इतिहास  में  दर्ज  होने  की  हड़बड़ी  
सनक  में  बदल  जाती  है  
तुग़लक़  को  
इतिहास  में  दर्ज  होने  की  हड़बड़ी  ही  तो  थी  
तभी  तो  उसने  कहा  
आज  से  राजधानी  
दिल्ली  नहीं  दौलताबाद  होगी  
इतिहास  में  दर्ज  होने  की  हड़बड़ी  ने  ही  
हिटलर  से  लाखों  यहूदियों  का  क़त्ल  करवा  दिया  
बख़्तियार  ख़िलजी  ने  तो  नालंदा  विश्वविद्यालय  में  आग  ही  लगवा  दिया  
गोडसे  ने  महान  शख़्सियत  गाँधी  को  मौत  के  घाट  उतार  दिया  
इतिहास  में  दर्ज  होने  की  हड़बड़ी  में  
और  भी  बहुत  से  करामात  हुए,  होते  आ  रहे  हैं  
ऐसे  शासकों,  आक्रांताओं,  कट्टरता  के  पुरोधाओं  से  
ज़रूरत  है  सचेत  होने  की  
जो  इतिहास  में  दर्ज  होने  की  हड़बड़ी  में  
सनक  जाते  हैं  
हर  पत्थर  पर  अपना  नाम  देख  लेना  चाहते  हैं  
हर  योजना  में  शामिल  हो  जाना  चाहते  हैं  
चाहे  वह  भले  ही  जनता  की  क़ब्रगाह  बन  रही  हो  
             
                itihas  mein  darz  hone  ki  haDbaDi  
sanak  mein  badal  jati  hai  
tuglak  ko  
itihas  mein  darz  hone  ki  haDbaDi  hi  to  thi  
tabhi  to  usne  kaha  
aaj  se  rajdhani  
dilli  nahin  daultabad  hogi  
itihas  mein  darz  hone  ki  haDbaDi  ne  hi  
hitlar  se  lakhon  yahudiyon  ka  katl  karva  diya  
bakhtiyar  khilji  ne  to  nalanda  vishvavidyalay  mein  aag  hi  lagva  diya  
goDse  ne  mahan  shakhsiyat  gandhi  ko  maut  ke  ghaat  utaar  diya  
itihas  mein  darz  hone  ki  haDbaDi  men  
aur  bhi  bahut  se  karamat  hue,  hote  aa  rahen  hain  
aise  shaskon,  akrantaon,  kattarta  ke  purodhaon  se  
zarurat  hai  sachet  hone  ki  
jo  itihas  mein  darz  hone  ki  haDbaDi  men  
sanak  jate  hain  
har  patthar  par  apna  naam  dekh  lena  chahte  hain  
har  yojna  mein  shamil  ho  jana  chahte  hain  
chahe  wo  bhale  hi  janta  ki  qabrgah  ban  rahi  ho  
itihas  mein  darz  hone  ki  haDbaDi  
sanak  mein  badal  jati  hai  
tuglak  ko  
itihas  mein  darz  hone  ki  haDbaDi  hi  to  thi  
tabhi  to  usne  kaha  
aaj  se  rajdhani  
dilli  nahin  daultabad  hogi  
itihas  mein  darz  hone  ki  haDbaDi  ne  hi  
hitlar  se  lakhon  yahudiyon  ka  katl  karva  diya  
bakhtiyar  khilji  ne  to  nalanda  vishvavidyalay  mein  aag  hi  lagva  diya  
goDse  ne  mahan  shakhsiyat  gandhi  ko  maut  ke  ghaat  utaar  diya  
itihas  mein  darz  hone  ki  haDbaDi  men  
aur  bhi  bahut  se  karamat  hue,  hote  aa  rahen  hain  
aise  shaskon,  akrantaon,  kattarta  ke  purodhaon  se  
zarurat  hai  sachet  hone  ki  
jo  itihas  mein  darz  hone  ki  haDbaDi  men  
sanak  jate  hain  
har  patthar  par  apna  naam  dekh  lena  chahte  hain  
har  yojna  mein  shamil  ho  jana  chahte  hain  
chahe  wo  bhale  hi  janta  ki  qabrgah  ban  rahi  ho  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : धीरेंद्र धवल  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.