मेरे  पूर्वजों  ने  बाँधा  नहीं  नदियों  को  
जंगल  साफ़  करके  बनाए  नहीं  खेत  
यों  करने  को  बहुत  कुछ  किया  
झूठ  के  बड़े-बड़े  पुल  खडे  किए  
सात  कमरों  के  भीतर  क़ैद  किया  सत्य  को  
उनके  इशारों  पर  रेते  गए  कलाकारों  के  गले  
बिछाए  गए  कामगरों  के  रास्तों  में  कांटे  
आतताइयों  के  राजतिलक  हुए  
मक्कारों  के  वज़ीफ़े  मुकर्रर  किए  गए  
ऐसी  ऊँची  जात  में  पैदा  होकर  
कैसे  छुपाऊँ  अपनी  शर्म  को  
ऐसे  शब्द-शिल्पियों  और  शिक्षविदों  का  क्या  करूँ  
जो  अत्याचारों  को  न्यायसंगत  ठहराते  रहे  
कलंक-गाथायों  को  करते  रहे  महिमा-मंडित  
जिनके  रहते  अपने  ही  घरों  में  
बिलखते-बिलखते  गूँगी  हो  गईं  स्त्रियाँ  
कूप-मँडूकता  का  पाखाना  है  मेरे  घर  में  
पोथियों  के  ढेर  में  कहाँ  जाकर  छुपायूँ  चेहरा  
अपने  मन  को  कब  तलक  बरगलाऊँ  
पीढियों  का  सिंचित  पाखँड  आया  है  मेरे  हिस्से  में  
किस  जल  से  धोऊँ  अतीत  की  कालिख  
इस  पवित्रता  से  कैसे  पीछा  छुडाऊँ?  
                mere  purvjon  ne  bandha  nahin  nadiyon  ko  
jangal  saaf  karke  banaye  nahin  khet  
yon  karne  ko  bahut  kuch  kiya  
jhooth  ke  baDe  baDe  pul  khaDe  kiye  
saat  kamron  ke  bhitar  qaid  kiya  satya  ko  
unke  isharon  par  rete  ge  kalakaron  ke  gale  
bichhaye  ge  kamagron  ke  raston  mein  kante  
attaiyon  ke  rajatilak  huye  
makkaron  ke  vazife  mukarrar  kiye  ge  
aisi  uunchi  jaat  mein  paida  hokar  
kaise  chhupaun  apni  sharm  ko  
aise  shabd  shilpiyon  aur  shikshavidon  ka  kya  karun  
jo  atyacharon  ko  nyaysangat  thahrate  rahe  
kalank  gathayon  ko  karte  rahe  mahima  manDit  
jinke  rahte  apne  hi  gharon  men  
bilakhte  bilakhte  gungi  ho  gain  striyan  
koop  manDukata  ka  pakhana  hai  mere  ghar  men  
pothiyon  ke  Dher  mein  kahan  jakar  chhupayun  chehra  
apne  man  ko  kab  talak  baraglaun  
piDhiyon  ka  sinchit  pakhanD  aaya  hai  mere  hisse  men  
kis  jal  se  dhoun  atit  ki  kalikh  
is  pavitarta  se  kaise  pichha  chhuDaun?  
mere  purvjon  ne  bandha  nahin  nadiyon  ko  
jangal  saaf  karke  banaye  nahin  khet  
yon  karne  ko  bahut  kuch  kiya  
jhooth  ke  baDe  baDe  pul  khaDe  kiye  
saat  kamron  ke  bhitar  qaid  kiya  satya  ko  
unke  isharon  par  rete  ge  kalakaron  ke  gale  
bichhaye  ge  kamagron  ke  raston  mein  kante  
attaiyon  ke  rajatilak  huye  
makkaron  ke  vazife  mukarrar  kiye  ge  
aisi  uunchi  jaat  mein  paida  hokar  
kaise  chhupaun  apni  sharm  ko  
aise  shabd  shilpiyon  aur  shikshavidon  ka  kya  karun  
jo  atyacharon  ko  nyaysangat  thahrate  rahe  
kalank  gathayon  ko  karte  rahe  mahima  manDit  
jinke  rahte  apne  hi  gharon  men  
bilakhte  bilakhte  gungi  ho  gain  striyan  
koop  manDukata  ka  pakhana  hai  mere  ghar  men  
pothiyon  ke  Dher  mein  kahan  jakar  chhupayun  chehra  
apne  man  ko  kab  talak  baraglaun  
piDhiyon  ka  sinchit  pakhanD  aaya  hai  mere  hisse  men  
kis  jal  se  dhoun  atit  ki  kalikh  
is  pavitarta  se  kaise  pichha  chhuDaun?  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : हरिओम राजोरिया 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.