फूल जो तुम तोड़ो—
फूल जो मैं तोड़ूँ—
फूल जो सब तोड़ें—।
तुम मुझे दो—
मैं तुम्हें दूँ—
सब एक दूसरे को दें।
क्योंकि,
फूलों की सार्थकता
दिए जाने में ही है।
यों कि,
फूलों की सार्थकता
लिए जाने में ही है।
दूसरों को अपना फूल देना अच्छा लगता है।
अपना फूल अपनी मुट्ठी में घुटने लगता है।
और भी तो—
कि हम देने की भाव-गंध में विभोर हो उठते हैं।
हाँ—
यह संभव है कि फूलों में कोई
खिला हो, कोई अधखिला,
कि कोई कमल-कुल हो,
कोई पाटल-वंशी—
कि कोई जूही मुग्धा,
तो कोई कुई भी हो।
पर इसीलिए फूलों की क्रूर आलोचना मत करो।
दूसरों से अच्छे फूल लेने में मत डरो।
आओ, आज हम मिल कर मानें—
इस पुराने सत्य को फिर से हम जानें—
कि परस्पर फूल हमें बाँधेंगे।
सब फूलों को मिलाकर हम कुछ नया और साधेंगे...
फूल जो तुम तोड़ो—
फूल जो मैं तोड़ूँ—
फूल जो सब तोड़ें—।
तुम मुझे दो—
मैं तुम्हें दूँ—
सब एक दूसरे को दें।
phool jo tum toDo—
phool jo main toDun—
phool jo sab toDen—
tum mujhe do—
main tumhein doon—
sab ek dusre ko den.
kyonki,
phulon ki sarthakta
diye jane mein hi hai.
yon ki,
phulon ki sarthakta
liye jane mein hi hai.
dusron ko apna phool dena achchha lagta hai.
apna phool apni mutthi mein ghutne lagta hai.
aur bhi to—
ki hum dene ki bhaav gandh mein vimor ho uthte hain.
haan—
ye sambhav hai, ki phulon mein koi
khila ho, koi adhkhila,
ki koi kamal kul ho,
koi patal vanshi—
ki koi juhi mugdha,
to koi kai bhi ho.
par isiliye phulon ki kroor alochana mat karo.
dusron se achchhe phool lene mein mat Daro.
aao, aaj hum mil kar manen—
is purane satya ko phir se hum janen—
ki paraspar phool hamein bandhenge.
sab phulon ko milakar hum kuch naya aur sadhenge.
phool jo tum toDo—
phool jo main toDun—
phool jo sab tanDen—.
tum mujhe do—
main tumhein doon—
sab ek dusre ko den—.
phool jo tum toDo—
phool jo main toDun—
phool jo sab toDen—
tum mujhe do—
main tumhein doon—
sab ek dusre ko den.
kyonki,
phulon ki sarthakta
diye jane mein hi hai.
yon ki,
phulon ki sarthakta
liye jane mein hi hai.
dusron ko apna phool dena achchha lagta hai.
apna phool apni mutthi mein ghutne lagta hai.
aur bhi to—
ki hum dene ki bhaav gandh mein vimor ho uthte hain.
haan—
ye sambhav hai, ki phulon mein koi
khila ho, koi adhkhila,
ki koi kamal kul ho,
koi patal vanshi—
ki koi juhi mugdha,
to koi kai bhi ho.
par isiliye phulon ki kroor alochana mat karo.
dusron se achchhe phool lene mein mat Daro.
aao, aaj hum mil kar manen—
is purane satya ko phir se hum janen—
ki paraspar phool hamein bandhenge.
sab phulon ko milakar hum kuch naya aur sadhenge.
phool jo tum toDo—
phool jo main toDun—
phool jo sab tanDen—.
tum mujhe do—
main tumhein doon—
sab ek dusre ko den—.
स्रोत :
पुस्तक : सूनी घाटी का गीत (पृष्ठ 25)
रचनाकार : प्रभातरंजन
प्रकाशन : साहित्य भवन प्राइवेट लिमिटेड, इलाहाबाद
संस्करण : 1959
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.