शहर  जाने  के  लिए  
गाँव  छोड़ा  था  मैंने  
अब  गाँव  लौटने  के  लिए  
शहर  छोड़ना  चाहता  हूँ  मैं।  
थक  गया  हूँ  
इस  धोखे  की  दुनिया  से  
भागमभाग  नहीं  
एक  पल  सुकूँ  का  चाहता  हूँ  मैं।  
माना  कभी  हठ  थी  मेरी  
लेकिन  अए  शहर!  
अब  रुकने  की  ज़िद  न  कर  
यहाँ  से  भाग  जाना  चाहता  हूँ  मैं।  
मंज़िलों  वाली,  चकाचौंध  
ऊँचाइयों  को  छूने  की  कोशिश  में  
सूनी  दीवारों  को  चुना  था  मैंने  
उस  मकान  को  बेचना  चाहता  हूँ  मैं।  
पुरखों  की  माटी  और  
आँगन  में  पालथी  मार  
दो  वक्त  की  रोटी  
अपनों  के  साथ  तोड़ना  चाहता  हूँ  मैं।  
कुछ  ज़्यादा  की  तलाश  में  
ग़रीबी  को  छोड़ा  था  मैंने  
एक  बार  अमीरी  को  
फिर  से  जीना  चाहता  हूँ  मैं।  
गाँव  की  ज़मीन  पर  
हौसलों  को  ऊँची  उड़ान  
सपनों  को  सँवारने  का  मौक़ा  
एक  मालिक  बनना  चाहता  हूँ  मैं।  
             
                shahr  jane  ke  liye  
gaanv  chhoDa  tha  mainne  
ab  gaanv  lautne  ke  liye  
shahr  chhoDna  chahta  hoon  main.  
thak  gaya  hoon  
is  dhokhe  ki  duniya  se  
bhagambhag  nahin  
ek  pal  sukun  ka  chahta  hoon  main.  
mana  kabhi  hath  thi  meri  
lekin  ae  shahr!  
ab  rukne  ki  zid  na  kar  
yahan  se  bhaag  jana  chahta  hoon  main.  
manzilon  vali,  chakachaundh  
uunchaiyon  ko  chhune  ki  koshish  men  
suni  divaron  ko  chuna  tha  mainne  
us  makan  ko  bechna  chahta  hoon  main.  
purkhon  ki  mati  aur  
angan  mein  palathi  maar  
do  vakt  ki  roti  
apnon  ke  saath  toDna  chahta  hoon  main.  
kuch  zyada  ki  talash  men  
gharibi  ko  chhoDa  tha  mainne  
ek  baar  amiri  ko  
phir  se  jina  chahta  hoon  main.  
gaanv  ki  zamin  par  
hauslon  ko  uunchi  uDaan  
sapnon  ko  sanvarne  ka  mauqa,  
ek  malik  banna  chahta  hoon  main.  
shahr  jane  ke  liye  
gaanv  chhoDa  tha  mainne  
ab  gaanv  lautne  ke  liye  
shahr  chhoDna  chahta  hoon  main.  
thak  gaya  hoon  
is  dhokhe  ki  duniya  se  
bhagambhag  nahin  
ek  pal  sukun  ka  chahta  hoon  main.  
mana  kabhi  hath  thi  meri  
lekin  ae  shahr!  
ab  rukne  ki  zid  na  kar  
yahan  se  bhaag  jana  chahta  hoon  main.  
manzilon  vali,  chakachaundh  
uunchaiyon  ko  chhune  ki  koshish  men  
suni  divaron  ko  chuna  tha  mainne  
us  makan  ko  bechna  chahta  hoon  main.  
purkhon  ki  mati  aur  
angan  mein  palathi  maar  
do  vakt  ki  roti  
apnon  ke  saath  toDna  chahta  hoon  main.  
kuch  zyada  ki  talash  men  
gharibi  ko  chhoDa  tha  mainne  
ek  baar  amiri  ko  
phir  se  jina  chahta  hoon  main.  
gaanv  ki  zamin  par  
hauslon  ko  uunchi  uDaan  
sapnon  ko  sanvarne  ka  mauqa,  
ek  malik  banna  chahta  hoon  main.  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : एंजेला एनिमा तिर्की  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.