एक  दफ़न  किया  गीत  और  नैहर  की  कोयलें  
पामाल  होती  तिलचट्टे  की  आँखें  
उतर  आई  भूख  के  रिरियाए  माथों  की  इच्छाओं  के  आंदोलन  अनाधिकृत  नहीं  हैं  
यूँ  तो  माज़रत  नहीं  हूँ  
लेकिन  कड़वा  और  दीर्घ  होना  अनुलोम  है  
इसलिए  भी  याद  रखने  को  कुछ  लक्ष्य  गिन  लेता  हूँ  
जैसे  मिठाई  की  दुकान  और  इज़रायल  का  युद्ध  
जैसे  अमेरिका  का  चुनाव  और  जन्मदिन  की  तारीख़  
मृत्यु  दर  और  ग़रीबी  रेखा  की  रिपोर्टें  
प्रलाप  और  पर्वोत्सव  
अपराध  और  नीति  श्लोक।  
सोते  हुए  का  यह  वाक्य  
कि  सरकार  और  पूँजी  से  मँहगी  नींद  है  
के  बाद  भी  हींग  और  इत्र  विषाक्त  नहीं  हैं  
अनागरिक  होना  अपरदन  नहीं  है  
नागरिक  होना  शुभ  सूचना  नहीं  है  
ख़ुद  को  महसूसना  उतना  ही  उत्तेजक  है  
जितना  चहचहाहट  के  बाद  चिड़िया  का  मरना।  
घड़ी  में  बज  रहा  है  हमारा  सबसे  कीमती  अभाव  
आँखे  झूल  रही  हैं  ढ़ीली  खाल  पर  
चायपत्ती  के  बढ़ते  रेट  
मैली  होती  कुर्सी  
दोनों  ने  कभी  सवाल  नहीं  किया।  
एक  हमशक्ल  की  खोज  के  सिवा  
हम  ऐसा  क्या  जुटा  लेंगे  
जो  तुम्हारे  लिए  इत्र  हो  और  मेरे  लिए  हींग  की  जगह  काम  आ  सके।  
हम  कहकहों  से  होकर  अपने  दर्द  और  देह  को  
अगली  सरकार,  शुभेच्छाओं  और  पहाड़ों  के  नाम  करते  हैं।  
                ek  dafan  kiya  geet  aur  naihar  ki  koylen  
pamal  hoti  tilchatte  ki  ankhen  
utar  aai  bhookh  ke  ririyaye  mathon  ki  ichchhaon  ke  andolan  anadhikrit  nahin  hain  
yoon  to  mazrat  nahin  hoon  
lekin  kaDva  aur  deergh  hona  anulom  hai  
isliye  bhi  yaad  rakhne  ko  kuch  lakshya  gin  leta  hoon  
jaise  mithai  ki  dukan  aur  izrayal  ka  yuddh  
jaise  amerika  ka  chunav  aur  janmdin  ki  tarikh  
mrityu  dar  aur  gharibi  rekha  ki  riporten  
pralap  aur  parvotsav  
apradh  aur  niti  shlok.  
sote  hue  ka  ye  vakya  
ki  sarkar  aur  punji  se  manhagi  neend  hai  
ke  baad  bhi  heeng  aur  itr  vishakt  nahin  hain  
anagrik  hona  apardan  nahin  hai  
nagarik  hona  shubh  suchana  nahin  hai  
khud  ko  mahsusna  utna  hi  uttejak  hai  
jitna  chahchahahat  ke  baad  chiDiya  ka  marna.  
ghaDi  mein  baj  raha  hai  hamara  sabse  kimti  abhav  
ankhe  jhool  rahi  hain  Dhili  khaal  par  
chaypatti  ke  baDhte  ret  
maili  hoti  kursi  
donon  ne  kabhi  saval  nahin  kiya.  
ek  hamshakl  ki  khoj  ke  siva  
hum  aisa  kya  juta  lenge  
jo  tumhare  liye  itr  ho  aur  mere  liye  heeng  ki  jagah  kaam  aa  sake.  
hum  kahakhon  se  hokar  apne  dard  aur  deh  ko  
agli  sarkar,  shubhechchhaon  aur  pahaDon  ke  naam  karte  hain.  
ek  dafan  kiya  geet  aur  naihar  ki  koylen  
pamal  hoti  tilchatte  ki  ankhen  
utar  aai  bhookh  ke  ririyaye  mathon  ki  ichchhaon  ke  andolan  anadhikrit  nahin  hain  
yoon  to  mazrat  nahin  hoon  
lekin  kaDva  aur  deergh  hona  anulom  hai  
isliye  bhi  yaad  rakhne  ko  kuch  lakshya  gin  leta  hoon  
jaise  mithai  ki  dukan  aur  izrayal  ka  yuddh  
jaise  amerika  ka  chunav  aur  janmdin  ki  tarikh  
mrityu  dar  aur  gharibi  rekha  ki  riporten  
pralap  aur  parvotsav  
apradh  aur  niti  shlok.  
sote  hue  ka  ye  vakya  
ki  sarkar  aur  punji  se  manhagi  neend  hai  
ke  baad  bhi  heeng  aur  itr  vishakt  nahin  hain  
anagrik  hona  apardan  nahin  hai  
nagarik  hona  shubh  suchana  nahin  hai  
khud  ko  mahsusna  utna  hi  uttejak  hai  
jitna  chahchahahat  ke  baad  chiDiya  ka  marna.  
ghaDi  mein  baj  raha  hai  hamara  sabse  kimti  abhav  
ankhe  jhool  rahi  hain  Dhili  khaal  par  
chaypatti  ke  baDhte  ret  
maili  hoti  kursi  
donon  ne  kabhi  saval  nahin  kiya.  
ek  hamshakl  ki  khoj  ke  siva  
hum  aisa  kya  juta  lenge  
jo  tumhare  liye  itr  ho  aur  mere  liye  heeng  ki  jagah  kaam  aa  sake.  
hum  kahakhon  se  hokar  apne  dard  aur  deh  ko  
agli  sarkar,  shubhechchhaon  aur  pahaDon  ke  naam  karte  hain.  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : सत्यव्रत रजक 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.