अपनी स्कूली कॉपी पर
अपनी मेज़ और पेड़ों पर
रेत और बर्फ़ पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
सभी पढ़े हुए पन्नों पर
सभी अनलिखे पन्नों पर
पत्थर, ख़ून, काग़ज़ या राख से
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
हर सुनहरी तस्वीर पर
योद्धाओं के हथियारों पर
शहंशाहों के ताज पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
जंगल और रेगिस्तानों पर
घोंसलों और तिनकों पर
अपने बचपन की प्रतिध्वनियों पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
रातों के विस्मय पर
दिन की सफ़ेद रोटी पर
ऋतुओं के संगम पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
जलते हुए दीपक
बुझते हुए चिराग़ों पर
घरों के पुनर्मिलन पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
कटे हुए फलों की फाँकों पर
आइने और अपने कमरे पर
ख़ाली सीप से अपने बिस्तर पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
अपने लालची कुत्ते पर
उस के उठे हुए कानों पर
उस की ऊटपटाँग टाँगों पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
अपने द्वार की साँकल पर
सभी पहचानी चीज़ों पर
पवित्र अग्नि की लौ पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
हर दी हुई चमड़ी पर
अपने मित्रों के चेहरों पर
हरेक हाथ पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
आश्चर्य के काँच पर
आतुर होंठों पर
ख़ामोशी के ठीक ऊपर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
अपने हिस्सें के नीलाभ पर
सूरज की गढ़ी हुई तलैया पर
चाँद से जगमगाती झील पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
मैदानों पर क्षितिज पर
पंछियों की पाखों पर
पनचक्की की छायाओं पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
उषा की हर ताज़गी पर
सागर पर नौकाओं पर
पहाड़ों की ढलानों पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
सावन की बदली पर
आँधी के गरजने पर
मूसलाधार बारिश पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
चमकते आकारों पर
रंगों की घंटियों पर
सच्चाई के शरीर पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
जागती पगडंडियों पर
फैली हुई राहों पर
घनी बस्तियों पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
मेरी बिखरी शरणगाहों पर
गिरी हुई रोशनी पर
अपनी चिता की दीवारों पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
इच्छारहित अनुपस्थिति पर
नग्न एकांत पर
मृत्यु की पदचापों पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
लौटी हुई सेहत पर
ग़ायब होते ख़तरों पर
स्मृतिविहीन आशा पर
मैं तेरा नाम लिखता हूँ।
और एक शब्द की ताक़त से
मैं अपने जीवन की शुरुआत करता हूँ
मैं जन्मा हूँ तुझे जानने के लिए
तुझे नाम देने के लिए
apni skuli kaupi par
apni mez aur peDon par
ret aur barf par
main tera naam likhta hoon.
sabhi paDhe hue pannon par
sabhi analikhe pannon par
patthar, khoon, kaghaz ya raakh se
main tera naam likhta hoon.
har sunahri tasvir par
yoddhaon ke hathiyaron par
shahanshahon ke taaj par
main tera naam likhta hoon.
jangal aur registanon par
ghonslon aur tinkon par
apne bachpan ki prtidhvaniyon par
main tera naam likhta hoon.
raton ke vismay par
din ki safed roti par
rituon ke sangam par
main tera naam likhta hoon.
jalte hue dipak
bujhte hue chiraghon par
gharon ke punarmilan par
main tera naam likhta hoon.
kate hue phalon ki phankon par
aine aur apne kamre par
khali seep se apne bistar par
main tera naam likhta hoon.
apne lalchi kutte par
us ke uthe hue kanon par
us ki uutaptang tangon par
main tera naam likhta hoon.
apne dvaar ki sankal par
sabhi pahchani chizon par
pavitra agni ki lau par
main tera naam likhta hoon.
har di hui chamDi par
apne mitron ke chehron par
harek haath par
main tera naam likhta hoon.
ashcharya ke kaanch par
aatur honthon par
khamoshi ke theek uupar
main tera naam likhta hoon.
apne hissen ke nilabh par
suraj ki gaDhi hui talaiya par
chaand se jagmagati jheel par
main tera naam likhta hoon.
maidanon par kshitij par
panchhiyon ki pakhon par
panchakki ki chhayaon par
main tera naam likhta hoon.
usha ki har tazgi par
sagar par naukaon par
pahaDon ki Dhalanon par
main tera naam likhta hoon.
savan ki badli par
andhi ke garajne par
musladhar barish par
main tera naam likhta hoon.
chamakte akaron par
rangon ki ghantiyon par
sachchai ke sharir par
main tera naam likhta hoon.
jagti pagDanDiyon par
phaili hui rahon par
ghani bastiyon par
main tera naam likhta hoon.
meri bikhri sharangahon par
giri hui roshni par
apni chita ki divaron par
main tera naam likhta hoon.
ichchharhit anupasthiti par
nagn ekaant par
mrityu ki padchapon par
main tera naam likhta hoon.
lauti hui sehat par
ghayab hote khatron par
smritivihin aasha par
main tera naam likhta hoon.
aur ek shabd ki taqat se
main apne jivan ki shuruat karta hoon
main janma hoon tujhe janne ke liye
tujhe naam dene ke liye
apni skuli kaupi par
apni mez aur peDon par
ret aur barf par
main tera naam likhta hoon.
sabhi paDhe hue pannon par
sabhi analikhe pannon par
patthar, khoon, kaghaz ya raakh se
main tera naam likhta hoon.
har sunahri tasvir par
yoddhaon ke hathiyaron par
shahanshahon ke taaj par
main tera naam likhta hoon.
jangal aur registanon par
ghonslon aur tinkon par
apne bachpan ki prtidhvaniyon par
main tera naam likhta hoon.
raton ke vismay par
din ki safed roti par
rituon ke sangam par
main tera naam likhta hoon.
jalte hue dipak
bujhte hue chiraghon par
gharon ke punarmilan par
main tera naam likhta hoon.
kate hue phalon ki phankon par
aine aur apne kamre par
khali seep se apne bistar par
main tera naam likhta hoon.
apne lalchi kutte par
us ke uthe hue kanon par
us ki uutaptang tangon par
main tera naam likhta hoon.
apne dvaar ki sankal par
sabhi pahchani chizon par
pavitra agni ki lau par
main tera naam likhta hoon.
har di hui chamDi par
apne mitron ke chehron par
harek haath par
main tera naam likhta hoon.
ashcharya ke kaanch par
aatur honthon par
khamoshi ke theek uupar
main tera naam likhta hoon.
apne hissen ke nilabh par
suraj ki gaDhi hui talaiya par
chaand se jagmagati jheel par
main tera naam likhta hoon.
maidanon par kshitij par
panchhiyon ki pakhon par
panchakki ki chhayaon par
main tera naam likhta hoon.
usha ki har tazgi par
sagar par naukaon par
pahaDon ki Dhalanon par
main tera naam likhta hoon.
savan ki badli par
andhi ke garajne par
musladhar barish par
main tera naam likhta hoon.
chamakte akaron par
rangon ki ghantiyon par
sachchai ke sharir par
main tera naam likhta hoon.
jagti pagDanDiyon par
phaili hui rahon par
ghani bastiyon par
main tera naam likhta hoon.
meri bikhri sharangahon par
giri hui roshni par
apni chita ki divaron par
main tera naam likhta hoon.
ichchharhit anupasthiti par
nagn ekaant par
mrityu ki padchapon par
main tera naam likhta hoon.
lauti hui sehat par
ghayab hote khatron par
smritivihin aasha par
main tera naam likhta hoon.
aur ek shabd ki taqat se
main apne jivan ki shuruat karta hoon
main janma hoon tujhe janne ke liye
tujhe naam dene ke liye
स्रोत :
पुस्तक : दरवाज़े में कोई चाबी नहीं (पृष्ठ 354)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : पॉल इल्यार
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.