1  
आँखों  में  काजल  की  सुंदर  रेखा  माँ  ने  जो  दी  थी  
शोभित  है  उसमें  प्रेमलता-त्रपा-पुष्प-मकरंदमयी  
सब  लोगों  की  आँख  बचा  उन  आँखों  से  प्रिय  की  ओर  
दृष्टि  बढ़ाती  तुमको  शीघ्र  तरुण  मधुयामिनियाँ  मिलें।  
2  
तेरी  समवय  बालाएँ  और  सुहागिन  नारीगण  
द्वार  पर  गाते  जब  पूछें  'प्रिय  का  नाम  बताओ  री!'  
तब  लज्जा  मधु  मुग्ध  कंठ  से  बारी  उनकी  है  कहकर  
बचने  वाली  तेरी  स्मिति  चंद्रिका  चिरकाल  खिले।  
3  
विद्रुम  से  अरुणाधर  से  स्मिति  आँख-मिचौनी  खेल  रही  
मानों  गुलाब  की  माला  में  कुंद  के  पुष्प  शोभित  हों,  
ऐसी  शोभा  ले  नम्र  बनी  पति-वसनांचल  हाथ  लिए  
चलने  वाली  तुमको  विनय  संपदा  न  कभी  छोड़  चले।  
4  
मृगमद्  पंक  सुगंधित  वैवाहिक  मधुपर्कावल  में  
पति  को  बाँध  लिया  है;  अब  वह  तब  आज्ञाकारी  है।  
तेरी  बात  न  टाले  -  भाभियों  का  सुन  यह  परिहास  
तीखी  नज़रों  से  देखने  वाली  तुमको  चिर  सौख्य  मिले।  
5  
ग्रीष्म  दिवस  की  संध्या  में  फुल्ल  मल्लिका  शय्या  शोभित  
मोतियों  की  पालकी  में  बैठी  तेरी  जुलूस  निकली  
तेरी  उस  दिन  की  शोभा  हम  कैसे  भूल  सकेंगे  
जब  तक  तारों  वाले  रथ  पर  चाँद  निकलना  हमें  मिलें?  
             
                ankhon  mein  kajal  ki  sundar  rekha  maan  ne  jo  di  thi  
shobhit  hai  usmen  premalta  trapa  pushp  makrandamyi.  
sab  logon  ki  ankh  bacha  un  ankhon  se  priy  ki  or  
drishti  baDhati  tumko  sheeghr  tarun  madhuyaminiyan  milen॥  
teri  samvay  balayen  aur  suhagin  narigan  
dvaar  par  gate  jab  puchhen  priy  ka  naam  batao  ree!  
tab  lajja  madhu  mugdh  kanth  se  bari  unki  hai  kahkar  
bachnevali  teri  smiti  chandrika  chirkal  khile॥  
vidrum  se  arunadhar  se  smiti  ankh  michauni  khel  rahi  
manon  gulab  ki  mala  mein  kund  ke  pushp  shobhit  hon,  
aisi  shobha  le  namr  bani  pati  vasnanchal  haath  liye  
chalnevali  tumko  vinay  sampada  na  kabhi  chhoD  chale॥  
mrigmad  pank  sugandhit  vaivahik  madhupakval  mein  
pati  ko  baandh  liya  hai;  ab  wo  tab  agyakari  hai.  
teri  baat  na  tale  bhabhiyon  ka  sun  ye  parihas  
tikhi  nazron  se  dekhnevali  tumko  chir  saukhy  mile॥  
greeshm  divas  ki  sandhya  mein  phull  mallika  ya  shobhit  
motiyon  ki  palaki  mein  baithi  teri  julum  nikli  
teri  us  din  ki  shobha  hum  kaise  bhool  sakenge  
jab  tak  taronvale  rath  par  chaand  nikalna  hamein  milen?  

        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : आधुनिक तेलुगु कविता प्रथम भाग (पृष्ठ 137) 
                                            संपादक  : चावलि सूर्यनारायण मूर्ति  
                                                रचनाकार  : कॉडालि आंजनेयुलु  
                                            
                             प्रकाशन  : आंध्र प्रदेश साहित्य अकादेमी
                         
                                                संस्करण   : 1969 
                 
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.