चलो,  छोड़ो,  जाने  दो  
एक  और  शाम  डूबी  
उम्मीद  की,  भरोसे  की,  झूठे  दिलासों  की  
हम  जानते  थे  सूरज  उठेगा  
तो  तप  कर  देगा  शहर  की  साँस  को  
तेज़  चलेंगी  गर्म  हवाएँ  
उठ  के  मरने  लगेंगे  कुछ  लोग  
कुछ  बैठ  के  मारने  लगेंगे  
पर  डरते  रहें  मान  लेने  को  ये  सब  
और  भरोसा  किए  रहे  कि  लोग  दाँव  लगाएँगे  
अपने  तारे  को  बचाने  को  
न  कि  दूसरे  का  आसमान  नोच  लेने  को  
हम  जानते  थे  कि  हमारा  भरोसा  झूठा  है  
और  सूरज  के  वास्ते  लोगों  की  श्रद्धा  सच्ची  
पर  लाचारी  में  भुलाए,  भुलवाए  रहे  
हम  रात  भर  बैठ  के  सिगड़ी  जलाए  रहे  
सोचकर  कि  मद्धिम  आँच  से  बाँटेंगे  ठंड  को  
पर  धुँए  में  आँख  भरभराए  के  सिवा  कुछ  न  रहे  
और  बीच-बीच  में  जंगल  के  जल  जाने  का  तमाशा  देखते  रहे  
चलो,  छोड़ो  जाने  दो  
एक  और  शाम  होगी  
शायद  हमारे  भरोसे  तब  भी  झूठे  ही  रहें  
पर  शाम  होगी,  ये  सच  है  
और  इतने  से  ही  एक  सवाल  की  तरह  भरोसा  बचा  हुआ  है।  
             
                chalo,  chhoDo,  jane  do  
ek  aur  sham  Dubi  
ummid  ki,  bharose  ki,  jhuthe  dilason  ki  
hum  jante  the  suraj  uthega  
to  tap  kar  dega  shahr  ki  sans  ko  
tez  chalengi  garm  hawayen  
uth  ke  marne  lagenge  kuch  log  
kuch  baith  ke  marne  lagenge  
par  Darte  rahen  man  lene  ko  ye  sab  
aur  bharosa  kiye  rahe  ki  log  danw  lagayenge  
apne  tare  ko  bachane  ko  
na  ki  dusre  ka  asman  noch  lene  ko  
hum  jante  the  ki  hamara  bharosa  jhutha  hai  
aur  suraj  ke  waste  logon  ki  shardha  sachchi  
par  lachari  mein  bhulaye,  bhulwaye  rahe  
hum  raat  bhar  baith  ke  sigDi  jalaye  rahe  
sochkar  ki  maddhim  anch  se  bantenge  thanD  ko  
par  dhune  mein  ankh  bharabhraye  ke  siwa  kuch  na  rahe  
aur  beech  beech  mein  jangal  ke  jal  jane  ka  tamasha  dekhte  rahe  
chalo,  chhoDo  jane  do  
ek  aur  sham  hogi  
shayad  hamare  bharose  tab  bhi  jhuthe  hi  rahen  
par  sham  hogi,  ye  sach  hai  
aur  itne  se  hi  ek  sawal  ki  tarah  bharosa  bacha  hua  hai  
chalo,  chhoDo,  jane  do  
ek  aur  sham  Dubi  
ummid  ki,  bharose  ki,  jhuthe  dilason  ki  
hum  jante  the  suraj  uthega  
to  tap  kar  dega  shahr  ki  sans  ko  
tez  chalengi  garm  hawayen  
uth  ke  marne  lagenge  kuch  log  
kuch  baith  ke  marne  lagenge  
par  Darte  rahen  man  lene  ko  ye  sab  
aur  bharosa  kiye  rahe  ki  log  danw  lagayenge  
apne  tare  ko  bachane  ko  
na  ki  dusre  ka  asman  noch  lene  ko  
hum  jante  the  ki  hamara  bharosa  jhutha  hai  
aur  suraj  ke  waste  logon  ki  shardha  sachchi  
par  lachari  mein  bhulaye,  bhulwaye  rahe  
hum  raat  bhar  baith  ke  sigDi  jalaye  rahe  
sochkar  ki  maddhim  anch  se  bantenge  thanD  ko  
par  dhune  mein  ankh  bharabhraye  ke  siwa  kuch  na  rahe  
aur  beech  beech  mein  jangal  ke  jal  jane  ka  tamasha  dekhte  rahe  
chalo,  chhoDo  jane  do  
ek  aur  sham  hogi  
shayad  hamare  bharose  tab  bhi  jhuthe  hi  rahen  
par  sham  hogi,  ye  sach  hai  
aur  itne  se  hi  ek  sawal  ki  tarah  bharosa  bacha  hua  hai  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : अतुल  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.