नहीं इतने से नहीं होगा
अभी और पड़ेंगे छाती पर हथौड़े
और दिल फेंकेगा फच-फच ख़ून...
अभी और आग लगेगी
और रास्ते जो हैं
नहीं रहेंगे
अभी घिरकर जलना है
अभी तो भूमिका बाँध रहे हैं कई क़साई
छुरे पजा रहे हैं
और धार जाँच रहे हैं
थोड़ा ठहरो
देखोगे जब कतरेंगे कलेजे
आग में भूनेंगे
तश्तरी में सजाकर बाज़ार में बेचेंगे
अभी ठहरो
तुम जो सोच रहे हो
तुम्हारी बारी नहीं आएगी
आएगी
आएगी वे समूची आदिम नस्ल के विरोधी हैं
वे साँस लेते देखेंगे लकड़ी को
तो उसे भी रेप देंगे
वे मद में चूर हैं
वे छोड़ेंगे नहीं पानी को
चाहे वह ऑक्सीजन में हो या हाइड्रोजन में
मिट्टी में हो या हवा में
धीरे-धीरे वे पैठ रहे हैं हमारे बीच
हमें प्रलोभन देते हुए
हमें गुड खिला रहे हैं
पर अभी, अभी वे नाथेंगे हमें
और हमने तो बता दिए हैं उन्हें
सारे ठिकाने अपने
यहाँ दिल है, यहाँ दिमाग़
यहाँ हम रहते हैं यहाँ हमारी जान
nahin
itne se nahin hoga
abhi aur paDenge chhati par hathauDe
aur dil phenkega phach phach khoon. . .
abhi aur aag lagegi
aur raste jo hain
nahin rahenge
abhi ghirkar jalna hai
abhi to bhumika baandh rahe hain kai kasai
chhure paja rahe hain
aur dhaar jaanch rahe hain
thoDa thahro
dekhoge jab katrenge kaleje
aag mein bhunenge
tashtari mein sajakar bazar mein bechenge
abhi thahro
tum jo soch rahe ho
tumhari bari nahin ayegi
ayegi
ayegi ve samuchi aadim nasl ke virodhi hain
ve saans lete dekhenge lakDi ko
to use bhi rape denge
ve mad mein choor hain
ve chhoDenge nahin pani ko
chahe wo aksijan mein ho ya hydrogen mein
mitti mein ho ya hava men
dhire dhire ve paith rahe hain hamare beech
hamein pralobhan dete hue
hamein good khila rahe hain
par abhi, abhi ve nathenge hamen
aur hamne to bata diye hain unhen
sare thikane apne
yahan dil hai, yahan dimag
yahan hum rahte hain yahan hamari jaan
nahin
itne se nahin hoga
abhi aur paDenge chhati par hathauDe
aur dil phenkega phach phach khoon. . .
abhi aur aag lagegi
aur raste jo hain
nahin rahenge
abhi ghirkar jalna hai
abhi to bhumika baandh rahe hain kai kasai
chhure paja rahe hain
aur dhaar jaanch rahe hain
thoDa thahro
dekhoge jab katrenge kaleje
aag mein bhunenge
tashtari mein sajakar bazar mein bechenge
abhi thahro
tum jo soch rahe ho
tumhari bari nahin ayegi
ayegi
ayegi ve samuchi aadim nasl ke virodhi hain
ve saans lete dekhenge lakDi ko
to use bhi rape denge
ve mad mein choor hain
ve chhoDenge nahin pani ko
chahe wo aksijan mein ho ya hydrogen mein
mitti mein ho ya hava men
dhire dhire ve paith rahe hain hamare beech
hamein pralobhan dete hue
hamein good khila rahe hain
par abhi, abhi ve nathenge hamen
aur hamne to bata diye hain unhen
sare thikane apne
yahan dil hai, yahan dimag
yahan hum rahte hain yahan hamari jaan
स्रोत :
रचनाकार : हरे प्रकाश उपाध्याय
प्रकाशन : हिंदी समय
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.