उस व्यक्ति से करना चाहता हूँ बात
जो धूल भरी पगडंडी पर
अपनी साइकिल से लटपटाकर
गिर गया है
क्या उसे चलकर उठाऊँ?
हल्के थपथपाकर धूल-गर्द झाड़ूँ?
देते हुए दिलासा
कि यह तो होता ही है भाई
और इसी बीच
उसकी साइकिल के एक अनायास मिले
स्पर्श से पाऊँ
उसके जीवन का ठोसपन
उसकी सुदृढ़ता
वह सब कुछ जो उस दूर पगडंडी पर
उसके साथ बहा चला जा रहा था
होने के इतने बड़े कुछ नहीं के बावजूद
कितना कुछ तो था
उसकी साइकिल पर लदा-फँदा
मैं काफ़ी दिनों से
उस व्यक्ति को देखता रहा हूँ
जो इतना कुछ लिए-लिए
अपनी साइकिल से लटपटा कर गिरता है
उसे उठाने का बनाता हूँ मन
पर उसे किसी की नहीं है प्रतीक्षा
खुद उठता है
अपनी धूल झाड़
चल देता है
बहुत धीमे-धीमे साइकिल चलाता हुआ
कोई धूल भरी खड़खड़िया साइकिल
मुझे भी मिल जाए
तो कबाड़ बनी इस पृथ्वी को उस पर लाद
मैं भी धीमे-धीमे चल दूँ
किसी अन्य ही पगडंडी पर
us vyakti se karna chahta hoon baat
jo dhool bhari pagDanDi par
apni saikil se latapta kar
gir gaya hai
kya use chalkar uthaun?
halke thapathpakar dhool gard jhaDun?
dete hue dilasa
ki ye to hota hi hai bhai
aur isi beech
uski saikil ke ek anayas mile
sparsh se paun
uske jivan ka thospan
uski sudriDhta
wo sabkuchh jo us door pagDanDi par
uske saath baha chala ja raha tha
hone ke itne baDe kuch nahin ke bavjud
kitna kuch to tha
uski saikil par lada phanda
main kafi dinon se
us vyakti ko dekhta raha hoon
jo itna kuch liye liye
apni saikil se latapta kar girta hai
use uthane ka banata hoon man
par use kisi ki nahin hai prtiksha
khud uthta hai
apni dhool jhaaD
chal deta hai
bahut dhime dhime saikil chalata hua
koi dhool bhari khaDkhaDiya saikil
mujhe bhi mil jaye
to kabaD bani is prithvi ko uspar laad
main bhi dhime dhime chal doon
kisi anya hi pagDanDi par
us vyakti se karna chahta hoon baat
jo dhool bhari pagDanDi par
apni saikil se latapta kar
gir gaya hai
kya use chalkar uthaun?
halke thapathpakar dhool gard jhaDun?
dete hue dilasa
ki ye to hota hi hai bhai
aur isi beech
uski saikil ke ek anayas mile
sparsh se paun
uske jivan ka thospan
uski sudriDhta
wo sabkuchh jo us door pagDanDi par
uske saath baha chala ja raha tha
hone ke itne baDe kuch nahin ke bavjud
kitna kuch to tha
uski saikil par lada phanda
main kafi dinon se
us vyakti ko dekhta raha hoon
jo itna kuch liye liye
apni saikil se latapta kar girta hai
use uthane ka banata hoon man
par use kisi ki nahin hai prtiksha
khud uthta hai
apni dhool jhaaD
chal deta hai
bahut dhime dhime saikil chalata hua
koi dhool bhari khaDkhaDiya saikil
mujhe bhi mil jaye
to kabaD bani is prithvi ko uspar laad
main bhi dhime dhime chal doon
kisi anya hi pagDanDi par
स्रोत :
रचनाकार : आनंद बहादुर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.