यक्ष  ने  पूछा  था  युधिष्ठिर  से  
पृथ्वी  से  बड़ी  क्या  
युधिष्ठिर  ने  जवाब  दिया  था  माँ  
माँ  कोई  एक  स्थूल  रूप  नहीं  
यह  भाव  है  जीवनदाता  के  प्रति  कृतज्ञता  का  
उपयोगितावादी  संस्कृति  के  विस्तार  में  
माँ  सिमट  गई  है  
मातृ  दिवस  की  औपचारिकताओं  में  
उसी  तरह  जैसे  पृथ्वी  दिवस  
पृथ्वी  को  माँ  बताने  वाले  
सरकारी  पोस्टरों  के  चमकते  चेहरे  
तुम्हारी  माँ  कराह  रही  है  
इस  धरा  पर  
उसके  बच्चे  और  बच्चियाँ  
नदियाँ,  पहाड़  और  झरने  
बिलख  रहे  हैं  अपने  होने  पर  
जिनसे  मिलता  है  
तुम्हें  और  तुम्हारे  मतदाताओं  को  जीवन  
वह  उजाड़े  जा  रहे  हैं  निर्ममता  से  
मतदान  करने  वाले  मतदाताओं  
हरी-भरी  पृथ्वी  
मतदान  का  मुद्दा  बने  न  बने  
अपने  और  अपनी  पीढ़ियों  को  
देखना  है  यदि  स्वस्थ  और  सुघर  
बचाना  होगा  गाँव  के  बग़ीचों  को  
पोखरों  में  बचाना  होगा  पानी  
रोकना  होगा  नदियों  को  सूखने  से  
कैसे  देखा  जा  सकता  है  
माँ  के  मन  पर  खरोंचचों  को  
उदास  पृथ्वी  उदास  माँ  ही  होती  है  
             
                yaksh  ne  puchha  tha  yudhishthir  se  
prithvi  se  baDi  kya  
yudhishthir  ne  javab  diya  tha  maan  
maan  koi  ek  sthool  roop  nahin  
ye  bhaav  hai  jivandata  ke  prati  kritaj~nata  ka  
upyogitavadi  sanskriti  ke  vistar  men  
maan  simat  gai  hai  
matri  divas  ki  aupchariktaon  men  
usi  tarah  jaise  prithvi  divas  
prithvi  ko  maan  batane  vale  
sarkari  postaron  ke  chamakte  chehre  
tumhari  maan  karah  rahi  hai  
is  dhara  par  
uske  bachche  aur  bachchiyan  
nadiyan,  pahaD  aur  jharne  
bilakh  rahen  hain  apne  hone  par  
jinse  milta  hai  
tumhein  aur  tumhare  matdataon  ko  jivan  
wo  ujaDe  ja  rahen  hain  nirmamta  se  
matdan  karne  vale  matdataon  
hari  bhari  prithvi  
matdan  ka  mudda  bane  na  bane  
apne  aur  apni  piDhiyon  ko  
dekhana  hai  yadi  svasth  aur  sughar  
bachana  hoga  gaanv  ke  baghichon  ko  
pokharon  mein  bachana  hoga  pani  
rokna  hoga  nadiyon  ko  sukhne  se  
kaise  dekha  ja  sakta  hai  
maan  ke  man  par  kharonche  
udaas  prithvi  udaas  maan  hi  hoti  hai  
yaksh  ne  puchha  tha  yudhishthir  se  
prithvi  se  baDi  kya  
yudhishthir  ne  javab  diya  tha  maan  
maan  koi  ek  sthool  roop  nahin  
ye  bhaav  hai  jivandata  ke  prati  kritaj~nata  ka  
upyogitavadi  sanskriti  ke  vistar  men  
maan  simat  gai  hai  
matri  divas  ki  aupchariktaon  men  
usi  tarah  jaise  prithvi  divas  
prithvi  ko  maan  batane  vale  
sarkari  postaron  ke  chamakte  chehre  
tumhari  maan  karah  rahi  hai  
is  dhara  par  
uske  bachche  aur  bachchiyan  
nadiyan,  pahaD  aur  jharne  
bilakh  rahen  hain  apne  hone  par  
jinse  milta  hai  
tumhein  aur  tumhare  matdataon  ko  jivan  
wo  ujaDe  ja  rahen  hain  nirmamta  se  
matdan  karne  vale  matdataon  
hari  bhari  prithvi  
matdan  ka  mudda  bane  na  bane  
apne  aur  apni  piDhiyon  ko  
dekhana  hai  yadi  svasth  aur  sughar  
bachana  hoga  gaanv  ke  baghichon  ko  
pokharon  mein  bachana  hoga  pani  
rokna  hoga  nadiyon  ko  sukhne  se  
kaise  dekha  ja  sakta  hai  
maan  ke  man  par  kharonche  
udaas  prithvi  udaas  maan  hi  hoti  hai  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : धीरेंद्र धवल  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.