शांत  हो  गया  
कोलाहल  सब  
मैं  आ  गया  हूँ  
मंच  पर  अब  
द्वार  के  सानिध्य  में  होकर  खड़ा  
मैं  कर  रहा  कोशिश  समझने  की  
दूर  की  उस  गूँज  को  
क्या  भला  होकर  रहेगा  
ज़िंदगी  में  
रात  की  छाया  असित  
जो  सहस्रों  नाट्य-शाला  पार  कर  आई  
हो  गई  अब  स्वयं  मुझ  पर  केंद्रित  
ऐ  पिता  
यदि  हो  सके  संभव  कहीं  तो  
मेरे  हाथ  से  विष-पात्र  ले  लो  
है  नहीं  इंकार  मुझको  
आपकी  जो  भी  सुनिश्चित  योजना  
खेल  खेलूँगा  वही  
जो  भी  मिलेगी  भूमिका  
किंतु  यह  तो  दूसरा  ही  खेल  है  
माफ़  कर  दो  
इसलिए  इस  बार  मुझको  
पूर्वनिर्धारित  हुए  हैं  दृश्य  सारे  
अंत  भी  
मैं  अकेला  
डूबती  पाखंड  में  हैं  
वस्तु  सब  
ज़िंदगी  का  पार  करना  
है  नहीं  ऐसा  
कि  जैसे  खेत  का।  
'ज़िंदगी  काटना  खेत  पार  करने  जैसा  नहीं  होता'  :  यह  एक  रूसी  कहावत  है।  
                shaant  ho  gaya  
kolahal  sab  
main  aa  gaya  hoon  
manch  par  ab  
dvaar  ke  sanidhya  mein  hokar  khaDa  
main  kar  raha  koshish  samajhne  ki  
door  ki  us  goonj  ko  
kya  bhala  hokar  rahega  
zindagi  men  
raat  ki  chhaya  asit  
jo  sahasron  natya  shala  paar  kar  aai  
ho  gai  ab  svayan  mujh  par  kendrit  
ai  pita  
yadi  ho  sake  sambhav  kahin  to  
mere  haath  se  vish  paatr  le  lo  
hai  nahin  inkaar  mujhko  
apaki  jo  bhi  sunishchit  yojna  
khel  khelunga  vahi  
jo  bhi  milegi  bhumika  
kintu  ye  to  dusra  hi  khel  hai  
maaf  kar  do  
isliye  is  baar  mujhko  
poorv  nirdharit  hue  hain  drishya  sare  
ant  bhi  
main  akela  
Dubti  pakhanD  mein  hain  
vastu  sab  
zindagi  ka  paar  karna  
hai  nahin  aisa  
ki  jaise  khet  ka1  
1.  ye  ek  rusi  kahavat  hai.  
shaant  ho  gaya  
kolahal  sab  
main  aa  gaya  hoon  
manch  par  ab  
dvaar  ke  sanidhya  mein  hokar  khaDa  
main  kar  raha  koshish  samajhne  ki  
door  ki  us  goonj  ko  
kya  bhala  hokar  rahega  
zindagi  men  
raat  ki  chhaya  asit  
jo  sahasron  natya  shala  paar  kar  aai  
ho  gai  ab  svayan  mujh  par  kendrit  
ai  pita  
yadi  ho  sake  sambhav  kahin  to  
mere  haath  se  vish  paatr  le  lo  
hai  nahin  inkaar  mujhko  
apaki  jo  bhi  sunishchit  yojna  
khel  khelunga  vahi  
jo  bhi  milegi  bhumika  
kintu  ye  to  dusra  hi  khel  hai  
maaf  kar  do  
isliye  is  baar  mujhko  
poorv  nirdharit  hue  hain  drishya  sare  
ant  bhi  
main  akela  
Dubti  pakhanD  mein  hain  
vastu  sab  
zindagi  ka  paar  karna  
hai  nahin  aisa  
ki  jaise  khet  ka1  
1.  ye  ek  rusi  kahavat  hai.  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : एक सौ एक सोवियत कविताएँ (पृष्ठ 71)रचनाकार  : बोरीस पस्तेरनाक 
                             प्रकाशन  : नेशनल पब्लिशिंग हाउस, दिल्ली
                         
                                                संस्करण   : 1975 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.