मेरी मुट्ठी में डाल थी माँ ने
कलेवा के संग करुणा के कुछ दाने
और संभालकर रखने की ताकीद की थी
बाबूजी ने रख दिए थे उसमें
थोड़े रुपए और थोड़ी सी समझ
जो वक्त-बेवक्त अपने काम आए
दीदी को ख़ुशहाल घर ब्याहने का सपना
छोटु के आदमी बनने का ज़िम्मा
मेरी तंग मुट्ठी में अपनी-अपनी जगह क़ाबिज़ थे
पत्नी के उदास चेहरे से झाँकती उम्मीदें
बच्चों की तुतलाती वर्तनी में फँसी इच्छाएँ
कहीं-न-कहीं मुट्ठी में पुलक रहे थे
मित्रों के चंद सुझाव
पड़ोसन की मीठी गालियाँ
अपने-पराए के दर्द का एक कतरा भी
मुट्ठी में दुबके पड़े थे किसी कोने
और सुगबुगा रहे थे
पर हर दिन ढीली पड़ रही थी मेरी मुट्ठी
उँगलियों के खुलते कसाव के बीच
फिसल रही थी जतन से रखी एक-एक चीज़
कोई तोड़ रहा था चुपके-चुपके
मुट्ठी के अहाते में बने
मेरे सपनों के घरौंदे
कालचक्र में फँसा मैं घूमता हुआ
तोल रहा था फिर भी अपनी चीज़ें
और सहेजने का यत्न कर रहा था
मैं कोई कविता नहीं कर रहा भाई
मैं तो लड़ रहा आज भी
सदी के हत्यारे विचार से
जो मेरी मुट्ठी में घुसपैठ कर रहे हैं
और बटोर रहा
समय की उल्टी बयार में छितराए
माँ की करुणा
पिता का भरोसा और
रिश्तों-नातों की गर्माहटें।
meri mutthi mein Daal thi maan ne
kaleva ke sang karuna ke kuch dane
aur sambhalkar rakhne ki takid ki thi
babuji ne rakh diye the usmen
thoDe rupe aur thoDi si samajh
jo vakt bevakt apne kaam aaye
didi ko khushhal ghar byahane ka sapna
chhotu ke adami banne ka zimma
meri tang mutthi mein apni apni jagah qabiz the
patni ke udaas chehre se jhankti ummiden
bachchon ki tutlati vartani mein phansi ichchhayen
kahin na kahin mutthi mein pulak rahe the
mitron ke chand sujhav
paDosan ki mithi galiyan
apne paraye ke dard ka ek katra bhi
mutthi mein dubke paDe the kisi kone
aur sugabuga rahe the
par har din Dhili paD rahi thi meri mutthi
ungliyon ke khulte kasav ke beech
phisal rahi thi jatan se rakhi ek ek cheez
koi toD raha tha chupke chupke
mutthi ke ahate mein bane
mere sapnon ke gharaunde
kalachakr mein phansa main ghumta hua
tol raha tha phir bhi apni chizen
aur sahejne ka yatn kar raha tha
main koi kavita nahin kar raha bhai
main to laD raha aaj bhi
sadi ke hatyare vichar se
jo meri mutthi mein ghuspaith kar rahe hain
aur bator raha
samay ki ulti bayar mein chhitraye
maan ki karuna
pita ka bharosa aur
rishton naton ki garmahten.
meri mutthi mein Daal thi maan ne
kaleva ke sang karuna ke kuch dane
aur sambhalkar rakhne ki takid ki thi
babuji ne rakh diye the usmen
thoDe rupe aur thoDi si samajh
jo vakt bevakt apne kaam aaye
didi ko khushhal ghar byahane ka sapna
chhotu ke adami banne ka zimma
meri tang mutthi mein apni apni jagah qabiz the
patni ke udaas chehre se jhankti ummiden
bachchon ki tutlati vartani mein phansi ichchhayen
kahin na kahin mutthi mein pulak rahe the
mitron ke chand sujhav
paDosan ki mithi galiyan
apne paraye ke dard ka ek katra bhi
mutthi mein dubke paDe the kisi kone
aur sugabuga rahe the
par har din Dhili paD rahi thi meri mutthi
ungliyon ke khulte kasav ke beech
phisal rahi thi jatan se rakhi ek ek cheez
koi toD raha tha chupke chupke
mutthi ke ahate mein bane
mere sapnon ke gharaunde
kalachakr mein phansa main ghumta hua
tol raha tha phir bhi apni chizen
aur sahejne ka yatn kar raha tha
main koi kavita nahin kar raha bhai
main to laD raha aaj bhi
sadi ke hatyare vichar se
jo meri mutthi mein ghuspaith kar rahe hain
aur bator raha
samay ki ulti bayar mein chhitraye
maan ki karuna
pita ka bharosa aur
rishton naton ki garmahten.
स्रोत :
रचनाकार : सुशील कुमार
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.