लोग  इतना  बोलते  क्यों  हैं  
क्या  अंदर  से  इनकी  आवाज़ें  सिली  हुई  हैं  
शोर  है  कितना  
कि  हर  कोई  आतंकित  या  डरा  हुआ  है  
सुबह  की  चाय  पर  टोस्ट  कुतरने  से  
कुछ  हरकत  भर  होती  है  यानी  ख़बरों  में  
कहीं  गोली  चली  होती  है  या  अस्पताल  में  
घायल  सिर  पचास  या  हज़ार  होते  हैं  
दिन  होने  से  रात  के  होने  तक  
मैं  कहाँ-कहाँ  होता  हूँ  यानी  मैं  
कहीं  नहीं  होता  हूँ  
सिर्फ़  संबंधों  में  अपनी  रात  की  सुरक्षा  में  
होता  हूँ  
नाम  गिनने  या  गिनाने  से  क्या  होगा  
घृणा  की  तस्वीर  ही  तो  बनेगी  
ख़तरों  में  शिकायत  से  मौसम  तो  बदलेगा  नहीं  
न  होगा  वह  जो  मैं  चाहता  हूँ  
यानी  मैं  हर  किसी  की  रोटी  
उसकी  जेब  में  चाहता  हूँ  
यानी  मैं  उसकी  बात  को  उस  के  दिल  से  जोड़कर  
कहने  का  एक  मौसम  चाहता  हूँ  
                log  itna  bolte  kyon  hain  
kya  andar  se  inki  awazen  sili  hui  hain  
shor  hai  kitna  
ki  har  koi  atankit  ya  Dara  hua  hai  
subah  ki  chay  par  toast  kutarne  se  
kuch  harkat  bhar  hoti  hai  yani  khabron  mein  
kahin  goli  chali  hoti  hai  ya  aspatal  mein  
ghayal  sir  pachas  ya  hazar  hote  hain  
din  hone  se  raat  ke  hone  tak  
main  kahan  kahan  hota  hoon  yani  main  
kahin  nahin  hota  hoon  
sirf  sambandhon  mein  apni  raat  ki  suraksha  mein  
hota  hoon  
nam  ginne  ya  ginane  se  kya  hoga  
ghrina  ki  taswir  hi  to  banegi  
khatron  mein  shikayat  se  mausam  to  badlega  nahin  
na  hoga  wo  jo  main  chahta  hoon  
yani  main  har  kisi  ki  roti  
uski  jeb  mein  chahta  hoon  
yani  main  uski  baat  ko  us  ke  dil  se  joDkar  
kahne  ka  ek  mausam  chahta  hoon  
log  itna  bolte  kyon  hain  
kya  andar  se  inki  awazen  sili  hui  hain  
shor  hai  kitna  
ki  har  koi  atankit  ya  Dara  hua  hai  
subah  ki  chay  par  toast  kutarne  se  
kuch  harkat  bhar  hoti  hai  yani  khabron  mein  
kahin  goli  chali  hoti  hai  ya  aspatal  mein  
ghayal  sir  pachas  ya  hazar  hote  hain  
din  hone  se  raat  ke  hone  tak  
main  kahan  kahan  hota  hoon  yani  main  
kahin  nahin  hota  hoon  
sirf  sambandhon  mein  apni  raat  ki  suraksha  mein  
hota  hoon  
nam  ginne  ya  ginane  se  kya  hoga  
ghrina  ki  taswir  hi  to  banegi  
khatron  mein  shikayat  se  mausam  to  badlega  nahin  
na  hoga  wo  jo  main  chahta  hoon  
yani  main  har  kisi  ki  roti  
uski  jeb  mein  chahta  hoon  
yani  main  uski  baat  ko  us  ke  dil  se  joDkar  
kahne  ka  ek  mausam  chahta  hoon  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : निषेध (पृष्ठ 93)संपादक  : जगदीश चतुर्वेदी रचनाकार  : श्याम परमार 
                             प्रकाशन  : ज्ञान भारती प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 1972 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.