तीसरी नदी खो गई है
पर है।
तीसरे स्वर से भी अनभिज्ञ हम
पर है उसका अस्तित्व।
तीसरी आँख भी
नहीं खुलती हमारी
पर है विद्यमान।
तीसरी नदी कहीं एक धारा
कहीं पूरी सभ्यता का प्रतीक
कहीं चुप करा दी गई उसकी कलकल
कहीं गुम हो गई दुनिया के शोर में
पर है यह तीसरी नदी
सहज ज्ञान का रूप
अदृश्य छोर पर प्रकट सरस्वती।
तीसरा स्वर
इड़ा-पिंगला के मध्य है
यह सुषुम्ना है
खोया-पाया, राग द्वेष से दूर एक स्वर
अब कहाँ ठहरे कामना और कुँठाओं के बीच!
पर है यह तीसरा स्वर
विचार है, बोध है
सांस पर आवलंब का।
तीसरी आँख चेतना है हमारी
अब कहाँ खुलेगी
हमारे पास समय नहीं ठहराव का
इस तीसरी के पास जाने का
पर है यह तीसरी आँख
यह विज्ञान है जिसे खोजता ,
अनुभव करता है जीवन!
यह जीवन एक घट है, कुंभ है
यह नदी...यह स्वर...यह आँख...
यह अंतस का अनुवाद
हमारा महाकुंभ।
tisri nadi kho gai hai
par hai.
tisre svar se bhi anbhigya hum
par hai uska astitv.
tisri ankh bhi
nahin khulti hamari
par hai vidyaman.
tisri nadi kahin ek dhara
kahin puri sabhyata ka pratik
kahin chup kara di gai uski kalkal
kahin gum ho gai duniya ke shor men
par hai ye tisri nadi
sahj gyaan ka roop
adrishya chhor par prakat sarasvati.
tisra svar
iDa pingla ke madhya hai
ye sushumna hai
khoya paya, raag dvesh se door ek svar
ab kahan thahre kamna aur kunthaon ke beech!
par hai ye tisra svar
vichar hai, bodh hai
saans par avlamb ka.
tisri ankh chetna hai hamari
ab kahan khulegi
hamare paas samay nahin thahrav ka
is tisri ke paas jane ka
par hai ye tisri ankh
ye vigyan hai jise khojta ,
anubhav karta hai jivan!
ye jivan ek ghat hai, kumbh hai
ye nadi. . . ye svar. . . ye ankh. . .
ye antas ka anuvad
hamara mahakumbh.
tisri nadi kho gai hai
par hai.
tisre svar se bhi anbhigya hum
par hai uska astitv.
tisri ankh bhi
nahin khulti hamari
par hai vidyaman.
tisri nadi kahin ek dhara
kahin puri sabhyata ka pratik
kahin chup kara di gai uski kalkal
kahin gum ho gai duniya ke shor men
par hai ye tisri nadi
sahj gyaan ka roop
adrishya chhor par prakat sarasvati.
tisra svar
iDa pingla ke madhya hai
ye sushumna hai
khoya paya, raag dvesh se door ek svar
ab kahan thahre kamna aur kunthaon ke beech!
par hai ye tisra svar
vichar hai, bodh hai
saans par avlamb ka.
tisri ankh chetna hai hamari
ab kahan khulegi
hamare paas samay nahin thahrav ka
is tisri ke paas jane ka
par hai ye tisri ankh
ye vigyan hai jise khojta ,
anubhav karta hai jivan!
ye jivan ek ghat hai, kumbh hai
ye nadi. . . ye svar. . . ye ankh. . .
ye antas ka anuvad
hamara mahakumbh.
स्रोत :
रचनाकार : सोनू यशराज
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.