मैं  एक  स्वप्न  की  प्रतीक्षा  में  हूँ  
जिस  भी  क्षण  वह  प्रवेश  करे  मेरी  नींद  में  
मेरी  आँखें  जागते  हुए  देखे  उसे  
देखें  कि  कैसे  जन्म  लेता  है  एक  सपना  
और  आख़िर  कितनी  होती  है  उसकी  मियाद  
कुछ  है  जो  दुनिया  से  कहना  नहीं  चाहती  अब  
कि  कहते  कहते  थकने  लगी  हूँ  
जिसे  बोलने  के  लिए  मुझे  एक  सपने  की  ज़रूरत  है  
कोई  भय  कोई  मर्यादा  कोई  सीमा  नहीं  हो  जहाँ  
जहाँ  उड़ेल  सकूँ  सच  को  हू-ब-हू  कि  जैसा  वह  है  
जिसे  सुनने  के  बाद  कोई  फ़ैसला  मेरे  इंतज़ार  में  न  खड़ा  हो  
और  न  ही  हो  कोई  ताकीद  मेरे  किरदार  की  
समय  की  रेत  पर  खड़ी  ढूँढ़  रही  हूँ  आदिम  प्यास  
जिसमें  छिपी  है  बेकल  प्रतीक्षा  और  पीड़ा  
अपनी  अंतिम  साँस  और  इच्छा  से  पहले  
चाहती  हूँ  कि  सपना  निकल  भागे  मेरी  आँखों  से  
किसी  दूर  हरे  घास  के  मैदानों  में  
आँखें  जहाँ  तक  देखे  दुनिया  का  सारा  हरा  ही  देखें  
सपना  इतनी  दूर  कभी  न  लगे  जितनी  यह  दुनिया  
इतना  धैर्य  इतनी  भाषा  इतना  प्रेम  हमेशा  बचा  रहे  
कि  जिस  भी  क्षण  छोड़कर  चल  दूँ  दुनिया  को  
फिर  किसी  सपने  के  लिए  न  पड़े  आवश्यकता  
किसी  आंदोलन  किसी  क्राँति  की  
वह  उतना  ही  स्वाभाविक  लगे  जितना  कि  आती  जाती  साँस!  
             
                main  ek  svapn  ki  prtiksha  mein  hoon  
jis  bhi  kshan  wo  pravesh  kare  meri  neend  mein  
meri  ankhen  jagte  hue  dekhe  use  
dekhen  ki  kaise  janm  leta  hai  ek  sapna  
aur  akhir  kitni  hoti  hai  uski  miyad,  
kuch  hai  jo  duniya  se  kahna  nahin  chahti  ab  
ki  kahte  kahte  thakne  lagi  hoon  
jise  bolne  ke  liye  mujhe  ek  sapne  ki  zarurat  hai,  
koi  bhay  koi  maryada  koi  sima  nahin  ho  jahan  
jahan  uDel  sakun  sach  ko  hubhu  ki  jaisa  wo  hai  
jise  sunne  ke  baad  koi  faisla  mere  intzaar  mein  na  khaDa  ho  
aur  na  hi  ho  koi  takid  mere  kirdar  ki,  
samay  ki  ret  par  khaDi  DhoonDh  rahi  hoon  aadim  pyaas  
jismen  chhipi  hai  bekal  prtiksha  aur  piDa  
apni  antim  saans  aur  ichchha  se  pahle  
chahti  hoon  ki  sapna  nikal  bhage  meri  ankhon  se  
kisi  door  hare  ghaas  ke  maidanon  mein  
ankhen  jahan  tak  dekhe  duniya  ka  sara  hara  hi  dekhen,  
sapna  itni  door  kabhi  na  lage  jitni  ye  duniya  
itna  dhairya  itni  bhasha  itna  prem  hamesha  bacha  rahe  
ki  jis  bhi  kshan  chhoDkar  chal  doon  duniya  ko  
phir  kisi  sapne  ke  liye  na  paDe  avashyakta  
kisi  andolan  kisi  kranti  ki  
wo  utna  hi  svabhavik  lage  jitna  ki  aati  jati  saans!  

        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित  
                                                                    रचनाकार  : सीमा सिंह  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.