जाति  है  कि  जाती  नहीं,  
शर्म  है  कि  आती  नहीं  
है  दिए  में  तेल  भी,  
पर  एक  भी  बाती  नहीं।  
जाति  है  कि  जाती  नहीं...  
है  पड़ा  वो  भूमि  लथपथ,  
ज़िंदा  अभी  है  मारो  झटपट  
भीड़  तो  आती  है  साथ,  
पर  आदमी  एक  लाती  नहीं।  
जाति  है  कि  जाती  नहीं...  
पूछो  इन  वादियों  से,  
इन  पुरानी  घाटियों  से  
कर्मनाशा  के  मिलन  से,  
गंगा  मर  जाती  नहीं।  
जाति  है  कि  जाती  नहीं...  
किस  बात  का  दंभ  है  तुम्हें,  
ये  जाति  क्या  देगा  तुम्हें?  
तुम  मंदिरों  की  दीवार  उठाना,  
घर  में  भले  टाटी  नहीं।  
जाति  है  कि  जाती  नहीं...  
बँटे  हों  जहाँ  श्मशान  तक,  
ज़मीन-ओ-आसमान  तक  
जहाँ  घड़े  कुढ़  रहे  घड़ों  से,  
वो  एक  देश  की  माटी  नहीं।  
जाति  है  कि  जाती  नहीं...  
जाति  बोने  वालों  का,  
बीज  मंत्र  तो  यही  रहा  
कि  साँप  गुड़  खाकर  मरे  
और  टूटे  मेरी  लाठी  नहीं।  
जाति  है  कि  जाती  नहीं...  
मत  कहो  कि  मन  साफ़  है,  
समय  के  पास  माप  है  
धर्म  जाति  की  यह  अफ़ीम,  
किसने  यहाँ  चाटी  नहीं?  
जाति  है  कि  जाती  नहीं...  
एक  तरफ़  है  धर्म-पताका,  
एक  तरफ़  है  जाति-गाथा  
इस  तरह  की  दोग़ली  गाड़ी,  
हमसे  खींची  जाती  नहीं।  
जाति  है  कि  जाती  नहीं...  
                jati  hai  ki  jati  nahin,sharm  hai  ki  aati  nahin  
hai  diye  mein  tel  bhi,  par  ek  bhi  bati  nahin.  
jati  hai  ki  jati  nahin.  .  .  
hai  paDa  wo  bhumi  lathpath,zinda  abhi  hai  maro  jhatpat  
bheeD  to  aati  hai  saath,  par  adami  ek  lati  nahin.  
jati  hai  ki  jati  nahin.  .  .  
puchho  in  vadiyon  se,  in  purani  ghatiyon  se  
karmanasha  ke  milan  se,ganga  mar  jati  nahin.  
jati  hai  ki  jati  nahin.  .  .  
kis  baat  ka  dambh  hai  tumhein,ye  jati  kya  dega  tumhen?  
tum  mandiron  ki  divar  uthana,  ghar  mein  bhale  tati  nahin.  
jati  hai  ki  jati  nahin.  .  .  
bate  hon  jahan  shamshan  tak,zamin  o  asman  tak  
jahan  ghaDe  kuDh  rahe  ghaDon  se,vo  ek  desh  ki  mati  nahin.  
jati  hai  ki  jati  nahin.  .  .  
jati  bone  valon  ka,  beej  mantr  to  yahi  raha  
ki  saanp  guD  khakar  mare  aur  tute  meri  lathi  nahin.  
jati  hai  ki  jati  nahin.  .  .  
mat  kaho  ki  man  saaf  hai,  samay  ke  paas  maap  hai  
dharm  jati  ki  ye  afim,  kisne  yahan  chati  nahin?  
jati  hai  ki  jati  nahin.  .  .  
ek  taraf  hai  dharm  pataka,ek  taraf  hai  jati  gatha  
is  tarah  ki  dogli  gaDi,  hamse  khinchi  jati  nahin.  

        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : बच्चा लाल 'उन्मेष' 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.