तत्काल  किए  जा  सकते  हैं  कुछ  काम,  
सब  कुछ  नहीं  होता  तत्काल।  
क्रोध,  घृणा,  द्वेष  किए  जा  सकते  हैं   
बिना  सोचे-समझे  तत्काल   
प्रेम  करने  को  चाहिए  कुछ  काल  
जैसे  बीज  को  वृक्ष  
कली  को  कुसुम   
भंवरे  को  मधुकर।  
तत्काल  थूका  जा  सकता  है  किसी  पर  भी  
किसी  का  थूका  पौंछा  नहीं  जा  सकता  तत्काल   
तुम  उठ  कर  जा  सकते  हो  भरी  सभा  से  
लेकिन  बैठ  नहीं  सकते  तत्काल।  
घोषणा  की  जा  सकती  है  कि  सब  कुछ  बंद  
खुलना  नहीं  होता  तत्काल।  
तत्काल  गिराए  जा  सकते  हैं  बम  
किसी  शहर  पर,   
नहीं  बसाया  जा  सकता  एक  घर   
कि  तत्काल  सोख  लेता  है  
पानी  की  लकीर  को  सूरज  
लेकिन  पानी  की  लकीर   
खींच  नहीं  सकता  सूरज  तत्काल।  
मैं  बक  सकता  हूँ,  अनाप-  शनाप  कुछ  भी  
एक  कविता  नहीं  लिख  सकता  तत्काल।  
                tatkal  kiye  ja  sakte  hain  kuch  kaam,  
sab  kuch  nahin  hota  tatkal.  
krodh,ghrina,  dvesh  kiye  ja  sakte  hain  
bina  soche  samjhe  tatkal  
prem  karne  ko  chahiye  kuch  kaal  
jaise  beej  ko  vriksh  
kali  ko  kusum  
bhanvre  ko  madhukar.  
tatkal  thuka  ja  sakta  hai  kisi  par  bhi  
kisi  ka  thuka  paunchha  nahin  ja  sakta  tatkal  
tum  uth  kar  ja  sakte  ho  bhari  sabha  se  
lekin  baith  nahin  sakte  tatkal.  
ghoshna  ki  ja  sakti  hai  ki  sab  kuch  band  
khulna  nahin  hota  tatkal.  
tatkal  giraye  ja  sakte  hain  bam  
kisi  shahr  par,  
nahin  basaya  ja  sakta  ek  ghar  
ki  tatkal  sokh  leta  hai  
pani  ki  lakir  ko  suraj  
lekin  pani  ki  lakir  
kheench  nahin  sakta  suraj  tatkal.  
main  bak  sakta  hoon,  anap  shanap  kuch  bhi  
ek  kavita  nahin  likh  sakta  tatkal.  
tatkal  kiye  ja  sakte  hain  kuch  kaam,  
sab  kuch  nahin  hota  tatkal.  
krodh,ghrina,  dvesh  kiye  ja  sakte  hain  
bina  soche  samjhe  tatkal  
prem  karne  ko  chahiye  kuch  kaal  
jaise  beej  ko  vriksh  
kali  ko  kusum  
bhanvre  ko  madhukar.  
tatkal  thuka  ja  sakta  hai  kisi  par  bhi  
kisi  ka  thuka  paunchha  nahin  ja  sakta  tatkal  
tum  uth  kar  ja  sakte  ho  bhari  sabha  se  
lekin  baith  nahin  sakte  tatkal.  
ghoshna  ki  ja  sakti  hai  ki  sab  kuch  band  
khulna  nahin  hota  tatkal.  
tatkal  giraye  ja  sakte  hain  bam  
kisi  shahr  par,  
nahin  basaya  ja  sakta  ek  ghar  
ki  tatkal  sokh  leta  hai  
pani  ki  lakir  ko  suraj  
lekin  pani  ki  lakir  
kheench  nahin  sakta  suraj  tatkal.  
main  bak  sakta  hoon,  anap  shanap  kuch  bhi  
ek  kavita  nahin  likh  sakta  tatkal.  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : नितेश व्यास 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.