हे  प्रभु!  
हे  नववर्ष  मन्मथ!  
इस  नव  वर्षारंभ  के  उत्सवों  में  
हमारे  मनोरथ  जब  मधु  मार्ग  पर  अग्रसर  होते  हैं,  
तब  प्रेम  के  साथ  हम  तुम्हारा  आमंत्रण  कर  रहे  हैं।  
आओ  न!  
सरोवर  की  लहरों  रूपी  शीतल  शय्याओं  पर  
झूमने  वाले  कमलों  को  भ्रमर-कन्याएँ  
इस  उष:काल  में  मंगलकारी  काकली  ध्वनियों  से  जगा  रही  है।  
रसालों  के  अरुण  पल्लव  समूह  
चारों  दिशाओं  में  सुगंध  फैलाते  हैं  
और  इस  समय  मदमाते  कोकिल  
अपने  मधुर  कंठों  से  कलनाद  की  वर्षा  
करते  हुए  झूम  रहे  हैं।  
वन  नटी  के  चरणों  में  जूही  के  फूल  
ऐसी  शोभा  दे  रहे  हैं,  मानो  नवनीत  के  घुँघरू  हों।  
अशोक-पुष्पों  से  शोभित  पृथ्वी  पर  
चैत्र  पर्व  के  रसमय  भोजन  से  आलसी  बने  हुए  शुकों  की  
श्रुतिमधुर  ध्वनियाँ  
सरल  कोमलता  के  साथ  सुनाई  दे  रही  है।  
             
                he  prabhu!  
he  navvarsh  manmath!  
is  nav  varsharambh  ke  utsvon  mein  
hamare  manorath  jab  madhu  maarg  par  agrasar  hote  hain,  
tab  prem  saath  hum  tumhara  amantran  kar  rahe  hain.  
aao  na.  
sarovar  ki  lahron  rupi  shital  shayyaon  par  
jhumne  vale  kamlon  ko  bhramar  kanyayen  
is  ushahkal  mae  mangalkari  kakali  dhvaniyon  se  jaga  rahi  hai  
salon  ke  arun  pallav  samuh  
charon  dishaon  mein  sugandh  phailate  hain  
aur  is  samay  madmate  kokil  
apne  madhur  kanthon  se  kalnad  ki  varsha  
karte  hue  jhoom  rahe  hain.  
van  nati  ke  charnon  mein  juhi  ke  phool  
aisi  shobha  de  rahe  hain,  mano  navanit  ke  ghunghru  ho.  
ashok  pushpon  se  shobhit  prithvi  par  
chaitr  parv  ke  rasmay  bhojan  se  aalsi  bane  hue  shukon  ki  
shrutimdhur  dhvaniyan  
saral  komalta  ke  saath  sunai  de  rahi  hai.  
he  prabhu!  
he  navvarsh  manmath!  
is  nav  varsharambh  ke  utsvon  mein  
hamare  manorath  jab  madhu  maarg  par  agrasar  hote  hain,  
tab  prem  saath  hum  tumhara  amantran  kar  rahe  hain.  
aao  na.  
sarovar  ki  lahron  rupi  shital  shayyaon  par  
jhumne  vale  kamlon  ko  bhramar  kanyayen  
is  ushahkal  mae  mangalkari  kakali  dhvaniyon  se  jaga  rahi  hai  
salon  ke  arun  pallav  samuh  
charon  dishaon  mein  sugandh  phailate  hain  
aur  is  samay  madmate  kokil  
apne  madhur  kanthon  se  kalnad  ki  varsha  
karte  hue  jhoom  rahe  hain.  
van  nati  ke  charnon  mein  juhi  ke  phool  
aisi  shobha  de  rahe  hain,  mano  navanit  ke  ghunghru  ho.  
ashok  pushpon  se  shobhit  prithvi  par  
chaitr  parv  ke  rasmay  bhojan  se  aalsi  bane  hue  shukon  ki  
shrutimdhur  dhvaniyan  
saral  komalta  ke  saath  sunai  de  rahi  hai.  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : भारतीय कविता 1954-55 (पृष्ठ 429) 
                                                                    रचनाकार  : रायप्रोलु वेंकट सुब्बाराव  
                                            
                             प्रकाशन  : साहित्य अकादेमी
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.