मृत्यु न करती दया किसी पर
मर जाना होगा मुझको भी
शांत क़ब्र को आ घेरेगी
तरह-तरह की घास वनैली
कोई मुझ पर कृपा करेगा
कोई देगा मुझको गाली
लेकिन फिर भी मेरी कविता
ऊँचे स्वर में पढ़ी जाएगी।
वर्ष मिटा देंगे झूठा यश
गुमनामी में होंगे लीन
तम का परदा पड़ जाएगा
उच्च पदों पर जो आसीन
लेकिन फिर भी मेरी कविता
ऊँचे स्वर में पढ़ी जाएगी।
इनमें है आह्वान मुक्ति का
सत्य और कर्तव्य-बोध का
प्रेमिल भव्य भावनाओं से
यश गायन निज मातृभूमि का
इस कारण से मेरी कविता
ऊँचे स्वर में पढ़ी जाएगी।
इनमें है बल्कान देश की
गाथा जो कर देती पुलकित
पर्वत, मेघ, घाटियों के हैं
इसमें मधुर गीत संगोपित
इसमें अपने देशवासियों
के यश-कर्मों का है गर्जन
इस कारण से मेरी कविता
ऊँचे स्वर में पढ़ी जाएगी।
मैंने हर अनमोल रत्न को
छंदों की कलियों, कुसुमों को
देकर, निज कविता को पाया
इस अधीर मन में नव जीवन
ये कविताएँ और नहीं कुछ
मेरे जीवित उर का कंपन।
मुझे नहीं छू पाता किंचित
बैरी का वहशी कोलाहल
डरा नहीं पाता है मुझको
उनका द्वेष प्रकोप प्रबल
जाएँगे जो दिवस वर्ष अब
शांत भाव से मैं झेलूँगा
क्योंकि उनमें मेरी कविता
ऊँचे स्वर में पढ़ी जाएगी।
mrityu na karti daya kisi par
mar jana hoga mujhko bhi
shaant qabr ko aa gheregi
tarah tarah ki ghaas vanaili
koi mujh par kripa karega
koi dega mujhko gali
lekin phir bhi meri kavita
uunche svar mein paDhi jayegi.
varsh mita denge jhutha yash
gumnami mein honge leen
tam ka parda paD jayega
uchch padon par jo asin
lekin phir bhi meri kavita
uunche svar mein paDhi jayegi.
inmen hai ahvan mukti ka
satya aur kartavya bodh ka
premil bhavya bhavnaon se
yash gayan nij matribhumi ka
is karan se meri kavita
uunche svar mein paDhi jayegi.
inmen hai balkan desh ki
gatha jo kar deti pulkit
parvat, megh, ghatiyon ke hain
ismen madhur geet sangopit
ismen apne deshvasiyon
ke yash karmon ka hai garjan
is karan se meri kavita
uunche svar mein paDhi jayegi.
mainne har anmol ratn ko
chhandon ki kaliyon, kusumon ko
dekar, nij kavita ko paya
is adhir man mein nav jivan
ye kavitayen aur nahin kuch
mere jivit ur ka kampan.
mujhe nahin chhu pata kinchit
bairi ka vahshi kolahal
Dara nahin pata hai mujhko
unka dvesh prakop prabal
jayenge jo divas varsh ab
shaant bhaav se main jhelunga
kyonki unmen meri kavita
uunche svar mein paDhi jayegi.
mrityu na karti daya kisi par
mar jana hoga mujhko bhi
shaant qabr ko aa gheregi
tarah tarah ki ghaas vanaili
koi mujh par kripa karega
koi dega mujhko gali
lekin phir bhi meri kavita
uunche svar mein paDhi jayegi.
varsh mita denge jhutha yash
gumnami mein honge leen
tam ka parda paD jayega
uchch padon par jo asin
lekin phir bhi meri kavita
uunche svar mein paDhi jayegi.
inmen hai ahvan mukti ka
satya aur kartavya bodh ka
premil bhavya bhavnaon se
yash gayan nij matribhumi ka
is karan se meri kavita
uunche svar mein paDhi jayegi.
inmen hai balkan desh ki
gatha jo kar deti pulkit
parvat, megh, ghatiyon ke hain
ismen madhur geet sangopit
ismen apne deshvasiyon
ke yash karmon ka hai garjan
is karan se meri kavita
uunche svar mein paDhi jayegi.
mainne har anmol ratn ko
chhandon ki kaliyon, kusumon ko
dekar, nij kavita ko paya
is adhir man mein nav jivan
ye kavitayen aur nahin kuch
mere jivit ur ka kampan.
mujhe nahin chhu pata kinchit
bairi ka vahshi kolahal
Dara nahin pata hai mujhko
unka dvesh prakop prabal
jayenge jo divas varsh ab
shaant bhaav se main jhelunga
kyonki unmen meri kavita
uunche svar mein paDhi jayegi.
स्रोत :
पुस्तक : बल्गारियाई कविताएँ (पृष्ठ 25)
संपादक : रमेश कौशिक
रचनाकार : इवान वाज़ोव
प्रकाशन : पराग प्रकाशन
संस्करण : 1985
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.