तुम  मुझे  लौटा  रहे  उपहार,   
इससे  क्या  मिलेगा?  
चित्र  तो  लौटा  दिए  चलचित्र  के  छलछंद  का  क्या?  
पुष्प  लेकर  आ  गए  हो  किंतु  उसकी  गंध  का  क्या?  
चिट्ठियाँ  मसिमय  रही  हैं,  शब्दमय  कुछ  भी  नहीं  था?  
क्या  घड़ी  ही  दी  तुम्हें,  मेरा  समय  कुछ  भी  नहीं  था?  
दो  क़लम  या  सूखते  कचनार,  
इससे  क्या  मिलेगा?  
बाँह  से  तुम  नाम  मेरा,  द्वार  से  पद-छाप  धोते।  
इन  सभी  से  आत्मा  के  चिह्न  थोड़ी  नष्ट  होते!  
वृक्ष  पर  बाँधे  गए  धागे  नहीं  विश्वास  भी  थे।  
याद  होगा  कुछ  इन्हीं  में  निर्जला  उपवास  भी  थे।  
मत  करो  मृदु-भाव  का  व्यापार,  
इससे  क्या  मिलेगा?  
मुद्रिका  देकर  भला  क्या  बंधनों  से  मुक्त  होगे!  
जो  तुम्हारी  उँगलियों  में  स्पर्श  मेरा,  दे  सकोगे?  
दे  सको  तो  भावनाओं  के  मुझे  भग्नाँश  दे  दो!  
तुम  मुझे  मेरा  वही  निश्छल,  छलित  हृदयाँश  दे  दो  
दी  विदा  में  मूर्ति  हृदयाकार,  
इससे  क्या  मिलेगा?  
                tum  mujhe  lauta  rahe  uphaar,  
isse  kya  milega?  
chitr  to  lauta  diye  chalchitr  ke  chhalchhand  ka  kyaa?  
pushp  lekar  aa  ge  ho  kintu  uski  gandh  ka  kyaa?  
chitthiyan  masimay  rahi  hain,  shabdmay  kuch  bhi  nahin  tha?  
kya  ghaDi  hi  di  tumhein,  mera  samay  kuch  bhi  nahin  tha?  
do  qalam  ya  sukhte  kachnar,  
isse  kya  milega?  
baanh  se  tum  naam  mera,  dvaar  se  pad  chhaap  dhote.  
in  sabhi  se  aatma  ke  chihn  thoDi  nasht  hote!  
vriksh  par  bandhe  ge  dhage  nahin  vishvas  bhi  the.  
yaad  hoga  kuch  inhin  mein  nirjala  upvaas  bhi  the.  
mat  karo  mridu  bhaav  ka  vyapar,  
isse  kya  milega?  
mudrika  dekar  bhala  kya  bandhnon  se  mukt  hoge!  
jo  tumhari  ungliyon  mein  sparsh  mera,  de  sakoge?  
de  sako  to  bhavnaon  ke  mujhe  bhagnansh  de  do!  
tum  mujhe  mera  vahi  nishchhal,  chhalit  hridyansh  de  do  
di  vida  mein  murti  hridyakar,  

        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : इति शिवहरे 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.