इस  बुरे  समय  में  देर  अबेर  आती  है  नींद  
नींद  के  साथ  ही  शुरू  होता  है  सपना  
सपने  में  पृथ्वी  आती  है  नाचती  नहीं  
कोयल  आती  है  कूकती  नहीं  
गोरैया  आती  है  चुग्गा  नहीं  चुगती  
बादल  आते  हैं  बरसते  नहीं  
फूलों  से  नहीं  बतियाती  है  तितलियाँ  
हवा  से  दूर  भागती  है  गंध  
नवजात  को  लोरियाँ  नहीं  सुनाती  है  माँ  
परियों  के  महादेश  नहीं  घुमाती  है  दादी  
सपने  में  अब  पुस्तक  मेले  नहीं  लगते  हैं  
बेर  की  फलियाँ  नहीं  पकती  हैं  
सप्तर्षि  तारे  नहीं  उगते  हैं  
दूर-दूर  तक  दरख़्त  ही  नहीं  दिखते  
तो  घोंसलों  का  क्या  बात!  
सपने  में  ग़ुर्राता  है  शैतान  
जो  नग्न  मूर्तियों  को  
अक्षत  और  ऋचाओं  से  
जगाने  की  चेष्टा  करता  है  
मूर्तियाँ  सुगबुगाती  हैं  
फिर  मूर्च्छित  हो  जाती  हैं  
सपने  में  एक  साँढ़  आता  है  
जो  मेरी  सब्ज़ियों  की  बाड़ी  चर  जाता  है  
एक  बिल्ली  आती  है  
जो  मुँडेर  पर  सहमे  
सारे  कबूतरों  को  खा  जाती  है  
एक  पिशाच  आता  है  
जे  मेरे  छप्पर  पर  
खोपड़ियाँ  और  अस्थियाँ  बरसाता  है  
यह  कैसा  सपना  है  
जिसमें  कभी  मुर्ग़े  नहीं  देते  बाँग  
गंगनहौनी  नहीं  गाती  है  बटगीत  
रात  चलती  है  
चाँद  की  लाश  कंधे  पर  उठाए।  
                is  bure  samay  mein  der  aber  aati  hai  neend  
neend  ke  saath  hi  shuru  hota  hai  sapna  
sapne  mein  prithvi  aati  hai  nachti  nahin  
koel  aati  hai  kukti  nahin  
goraiya  aati  hai  chugga  nahin  chugti  
badal  aate  hain  baraste  nahin  
phulon  se  nahin  batiyati  hai  titliyan  
hava  se  door  bhagti  hai  gandh  
navjat  ko  loriyan  nahin  sunati  hai  maan  
pariyon  ke  mahadesh  nahin  ghumati  hai  dadi  
sapne  mein  ab  pustak  mele  nahin  lagte  hain  
ber  ki  phaliyan  nahin  pakti  hain  
saptarshai  tare  nahin  ugte  hain  
door  door  tak  darakht  hi  nahin  dikhte  
to  ghonslon  ka  kya  baat!  
sapne  mein  gurrata  hai  shaitan  
jo  nagn  murtiyon  ko  
akshat  aur  richaon  se  
jagane  ki  cheshta  karta  hai  
murtiyan  sugabugati  hain  
phir  murchchhit  ho  jati  hain  
sapne  mein  ek  saanDh  aata  hai  
jo  meri  sabjiyon  ki  baDi  char  jata  hai  
ek  billi  aati  hai  
jo  munDer  par  sahme  
sare  kabutaron  ko  kha  jati  hai  
ek  pishach  aata  hai  
je  mere  chhappar  par  
khopDiyan  aur  asthiyan  barsata  hai  
ye  kaisa  sapna  hai  
jismen  kabhi  murge  nahin  dete  baang  
ganganhauni  nahin  gati  hai  batgit  
raat  chalti  hai  
chaand  kah  laash  kandhe  par  uthaye.  
is  bure  samay  mein  der  aber  aati  hai  neend  
neend  ke  saath  hi  shuru  hota  hai  sapna  
sapne  mein  prithvi  aati  hai  nachti  nahin  
koel  aati  hai  kukti  nahin  
goraiya  aati  hai  chugga  nahin  chugti  
badal  aate  hain  baraste  nahin  
phulon  se  nahin  batiyati  hai  titliyan  
hava  se  door  bhagti  hai  gandh  
navjat  ko  loriyan  nahin  sunati  hai  maan  
pariyon  ke  mahadesh  nahin  ghumati  hai  dadi  
sapne  mein  ab  pustak  mele  nahin  lagte  hain  
ber  ki  phaliyan  nahin  pakti  hain  
saptarshai  tare  nahin  ugte  hain  
door  door  tak  darakht  hi  nahin  dikhte  
to  ghonslon  ka  kya  baat!  
sapne  mein  gurrata  hai  shaitan  
jo  nagn  murtiyon  ko  
akshat  aur  richaon  se  
jagane  ki  cheshta  karta  hai  
murtiyan  sugabugati  hain  
phir  murchchhit  ho  jati  hain  
sapne  mein  ek  saanDh  aata  hai  
jo  meri  sabjiyon  ki  baDi  char  jata  hai  
ek  billi  aati  hai  
jo  munDer  par  sahme  
sare  kabutaron  ko  kha  jati  hai  
ek  pishach  aata  hai  
je  mere  chhappar  par  
khopDiyan  aur  asthiyan  barsata  hai  
ye  kaisa  sapna  hai  
jismen  kabhi  murge  nahin  dete  baang  
ganganhauni  nahin  gati  hai  batgit  
raat  chalti  hai  
chaand  kah  laash  kandhe  par  uthaye.  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : बुरे समय में नींद (पृष्ठ 36)रचनाकार  : रामाज्ञा शशिधर 
                             प्रकाशन  : अंतिका प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 2012 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.