देवताओं को जल चढ़ाने के काम आते रहे कुछ
कुछ ने वुज़ू कराने में ढूँढ़ी अपनी सार्थकता
प्यासे होंठों का स्पर्श पाकर ही ख़ुश रहे कुछ
कुछ को मनुष्यों ने नहाने
या नित्यकर्म का पात्र बना लिया
बहुत समय तक अपनी-अपनी भूमिका में
सुपात्र बने रहे सब
पर आजकल बदल गई हैं इनकी भूमिकाएँ
जल चढ़ाने और वुज़ू कराने वाले लोटे
अब अक्सर लड़ते-झगड़ते हैं
और बाद में शांति अपीलें जारी करते हैं
काफ़ी सुखी हैं ये लोटे
पर सबसे ज़्यादा सुखी हैं वे
जो बिना पेंदी के हैं
परेशान और दुखी हैं वे
जो किसी की प्यास बुझाना चाहते हैं
आजकल पात्रों की सूची से
ग़ायब होता जा रहा है उनका नाम
जग-मग के इस दौर में लोटों का क्या काम?
राष्ट्रीय लुढ़कन के इस दौर में
जब गेंद की तरह इस पाले से उस पाले में
लुढ़क रही हैं अंतरात्माएँ
कितना आसान है वोटों का
लोटों में तब्दील हो जाना
यह जो आसानी है
कितनी बड़ी परेशानी है।
devtaon ko jal chaDhane ke kaam aate rahe kuch
kuch ne vuzu karane mein DhunDhi apni sarthakta
pyase honthon ka sparsh pakar hi khush rahe kuch
kuch ko manushyon ne nahane
ya nityakarm ka paatr bana liya
bahut samay tak apni apni bhumika mein
supatr bane rahe sab
par ajkal badal gai hain inki bhumikayen
jal chaDhane aur vuzu karane vale lote
ab aksar laDte jhagaDte hain
aur baad mein shanti apilen jari karte hain
kafi sukhi hain ye lote
par sabse zyada sukhi hain ve
jo bina pendi ke hain
pareshan aur dukhi hain ve
jo kisi ki pyaas bujhana chahte hain
ajkal patron ki suchi se
ghayab hota ja raha hai unka naam
jag mag ke is daur mein loton ka kya kaam?
rashtriy luDhkan ke is daur men
jab gend ki tarah is pale se us pale men
luDhak rahi hain antratmayen
kitna asan hai voton ka
loton mein tabdil ho jana
ye jo asani hai
kitni baDi pareshani hai.
devtaon ko jal chaDhane ke kaam aate rahe kuch
kuch ne vuzu karane mein DhunDhi apni sarthakta
pyase honthon ka sparsh pakar hi khush rahe kuch
kuch ko manushyon ne nahane
ya nityakarm ka paatr bana liya
bahut samay tak apni apni bhumika mein
supatr bane rahe sab
par ajkal badal gai hain inki bhumikayen
jal chaDhane aur vuzu karane vale lote
ab aksar laDte jhagaDte hain
aur baad mein shanti apilen jari karte hain
kafi sukhi hain ye lote
par sabse zyada sukhi hain ve
jo bina pendi ke hain
pareshan aur dukhi hain ve
jo kisi ki pyaas bujhana chahte hain
ajkal patron ki suchi se
ghayab hota ja raha hai unka naam
jag mag ke is daur mein loton ka kya kaam?
rashtriy luDhkan ke is daur men
jab gend ki tarah is pale se us pale men
luDhak rahi hain antratmayen
kitna asan hai voton ka
loton mein tabdil ho jana
ye jo asani hai
kitni baDi pareshani hai.
स्रोत :
रचनाकार : अरुण आदित्य
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.