहर का संसार
अपने किसी नए चरम पर होगा
पर कमरों में स्थिरता का राज होगा
धीरे-धीरे ऋतुएँ अनुभव से निकलकर
सूचना में बदल जाएँगी।
वस्तुएँ अपने बनने के क्षण से ही
अपने प्रतिस्थापन की प्रतीक्षा कर रही होंगी
उनके भीतर
दीर्घायु होने का कोई स्वप्न नहीं बचेगा
वे उपयोग में आएँगी
चमकेंगी
अपना कार्य पूरा करेंगी
और पुरानी पड़ने का अवसर नहीं पाएँगी
घरों में कुछ भी ऐसा नहीं होगा
जिसकी सतह पर समय ने अपनी उँगलियाँ फेरी हों
किसी रेलिंग की साँस पर
किसी बर्तन की देह पर
किसी हत्थे की नाक पर
वर्षों का स्पर्श जमा नहीं होगा
फिर शायद किसी दिन
किसी अत्यंत नवीन वस्तु की चमक में
अचानक उतर आएगी एक उदासी
मनुष्य ठिठककर देखेगा
उस निर्दोष चमक को
और उसकी आँखों में भर आएगा एक ऐसा शोक
जिसका कोई इतिहास नहीं होगा।
wo samay
jab tale chehron se pahchan karenge
avazon ko taulenge
ankhon ki putaliyon se anumti le lenge
lautte hue logon ko
jebon mein rakhi chabiyon ki tarah
apni thakan bhi saath nahin Dhoni paDegi
darvaze kisi gupt ganit ke ishare par
khulenge aur band honge
jaise ghar nahin
koi nirakar chetna ho
itna jankar ho jayega ghar
ki ye shabd vilupt ho jayenge
kaun hai
‘andar aie’ bhi sunai nahin dega
dhire dhire prithvi se chali jayegi wo dhvani
jo ungliyon ke poron aur lakDi ya lohe ke beech
ek chhote se pakshi ki tarah janm leti thi
kaun janega, kabhi
ek sakht satah par
bas itni si thaap paryapt hoti thi
ki kamre mein khaDi stri
akhbar mein jhuka purush
homvark mein juta bachcha
apne apne kamon se sir uthakar
duniya ke prati thoDa adhik sajag ho jate the
bhavishya ke gharon mein sab pravesh kar sakenge
keval dastak nahin.
bhavishya ke gharon men
prtiksha ki koi upyogita nahin bachegi
har vyakti ki sthiti har kshan gyaat rahegi
kaun kahan hai, kis gati se chal raha hai
kitni der mein pahunchega
in sabka lekha
divaron ke bhitar bahti hui
agochar sankhyayen rakh lengi
tab kisi khiDki ko
saDak ki or khulne ki avashyakta nahin hogi
kisi balakni ko
door tak dekhne ka abhyas nahin karna paDega
saanjh kisi ki vapsi ki disha men
jhukkar khaDi nahin hogi
aur na hi raat
kisi vilambit padchap ki aahat sunne ke liye
apni neend talegi
tab manushya ek dusre ke bare men
itna kuch jante honge
ki chinta ke liye
bahut kam sthaan bachega
aur shayad prem ke liye bhi
kyonki prem ka ek purana roop
kisi ke aane ke samay se adhik der tak
jage rahne mein basta tha
koi ghaDi baar baar nahin dekhega
koi hava ke halke kampan ko
kadmon ka bhram nahin samjhega
sab log laut ayenge tay ghaDi
aur lautne se pahle hi
unke pahunch jane ki suchana mil chuki hogi
keval prtiksha
apne niyat sthaan par akeli khaDi rah jayegi.
parkash itna paripurn ho jayega
ki raat ko
apne purane kamon se mukt kar diya jayega
koi kona drishti se bahar nahin rahega
koi siDhi anuman ke bharose nahin chaDhi jayegi
koi chehra aadhe ujale mein nahin bachega
ghar lagatar jagmag rahenge
jaise unhen
kisi aprakat nirikshan se gujarna ho
tab andhera
apne liye ek chhota sa kamra khojega
jahan wo kuch sapnon ko chhipa sake
kuch bhay paal sake
kuch rahasyon ko jivit rakh sake
manushya sab kuch dekh sakne ki
apni kshamata mein nishchint hota jayega
bina ye jane ki usne kho di hai wo jagah
jahan kalpnayen ankhen kholti theen.
ek din
juton ke talvon se chipki hui mitti
gharon se nirvasit kar di jayegi
pairon ke saath thoDi si dharti bhitar aana chahegi
par har baar ek adrishya chaukasi use rok degi
pharsh itne nirmal honge
ki un par atithi ka koi nishan nahin thahrega
pharsh itna svachchh
ki kisi bachche ki ungli
us par apna pahla vritt nahin bana sakegi
mitti ko saheja jayega
kaanch ke bakson men
jaise sanrakshit kiye jate hain vilupt praniyon ke avshesh
us samay ki smriti men
jab manushya apne gharon ko saaph rakhne se adhik
unhen jivit rakhne ki chinta karta tha.
(paanch)
ek viram ki mrityu
ghar ki har satah bolne lagegi
tasviren suchnayen dengi
darpan salah denge
mejen smran karayengi
aur chhaton ke bhitar asankhya koot sanvad
lagatar chalte rahenge
tab maun
ghar ki bhasha men
ek truti ki tarah dikhai dega
yadi kahin kuch der tak
koi dhvani nahin hogi
to ghar puchhega, sab theek hai?
kya sahayata chahiye?
koi samasya hai?
aur dhire dhire manushya
maun ko sunne ke bajay
uska karan khojne lagenge
ghar ka koi sadasya chup hoga
uski chuppi samjhi nahin jayegi
theek ki jayegi.
(chhah)
sanyog ke liye jagah
sabhyata ne jab apni sabhi gannayen puri kar leen
to paya
ki ek kursi hamesha bach jati hai
jiska koi nirdharit upyog nahin
vahin baithte the agantuk
aur kai baar sanyog bhi
is atiriktta ko hata diya jayega
nai shatabdiyon ke vastukar
sthaan ko utni hi savadhani se napenge
jitni savadhani se ghaDiyan samay ko napti hain
ek sharir ke liye ek aasan
ek jivan ke liye ek kamra
aur avashyaktaon se adhik kuch nahin
tab log mile bina door nahin rahenge
aur vida kahe bina
alag ho jaya karenge
gharon mein koi aisi jagah nahin bachegi
jahan koi aprichit
asani se apna parichay rakh sake
dakshata ke us ujjval yug men
ek khali kursi
nakshe ki sabse pahli katauti hogi
aur sanyog
sabse pahle beghar hoga.
rituon ka gharon se sambandh
dhire dhire itna kam ho jayega
ki badal keval shishon ke bahar ghatenge
gharon ka bhitar aur bahar
lagbhag ek sa rakha jayega
na tapan ko pravesh milega
na thithuran ko
rituen aati rahengi
janglon ke kandhon ko chhu kar
ghaas ke rang ulatti palattin
pahaDon ke rang badalti huin
lekin gharon tak pahunchte pahunchte
unki sari ugrata aur komalta chhant jayegi
akash bhara hua hoga jal se
par logon ki tvacha tak
uska koi samachar nahin pahunchega
bahar ka sansar
apne kisi ne charam par hoga
par kamron mein sthirta ka raaj hoga
dhire dhire rituen anubhav se nikalkar
suchana mein badal jayengi.
vastuen apne banne ke kshan se hi
apne pratisthapan ki prtiksha kar rahi hongi
unke bhitar
dirghayu hone ka koi svapn nahin bachega
ve upyog mein ayengi
chamkengi
apna karya pura karengi
aur purani paDne ka avsar nahin payengi
gharon mein kuch bhi aisa nahin hoga
jiski satah par samay ne apni ungliyan pheri hon
kisi reling ki saans par
kisi bartan ki deh par
kisi hatthe ki naak par
varshon ka sparsh jama nahin hoga
phir shayad kisi din
kisi atyant navin vastu ki chamak men
achanak utar ayegi ek udasi
manushya thithakkar dekhega
us nirdosh chamak ko
aur uski ankhon mein bhar ayega ek aisa shok
jiska koi itihas nahin hoga.
wo samay
jab tale chehron se pahchan karenge
avazon ko taulenge
ankhon ki putaliyon se anumti le lenge
lautte hue logon ko
jebon mein rakhi chabiyon ki tarah
apni thakan bhi saath nahin Dhoni paDegi
darvaze kisi gupt ganit ke ishare par
khulenge aur band honge
jaise ghar nahin
koi nirakar chetna ho
itna jankar ho jayega ghar
ki ye shabd vilupt ho jayenge
kaun hai
‘andar aie’ bhi sunai nahin dega
dhire dhire prithvi se chali jayegi wo dhvani
jo ungliyon ke poron aur lakDi ya lohe ke beech
ek chhote se pakshi ki tarah janm leti thi
kaun janega, kabhi
ek sakht satah par
bas itni si thaap paryapt hoti thi
ki kamre mein khaDi stri
akhbar mein jhuka purush
homvark mein juta bachcha
apne apne kamon se sir uthakar
duniya ke prati thoDa adhik sajag ho jate the
bhavishya ke gharon mein sab pravesh kar sakenge
keval dastak nahin.
bhavishya ke gharon men
prtiksha ki koi upyogita nahin bachegi
har vyakti ki sthiti har kshan gyaat rahegi
kaun kahan hai, kis gati se chal raha hai
kitni der mein pahunchega
in sabka lekha
divaron ke bhitar bahti hui
agochar sankhyayen rakh lengi
tab kisi khiDki ko
saDak ki or khulne ki avashyakta nahin hogi
kisi balakni ko
door tak dekhne ka abhyas nahin karna paDega
saanjh kisi ki vapsi ki disha men
jhukkar khaDi nahin hogi
aur na hi raat
kisi vilambit padchap ki aahat sunne ke liye
apni neend talegi
tab manushya ek dusre ke bare men
itna kuch jante honge
ki chinta ke liye
bahut kam sthaan bachega
aur shayad prem ke liye bhi
kyonki prem ka ek purana roop
kisi ke aane ke samay se adhik der tak
jage rahne mein basta tha
koi ghaDi baar baar nahin dekhega
koi hava ke halke kampan ko
kadmon ka bhram nahin samjhega
sab log laut ayenge tay ghaDi
aur lautne se pahle hi
unke pahunch jane ki suchana mil chuki hogi
keval prtiksha
apne niyat sthaan par akeli khaDi rah jayegi.
parkash itna paripurn ho jayega
ki raat ko
apne purane kamon se mukt kar diya jayega
koi kona drishti se bahar nahin rahega
koi siDhi anuman ke bharose nahin chaDhi jayegi
koi chehra aadhe ujale mein nahin bachega
ghar lagatar jagmag rahenge
jaise unhen
kisi aprakat nirikshan se gujarna ho
tab andhera
apne liye ek chhota sa kamra khojega
jahan wo kuch sapnon ko chhipa sake
kuch bhay paal sake
kuch rahasyon ko jivit rakh sake
manushya sab kuch dekh sakne ki
apni kshamata mein nishchint hota jayega
bina ye jane ki usne kho di hai wo jagah
jahan kalpnayen ankhen kholti theen.
ek din
juton ke talvon se chipki hui mitti
gharon se nirvasit kar di jayegi
pairon ke saath thoDi si dharti bhitar aana chahegi
par har baar ek adrishya chaukasi use rok degi
pharsh itne nirmal honge
ki un par atithi ka koi nishan nahin thahrega
pharsh itna svachchh
ki kisi bachche ki ungli
us par apna pahla vritt nahin bana sakegi
mitti ko saheja jayega
kaanch ke bakson men
jaise sanrakshit kiye jate hain vilupt praniyon ke avshesh
us samay ki smriti men
jab manushya apne gharon ko saaph rakhne se adhik
unhen jivit rakhne ki chinta karta tha.
(paanch)
ek viram ki mrityu
ghar ki har satah bolne lagegi
tasviren suchnayen dengi
darpan salah denge
mejen smran karayengi
aur chhaton ke bhitar asankhya koot sanvad
lagatar chalte rahenge
tab maun
ghar ki bhasha men
ek truti ki tarah dikhai dega
yadi kahin kuch der tak
koi dhvani nahin hogi
to ghar puchhega, sab theek hai?
kya sahayata chahiye?
koi samasya hai?
aur dhire dhire manushya
maun ko sunne ke bajay
uska karan khojne lagenge
ghar ka koi sadasya chup hoga
uski chuppi samjhi nahin jayegi
theek ki jayegi.
(chhah)
sanyog ke liye jagah
sabhyata ne jab apni sabhi gannayen puri kar leen
to paya
ki ek kursi hamesha bach jati hai
jiska koi nirdharit upyog nahin
vahin baithte the agantuk
aur kai baar sanyog bhi
is atiriktta ko hata diya jayega
nai shatabdiyon ke vastukar
sthaan ko utni hi savadhani se napenge
jitni savadhani se ghaDiyan samay ko napti hain
ek sharir ke liye ek aasan
ek jivan ke liye ek kamra
aur avashyaktaon se adhik kuch nahin
tab log mile bina door nahin rahenge
aur vida kahe bina
alag ho jaya karenge
gharon mein koi aisi jagah nahin bachegi
jahan koi aprichit
asani se apna parichay rakh sake
dakshata ke us ujjval yug men
ek khali kursi
nakshe ki sabse pahli katauti hogi
aur sanyog
sabse pahle beghar hoga.
rituon ka gharon se sambandh
dhire dhire itna kam ho jayega
ki badal keval shishon ke bahar ghatenge
gharon ka bhitar aur bahar
lagbhag ek sa rakha jayega
na tapan ko pravesh milega
na thithuran ko
rituen aati rahengi
janglon ke kandhon ko chhu kar
ghaas ke rang ulatti palattin
pahaDon ke rang badalti huin
lekin gharon tak pahunchte pahunchte
unki sari ugrata aur komalta chhant jayegi
akash bhara hua hoga jal se
par logon ki tvacha tak
uska koi samachar nahin pahunchega
bahar ka sansar
apne kisi ne charam par hoga
par kamron mein sthirta ka raaj hoga
dhire dhire rituen anubhav se nikalkar
suchana mein badal jayengi.
vastuen apne banne ke kshan se hi
apne pratisthapan ki prtiksha kar rahi hongi
unke bhitar
dirghayu hone ka koi svapn nahin bachega
ve upyog mein ayengi
chamkengi
apna karya pura karengi
aur purani paDne ka avsar nahin payengi
gharon mein kuch bhi aisa nahin hoga
jiski satah par samay ne apni ungliyan pheri hon
kisi reling ki saans par
kisi bartan ki deh par
kisi hatthe ki naak par
varshon ka sparsh jama nahin hoga
phir shayad kisi din
kisi atyant navin vastu ki chamak men
achanak utar ayegi ek udasi
manushya thithakkar dekhega
us nirdosh chamak ko
aur uski ankhon mein bhar ayega ek aisa shok
jiska koi itihas nahin hoga.
स्रोत :
रचनाकार : दीप्ति कुशवाह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.