ऊँची इमारतें मुझे आकर्षित करती हैं
ख़ासकर वे जो आसमान को
दो हिस्सों में काटती हुई प्रतीत होती हैं
मुझे लंबी-लंबी कहानियाँ पसंद हैं
भले ही वे सच न हों
मैं उन्हें आधे सच और आधे झूठ के
घालमेल से बनी कहानियों के मुक़ाबले
अधिक पसंद करता हूँ
मुझे बड़े पैमाने पर चीज़ें चाहिए
अधिकतम आयाम चाहिए
स्थान और रौशनी का बोध चाहिए
मुझे रेलगाड़ी चाहिए
जिसकी बड़ी-बड़ी पीली आँखें
रात को अपनी रौशनी से
छेदती हुई बढ़ती चली जाती हैं
समुद्री-साही
प्यारी-सी रोएँदार इल्लियाँ
छछूँदर आदि ठीक हैं…
लेकिन मेरा दिल राजसी फूलों वाले पेड़ों
काई की विस्तृत पट्टियों
और ज्वलंत परजीवी के लिए तरसता है
लेकिन जब तुम
जो अभी भी गिलहरी की तरह युवा
गोधूलि की तरह संक्षिप्त
दुपहर की छाया की तरह क्षणभंगुर हो
पूछती हो कि
मैं तुमसे प्यार क्यों करता हूँ
तो मुझसे कोई जवाब देते नहीं बनता!
uunchi imarten mujhe akarshit karti hain
khaskar ve jo asman ko
do hisson mein katti hui pratit hoti hain
mujhe lambi lambi kahaniyan pasand hain
bhale hi ve sach na hon
main unhen aadhe sach aur aadhe jhooth ke
ghalmel se bani kahaniyon ke muqable
adhik pasand karta hoon
mujhe baDe paimane par chizen chahiye
adhiktam ayam chahiye
sthaan aur raushani ka bodh chahiye
mujhe relgaDi chahiye
jiski baDi baDi pili ankhen
raat ko apni raushani se
chhedti hui baDhti chali jati hain
samudri sahi
pyari si roendar illiyan
chhachhundar aadi theek hain…
lekin mera dil rajasi phulon vale peDon
kai ki vistrit pattiyon
aur jvlant parjivi ke liye tarasta hai
lekin jab tum
jo abhi bhi gilahri ki tarah yuva
godhuli ki tarah sankshipt
duphar ki chhaya ki tarah kshanbhangur ho
puchhti ho ki
main tumse pyaar kyon karta hoon
to mujhse koi javab dete nahin banta!
uunchi imarten mujhe akarshit karti hain
khaskar ve jo asman ko
do hisson mein katti hui pratit hoti hain
mujhe lambi lambi kahaniyan pasand hain
bhale hi ve sach na hon
main unhen aadhe sach aur aadhe jhooth ke
ghalmel se bani kahaniyon ke muqable
adhik pasand karta hoon
mujhe baDe paimane par chizen chahiye
adhiktam ayam chahiye
sthaan aur raushani ka bodh chahiye
mujhe relgaDi chahiye
jiski baDi baDi pili ankhen
raat ko apni raushani se
chhedti hui baDhti chali jati hain
samudri sahi
pyari si roendar illiyan
chhachhundar aadi theek hain…
lekin mera dil rajasi phulon vale peDon
kai ki vistrit pattiyon
aur jvlant parjivi ke liye tarasta hai
lekin jab tum
jo abhi bhi gilahri ki tarah yuva
godhuli ki tarah sankshipt
duphar ki chhaya ki tarah kshanbhangur ho
puchhti ho ki
main tumse pyaar kyon karta hoon
to mujhse koi javab dete nahin banta!
स्रोत :
पुस्तक : सदानीरा पत्रिका
संपादक : अविनाश मिश्र
रचनाकार : केकी एन. दारूवाला
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.