समाज की हर गली में
गिद्ध हैं।
वे किताबें पढ़ाते हैं,
मंदिरों में आरती गाते हैं,
सभाओं में संस्कृति का झँडा उठाते हैं—
और रात में
औरत की देह पर झपट पड़ते हैं।
ये गिद्ध
सिर्फ़ सड़क किनारे शव पर नहीं उतरते,
ये घर की चौखट पर उतरते हैं,
रसोई के धुएँ में उतरते हैं,
अबोध लड़कियों पर
स्कूलों, कक्षा में उतरते हैं,
और अदालत के कठघरे में
उतरते हैं।
तुम कहते हो—
नारी पूजनीय है!
पर मुझे लगता है —
उनकी आँखें सिर्फ़ मांस ढूँढ़ती हैं।
तुम्हारे धर्म—
गिद्धों के धर्म हैं।
तुम्हारी संस्कृति—
गिद्धों का उत्सव है।
और तुम्हारी मर्दानगी—
एक गिद्ध की गंदी चोंच है।
औरत अब लाश नहीं है।
वह उठ खड़ी हुई है,
उसके हाथ में पत्थर है,
उसके स्वर में गोलियाँ हैं।
गिद्धो!
तुम्हारे पर झड़ जाएँगे,
तुम्हारी चोंच टूट जाएगी।
तुम्हारे झूठे मंदिर ढह जाएँगे।
क्योंकि औरत
अब तुम्हारा शिकार नहीं,
तुम्हारी मौत है।
samaj ki har gali men
giddh hain.
ve kitaben paDhate hain,
mandiron mein aarti gate hain,
sabhaon mein sanskriti ka jhanDa uthate hain—
aur raat men
aurat ki deh par jhapat paDte hain.
ye giddh
sirf saDak kinare shav par nahin utarte,
ye ghar ki chaukhat par utarte hain,
rasoi ke dhuen mein utarte hain,
abodh laDakiyon par
skulon, kaksha mein utarte hain,
aur adalat ke kathaghre mein
utarte hain.
tum kahte ho—
nari pujaniy hai!
par mujhe lagta hai —
unki ankhen sirf maans DhunDhati hain.
tumhare dharm—
giddhon ke dharm hain.
tumhari sanskriti—
giddhon ka utsav hai.
aur tumhari mardanagi—
ek giddh ki gandi chonch hai.
aurat ab laash nahin hai.
wo uth khaDi hui hai,
uske haath mein patthar hai,
uske svar mein goliyan hain.
giddho!
tumhare par jhaD jayenge,
tumhari chonch toot jayegi.
tumhare jhuthe mandir Dhah jayenge.
kyonki aurat
ab tumhara shikar nahin,
tumhari maut hai.
samaj ki har gali men
giddh hain.
ve kitaben paDhate hain,
mandiron mein aarti gate hain,
sabhaon mein sanskriti ka jhanDa uthate hain—
aur raat men
aurat ki deh par jhapat paDte hain.
ye giddh
sirf saDak kinare shav par nahin utarte,
ye ghar ki chaukhat par utarte hain,
rasoi ke dhuen mein utarte hain,
abodh laDakiyon par
skulon, kaksha mein utarte hain,
aur adalat ke kathaghre mein
utarte hain.
tum kahte ho—
nari pujaniy hai!
par mujhe lagta hai —
unki ankhen sirf maans DhunDhati hain.
tumhare dharm—
giddhon ke dharm hain.
tumhari sanskriti—
giddhon ka utsav hai.
aur tumhari mardanagi—
ek giddh ki gandi chonch hai.
aurat ab laash nahin hai.
wo uth khaDi hui hai,
uske haath mein patthar hai,
uske svar mein goliyan hain.
giddho!
tumhare par jhaD jayenge,
tumhari chonch toot jayegi.
tumhare jhuthe mandir Dhah jayenge.
kyonki aurat
ab tumhara shikar nahin,
tumhari maut hai.
स्रोत :
रचनाकार : प्रमिला शंकर
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.