बैठे टिक कर खिली धूप दीवार से,
तुम्हारे और मेरे पाँव
समानांतर रेखाओं में
निहारती हूँ तुम्हें सिर्फ़ बोर्ड पर
सधे हुए आकाश
आकाश और समुद्र की नीलिमा के बीच
कुजुकुरी के तट पर
खींचती हूँ तस्वीरों पर तस्वीरें
शायद सिर्फ़ फेंक देने के लिए
शेष है कुछ और?
विश्वास और चाह के लिए?
पसरे उन्मुक्त आस-पास
सैकत-राशि पर।
भारी अंडाकार सूरज
लाचार है ढोने में ख़ुद
अपना ही बोझ
छपछपाती लहरों का सौजन्य
देता है मुझे अभय
सुनने के लिए तुम्हें कहते हुए अलविदा
मुद्रित मन तुम्हारी झिझक पर
निहारती हूँ तुम्हें लगे शब्दों के आखेट में
तोड़ने के लिए मौन।
रात सागर-तट पर हम और तुम
आमने-सामने मौन
छूटती है धीरे से एक फुलझड़ी
क्या कर रहे हो तुम
क्या रहे हो सोच
प्रश्नों से गढ़ा रोमांस है
मात्र एक निर्जीव सीप
हो सकती है यह कबाड़ डाक
पर फिर भी कर देता है मुझे ख़ुश
यह पोस्ट कार्ड-पतझड़ की इस शाम
इंतज़ार करते तुम्हारे टेलीफ़ोन का
सोचती हूँ कितना पी गए थे तुम
जब तुमने कही थी वे सारी बातें मुझ से
अपनी नियुक्ति-पुस्तिका में
छोड़ रखी है मैंने जगह तुम्हारे लिए
भरती हूँ उसे मैं पेंसिल से,
वैन गॉग की प्रदर्शनी—बढ़ती हूँ
एक चित्र से दूसरे चित्र की ओर
देखती शीशे में मात्र अपना ही चेहरा
उस दिन की तुम्हारी स्मृति—कहते
एक दिन ने बदल दिया तुम्हारा जीवन
नहीं उस का कोई रिश्ता मुझ से
हम चाहते हैं खाना और न बढ़ने देना वज़न
कहता है विज्ञापन
हम चाहते हैं प्यार किए जाना और न करना प्यार
('अगस्त की सुबह' शीर्षक तन्का संग्रह का चुनिंदा अंश)
baithe tik kar khili dhoop divar se,
tumhare aur mere paanv
samanantar rekhaon men
niharti hoon tumhein sirf borD par
sadhe hue akash
akash aur samudr ki nilima ke beech
kujukuri ke tat par
khinchti hoon tasviron par tasviren
shayad sirf phenk dene ke liye
shesh hai kuch aur?
vishvas aur chaah ke liye?
pasre unmukt aas paas
saikat rashi par.
bhari anDakar suraj
lachar hai Dhone mein khud
apna hi bojh
chhapachhpati lahron ka saujanya
deta hai mujhe abhay
sunne ke liye tumhein kahte hue alavida
mudrit man tumhari jhijhak par
niharti hoon tumhein lage shabdon ke akhet men
toDne ke liye maun.
raat sagar tat par hum aur tum
aamne samne maun
chhutti hai dhire se ek phuljhaDi
kya kar rahe ho tum
kya rahe ho soch
prashnon se gaDha romans hai
maatr ek nirjiv seep
ho sakti hai ye kabaD Daak
par phir bhi kar deta hai mujhe khush
ye post kaarD patjhaD ki is shaam
intzaar karte tumhare telifon ka
sochti hoon kitna pi ge the tum
jab tumne kahi thi ve sari baten mujh se
apni niyukti pustika men
chhoD rakhi hai mainne jagah tumhare liye
bharti hoon use main pensil se,
vain gaug ki pradarshani—baDhti hoon
ek chitr se dusre chitr ki or
dekhti shishe mein maatr apna hi chehra
us din ki tumhari smriti—kahte
ek din ne badal diya tumhara jivan
nahin us ka koi rishta mujh se
hum chahte hain khana aur na baDhne dena vazan
kahta hai vigyapan
hum chahte hain pyaar kiye jana aur na karna pyaar
baithe tik kar khili dhoop divar se,
tumhare aur mere paanv
samanantar rekhaon men
niharti hoon tumhein sirf borD par
sadhe hue akash
akash aur samudr ki nilima ke beech
kujukuri ke tat par
khinchti hoon tasviron par tasviren
shayad sirf phenk dene ke liye
shesh hai kuch aur?
vishvas aur chaah ke liye?
pasre unmukt aas paas
saikat rashi par.
bhari anDakar suraj
lachar hai Dhone mein khud
apna hi bojh
chhapachhpati lahron ka saujanya
deta hai mujhe abhay
sunne ke liye tumhein kahte hue alavida
mudrit man tumhari jhijhak par
niharti hoon tumhein lage shabdon ke akhet men
toDne ke liye maun.
raat sagar tat par hum aur tum
aamne samne maun
chhutti hai dhire se ek phuljhaDi
kya kar rahe ho tum
kya rahe ho soch
prashnon se gaDha romans hai
maatr ek nirjiv seep
ho sakti hai ye kabaD Daak
par phir bhi kar deta hai mujhe khush
ye post kaarD patjhaD ki is shaam
intzaar karte tumhare telifon ka
sochti hoon kitna pi ge the tum
jab tumne kahi thi ve sari baten mujh se
apni niyukti pustika men
chhoD rakhi hai mainne jagah tumhare liye
bharti hoon use main pensil se,
vain gaug ki pradarshani—baDhti hoon
ek chitr se dusre chitr ki or
dekhti shishe mein maatr apna hi chehra
us din ki tumhari smriti—kahte
ek din ne badal diya tumhara jivan
nahin us ka koi rishta mujh se
hum chahte hain khana aur na baDhne dena vazan
kahta hai vigyapan
hum chahte hain pyaar kiye jana aur na karna pyaar
स्रोत :
पुस्तक : सूखी नदी पर ख़ाली नाव (पृष्ठ 118)
संपादक : वंशी माहेश्वरी
रचनाकार : माची तवारा
प्रकाशन : संभावना प्रकाशन
संस्करण : 2020
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.