...लेकिन  
यह  है  मूर्तियों  का  युग  
मूर्तियाँ  हर  रास्ते  में  निकल  कर  खड़ी  हैं  
मूर्तियाँ  
हवा  की  यात्रा  की  दिशा  बदल  देती  हैं  
मूर्तियाँ  ज़्यादा  हैं  
पुलिस  वालों  से  भी  
साइन-बोर्डों  से  भी  
मूर्तियाँ  
मृत्यु  का  उपहास  करती  हैं  
मरे  हुए  लोग,  
मूर्तियों  में  ज़िंदा  खड़े  हैं  
लेकिन  
यह  है  मूर्तियों  का  युग  
'कहाँ  जा  रहे  हैं  महाशय?'  
'फलाँ  से  फलाँ  जगह।'  
'ऐसे  नहीं,  
इस  तरह  कहिए  
इस  मूर्ति  से  उस  मूर्ति  तक  
उस  मूर्ति  से  मूर्तियों  तक'  
लेकिन  
यह  है  मूर्तियों  का  युग  
किससे  बनाते  हैं  हम  मूर्तियाँ?  
पत्थर,  मिट्टी,  लकड़ी,  धातु  से  
किसलिए  बनाते  हैं  मूर्तियाँ?  
'काल,  मन,  ज्ञान,  प्रेम  के  लिए।'  
भय  के  अंधकार  को  उरेह  कर  
ईश्वर  की  मूर्ति  
शब्द  के  नमक  को  टाँक  कर  
कवि  की  मूर्ति  
स्वप्न-तुहिन  से  
प्रेम  की  मूर्ति  
रक्त  के  सूर्य  से  
स्वतंत्रता  की  मूर्ति  
क्यों  बनाते  हैं  मूर्तियाँ?  
'काल,  चित्,  उँगली'  
लेकिन  
यह  है  मूर्तियों  का  युग  
इन  मनहूस  मूर्तियों  को  
किससे  बनाया  हम  ने?  
पत्थर  के  मौन  से  नहीं  
वृक्ष  की  करुणा  से  नहीं  
धातु  के  घोल  से  नहीं  
काल  हृदय  से  नहीं  
इन  मूर्तियों  के  उँगली  हिलाने  पर  
हड़बड़ा  जाते  हैं  सारे  पथ  
इन  मूर्तियों  की  ज़ुबान  हिलते  ही  
शब्द  हो  जाते  हैं  दुर्गंधित  
मैल  जमा  करके  
बनाई  है  हमने  
ये  मूर्तियाँ  
क्योंकि  यह  है  मूर्तियों  का  युग।  
                lekin  
ye  hai  murtiyon  ka  yug  
murtiyan  har  raste  mein  nikal  kar  khaDi  hain  
murtiyan  
hawa  ki  yatra  ki  disha  badal  deti  hain  
murtiyan  zyada  hain  
police  walon  se  bhi  
sain  borDon  se  bhi  
murtiyan  
mirtyu  ka  uphas  karti  hain  
mare  hue  log,  
murtiyon  mein  zinda  khaDe  hain  
lekin  
ye  hai  murtiyon  ka  yug  
kahan  ja  rahe  hain  mahashay?  
phalan  se  phalan  jagah  
aise  nahin,  
is  tarah  kahiye  
is  murti  se  us  murti  tak  
us  murti  se  murtiyon  tak  
lekin  
ye  hai  murtiyon  ka  yug  
kisse  banate  hain  hum  murtiyan?  
patthar,  mitti,  lakDi,  dhatu  se  
kisaliye  banate  hain  murtiyan?  
kal,  man,  gyan,  prem  ke  liye  
bhay  ke  andhkar  ko  ureh  kar  
ishwar  ki  murti  
shabd  ke  namak  ko  tank  kar  
kawi  ki  murti  
swapn  tuhin  se  
prem  ki  murti  
rakt  ke  surya  se  
swtantrta  ki  murti  
kyon  banate  hain  murtiyan?  
kal,  chit,  ungli  
lekin  
ye  hai  murtiyon  ka  yug  
in  manhus  murtiyon  ko  
kisse  banaya  hum  ne?  
patthar  ke  maun  se  nahin  
wriksh  ki  karuna  se  nahin  
dhatu  ke  ghol  se  nahin  
kal  hirdai  se  nahin  
in  murtiyon  ke  ungli  hilane  par  
haDbaDa  jate  hain  sare  path  
in  murtiyon  ki  zuban  hilte  hi  
shabd  ho  jate  hain  durgandhit  
mail  jama  karke  
banai  hai  hamne  
ye  murtiyan  
kyonki  ye  hai  murtiyan  ka  yug  
lekin  
ye  hai  murtiyon  ka  yug  
murtiyan  har  raste  mein  nikal  kar  khaDi  hain  
murtiyan  
hawa  ki  yatra  ki  disha  badal  deti  hain  
murtiyan  zyada  hain  
police  walon  se  bhi  
sain  borDon  se  bhi  
murtiyan  
mirtyu  ka  uphas  karti  hain  
mare  hue  log,  
murtiyon  mein  zinda  khaDe  hain  
lekin  
ye  hai  murtiyon  ka  yug  
kahan  ja  rahe  hain  mahashay?  
phalan  se  phalan  jagah  
aise  nahin,  
is  tarah  kahiye  
is  murti  se  us  murti  tak  
us  murti  se  murtiyon  tak  
lekin  
ye  hai  murtiyon  ka  yug  
kisse  banate  hain  hum  murtiyan?  
patthar,  mitti,  lakDi,  dhatu  se  
kisaliye  banate  hain  murtiyan?  
kal,  man,  gyan,  prem  ke  liye  
bhay  ke  andhkar  ko  ureh  kar  
ishwar  ki  murti  
shabd  ke  namak  ko  tank  kar  
kawi  ki  murti  
swapn  tuhin  se  
prem  ki  murti  
rakt  ke  surya  se  
swtantrta  ki  murti  
kyon  banate  hain  murtiyan?  
kal,  chit,  ungli  
lekin  
ye  hai  murtiyon  ka  yug  
in  manhus  murtiyon  ko  
kisse  banaya  hum  ne?  
patthar  ke  maun  se  nahin  
wriksh  ki  karuna  se  nahin  
dhatu  ke  ghol  se  nahin  
kal  hirdai  se  nahin  
in  murtiyon  ke  ungli  hilane  par  
haDbaDa  jate  hain  sare  path  
in  murtiyon  ki  zuban  hilte  hi  
shabd  ho  jate  hain  durgandhit  
mail  jama  karke  
banai  hai  hamne  
ye  murtiyan  
kyonki  ye  hai  murtiyan  ka  yug  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : शब्द सेतु (दस भारतीय कवि) (पृष्ठ 80)संपादक  : गिरधर राठी रचनाकार  : कवि के साथ एन. बालसुब्रह्मण्यन एवं विमल कुमार 
                             प्रकाशन  : साहित्य अकादेमी
                         
                                                संस्करण   : 1994 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.