तुम्हारी मुरकीली आँखों की छाँव में रहकर
मेरी आँखें पाती हैं तानाशाह की आँखों में आँख डालने की हिम्मत
बेख़ौफ़ मेरी आँखों से डरकर झपकने लगती हैं शहंशाह की पलकें
लूड़क और लाचारी देखने को अभ्यस्त आततायी लौट जाते हैं
मेरी आँखों में उभर आई लौ और ललक से घबराकर
तुम्हारे चंचल चक्षुओं के आश्रय में
मेरी आँखों ने आँखों का अर्थ-विस्तार पाया
तुमने अपने दाँतों के बीच दबाया मेरा निचला होंठ
मेरे लबों पर उतर आया लहू
हमने यूँ ही गर्म लहू से फागुन खेला
और रक्तपिपासु साम्राज्य की चूलें हिलने लगीं
तुम्हारे ऊष्ण ओष्ठ की छुअन पाकर
मेरे ओष्ठ पुकारने लगे हैं इंक़लाबी नारे
परस्पर मुँह जुठलाते हुए हमारा इश्क़ परवान चढ़ता गया
और हमारी जीभें होती गईं और अधिक ज़िद्दी
तुम्हारी ज़ुबान पर कुछ देर ठहरकर बुलंद हुआ मेरा नाम
और सत्ता के हलक़ में फँस गया
साम्राज्यों की नाक में दम कर रखा है
मेरी देह में महकती तुम्हारी साँसों की गंध ने
आलिंगन लेते हुए मैंने उतार लिए तुम्हारे वक्ष अपनी छाती में
यूँ मैंने अपना सीना कुछ चौड़ा किया
जिससे टकराकर पुलिसिया लाठियाँ टूट जाती हैं
मेरे हाथों को अपने हाथों में लेकर तुमने दबाया
मैंने उससे सीखा स्पर्श का सलीक़ा
कि इससे अधिक स्पर्श किसी के साथ बरती गई हिंसा है
तुम्हारे नितम्बों को अपनी पीठ पर लादकर
तुम्हें ढोते हुए मैंने जाना
कि प्रेम में होती है कितनी नर्मी और गर्माहट
दो क़दम साथ चलकर तुम्हारे
मैं लाँघ आया आदि मानव से आधुनिक मानव तक का युग
तुम्हारे सहवास में मैंने पाई मनुष्यता
मैं तुम्हारे प्रेमपाश में बँधकर आज़ाद हुआ।
tumhari murkili ankhon ki chhaanv mein rahkar
meri ankhen pati hain tanashah ki ankhon mein ankh Dalne ki himmat
bekhauf meri ankhon se Darkar jhapakne lagti hain shahanshah ki palken
luDak aur lachari dekhne ko abhyast atatayi laut jate hain
meri ankhon mein ubhar aai lau aur lalak se ghabrakar
tumhare chanchal chakshuon ke ashray men
meri ankhon ne ankhon ka arth vistar paya
tumne apne danton ke beech dabaya mera nichla honth
mere labon par utar aaya lahu
hamne yoon hi garm lahu se phagun khela
aur raktapipasu samrajya ki chulen hilne lagin
tumhare uushn oshth ki chhuan pakar
mere oshth pukarne lage hain inqlabi nare
paraspar munh juthlate hue hamara ishq parvan chaDhta gaya
aur hamari jibhen hoti gain aur adhik ziddi
tumhari zuban par kuch der thaharkar buland hua mera naam
aur satta ke halaq mein phans gaya
samrajyon ki naak mein dam kar rakha hai
meri deh mein mahakti tumhari sanson ki gandh ne
alingan lete hue mainne utaar liye tumhare vaksh apni chhati men
yoon mainne apna sina kuch chauDa kiya
jisse takrakar pulisiya lathiyan toot jati hain
mere hathon ko apne hathon mein lekar tumne dabaya
mainne usse sikha sparsh ka saliqa
ki isse adhik sparsh kisi ke saath barti gai hinsa hai
tumhare nitambon ko apni peeth par ladkar
tumhein Dhote hue mainne jana
ki prem mein hoti hai kitni narmi aur garmahat
do qadam saath chalkar tumhare
main laangh aaya aadi manav se adhunik manav tak ka yug
tumhare sahvas mein mainne pai manushyata
main tumhare prempash mein bandhakar azad hua.

स्रोत :
रचनाकार : सावजराज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.