उन्हें नापसंद है
हमारी आस्था का ढंग
हमारी स्मृतियों का रंग
वे इतिहास को संपादित कर रहे हैं
उन्हें एतराज़ है
हमारे सपनों की गंध पर
पहनावे की पसंद पर
वे सभी मसलों पर फ़तवे जारी कर रहे हैं
वे तय कर रहे हैं पाठयक्रम
हमें पढ़ा रहे हैं पाठ
हमें अपनी तरह सभ्य बनाने पर उतारू हैं वे
एक इमारत की तरह
हमारे समूचे वर्तमान को ध्वस्त कर
उसके अवशेषों पर वे
भविष्य की नींव रखना चाहते हैं
अपनी पूँछ में आग लगा
ख़ाक कर देने को आतुर हैं वे
हमारी आज़ादी का लहराता परचम
जिस मचान से की जानी थी
उन पर निगरानी
इस वक़्त उस मचान के
ठीक ऊपर हैं वे
पर बंदर क्या जाने
मचान में नहीं होता
टहनियों का लचीलापन
कि मोड़ लें जिधर चाहें
वे गिरेंगे मचान से
उछल-कूद करते-करते मुँह के बल
और बहुत दिनों के बाद हँसेगी
हुसैन की सरस्वती।
unhen napsand hai
hamari astha ka Dhang
hamari smritiyon ka rang
we itihas ko sampadit kar rahe hain
unhen etraaz hai
hamare sapnon ki gandh par
pahnawe ki pasand par
we sabhi maslon par fatwe jari kar rahe hain
we tay kar rahe hain pathyakram
hamein paDha rahe hain path
hamein apni tarah sabhy banane par utaru hain we
ek imarat ki tarah
hamare samuche wartaman ko dhwast kar
uske awsheshon par we
bhawishya ki neenw rakhna chahte hain
apni poonchh mein aag laga
khak kar dene ko aatur hain we
hamari azadi ka lahrata parcham
jis machan se ki jani thi
un par nigrani
is waqt us machan ke
theek upar hain we
par bandar kya jane
machan mein nahin hota
tahaniyon ka lachilapan
ki moD len jidhar chahen
we girenge machan se
uchhal kood karte karte munh ke bal
aur bahut dinon ke baad hansegi
husain ki saraswati
unhen napsand hai
hamari astha ka Dhang
hamari smritiyon ka rang
we itihas ko sampadit kar rahe hain
unhen etraaz hai
hamare sapnon ki gandh par
pahnawe ki pasand par
we sabhi maslon par fatwe jari kar rahe hain
we tay kar rahe hain pathyakram
hamein paDha rahe hain path
hamein apni tarah sabhy banane par utaru hain we
ek imarat ki tarah
hamare samuche wartaman ko dhwast kar
uske awsheshon par we
bhawishya ki neenw rakhna chahte hain
apni poonchh mein aag laga
khak kar dene ko aatur hain we
hamari azadi ka lahrata parcham
jis machan se ki jani thi
un par nigrani
is waqt us machan ke
theek upar hain we
par bandar kya jane
machan mein nahin hota
tahaniyon ka lachilapan
ki moD len jidhar chahen
we girenge machan se
uchhal kood karte karte munh ke bal
aur bahut dinon ke baad hansegi
husain ki saraswati
स्रोत :
- रचनाकार : प्रदीप सैनी
-
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.