नमक  तुम्हारे  लिए  स्वादिष्ट  खाना  बनाने  वाला  
पदार्थ  मात्र  है  
तुम्हारे  रसोई  घर  में  इसकी  भरमार  होती  है  
मेरी  देह  के  पसीने  की  गंध  में  भी  तुम्हें  
नमक  का  खारापन  लगता  है  
मुझे  चूमकर  भी  तुम  बता  सकते  हो  नमक  का  स्वाद  
नमक  तुम्हारे  लिए  उतना  ही  ज़रूरी  होता  है  
जितना  दाल-चावल  
ठीक  इसके  विपरीत  हमारे  लिए  नमक  उतना  ही  ज़रूरी  है  
जितना  जल,  जंगल,  ज़मीन  
नमक  हमारे  लिए  स्वाद  बढ़ाने  वाली  चीज़  नहीं  
बल्कि  एक  बहाना  है  तुम  तक  पहुँच  पाने  का  
हमारे  यहाँ  नमक  की  खेती  नहीं  होती  वरन  उगा  लेते  
बोरा  भर  नमक  धान  की  तरह  
नमक  की  लत  ने  हमें  भी  व्यापार  करना  सिखा  दिया  
झोला  भर  टोरा,  महुआ,  अमचूर  और  चिरौंजी  के  बदले  तुम्हारा  एक  सोली  नमक  
स्वाद  बदलकर  रख  देता  है  मुँह  का  
तुम्हें  नमक  की  क़ीमत  का  अंदाज़ा  नहीं  
चूँकि  तुम्हारी  दुनिया  में  नमक  ही  नमक  है  
सस्ता  और  सुलभ  
पर  हमारी  पहुँच  से  आज  भी  हज़ारों  किलोमीटर  दूर  है  नमक  
कि  सोली  भर  नमक  कमाने  के  लिए  हमारे  कंधे  उठाते  हैं  
काँवड़  भर  सपने  
खोदते  हैं  पताल  भर  गोदी  अँधेरी  पगडंडियों  को  
पाटने  के  लिए  
लगाते  हैं  मील  का  पत्थर  
अपनी  आदिम  सभ्यता  छुपाने  के  लिए  
ताकि  खिसक  सके  दो-चार  किलोमीटर  और  
सूरज  की  सीध  में  
बावजूद  नमक  का  स्वाद  हमेशा  नमकीन  नहीं  होता  
कि  नमक  का  स्वाद  कभी-कभी  पाँव  के  छालों  की  टीस  जितना  क़ीमती  और  
कभी-कभी  बंदूक़  की  गोली  से  निकलने  वाले  
बारूद  की  गंध  जैसा  तीखा  
तो  कभी-कभी  आँखों  की  पुतलियों  पर  दम  तोड़  चुके  
कुछ  सफ़ेद  ख़्वाबों  से  भी  फीका  होता  है  
नमक  की  आज़ादी  के  लिए  लड़ी  गई  थी  एक  लड़ाई  
सोचती  हूँ  चुपके  से  इनके  कानों  में  किसी  ऐसी  ही  
लड़ाई  के  प्रारंभ  का  बिगुल  फूँक  दूँ  क्या?  
ताकि  जान  सकें  ये  भी  नमक  का  असली  स्वाद!  
             
                namak  tumhare  liye  swadisht  khana  banane  wala  
padarth  matr  hai  
tumhare  rasoi  ghar  mein  iski  bharmar  hoti  hai  
meri  deh  ke  pasine  ki  gandh  mein  bhi  tumhein  
namak  ka  kharapan  lagta  hai  
mujhe  chumkar  bhi  tum  bata  sakte  ho  namak  ka  swad  
namak  tumhare  liye  utna  hi  zaruri  hota  hai  
jitna  dal  chawal  
theek  iske  wiprit  hamare  liye  namak  utna  hi  zaruri  hai  
jitna  jal,  jangal,  zamin  
namak  hamare  liye  swad  baDhane  wali  cheez  nahin  
balki  ek  bahana  hai  tum  tak  pahunch  pane  ka  
hamare  yahan  namak  ki  kheti  nahin  hoti  waran  uga  lete  
bora  bhar  namak  dhan  ki  tarah  
namak  ki  lat  ne  hamein  bhi  wyapar  karna  sikha  diya  
jhola  bhar  tora,  mahua,  amchur  aur  chiraunji  ke  badle  tumhara  ek  soli  namak  
swad  badalkar  rakh  deta  hai  munh  ka  
tumhein  namak  ki  qimat  ka  andaza  nahin  
chunki  tumhari  duniya  mein  namak  hi  namak  hai  
sasta  aur  sulabh  
par  hamari  pahunch  se  aaj  bhi  hazaron  kilomitar  door  hai  namak  
ki  soli  bhar  namak  kamane  ke  liye  hamare  kandhe  uthate  hain  
kanwaD  bhar  sapne  
khodte  hain  patal  bhar  godi  andheri  pagDanDiyon  ko  
patne  ke  liye  
lagate  hain  meel  ka  patthar  
apni  aadim  sabhyata  chhupane  ke  liye  
taki  khisak  sake  do  chaar  kilomitar  aur  
suraj  ki  seedh  mein  
bawjud  namak  ka  swad  hamesha  namkin  nahin  hota  
ki  namak  ka  swad  kabhi  kabhi  panw  ke  chhalon  ki  tees  jitna  qimti  aur  
kabhi  kabhi  banduq  ki  goli  se  nikalne  wale  
barud  ki  gandh  jaisa  tikha  
to  kabhi  kabhi  ankhon  ki  putaliyon  par  dam  toD  chuke  
kuch  safed  khwabon  se  bhi  phika  hota  hai  
namak  ki  azadi  ke  liye  laDi  gai  thi  ek  laDai  
sochti  hoon  chupke  se  inke  kanon  mein  kisi  aisi  hi  
laDai  ke  prarambh  ka  bigul  phoonk  doon  kya?  
taki  jaan  saken  ye  bhi  namak  ka  asli  swad!  

        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : पूनम वासम  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.