जब-जब  मुझे  ध्यान  आया  तुम्हारा,  
मुझको  नई  मंज़िलों  ने  पुकारा!  
जीवन  रहा  राह,  
पाथेय  पथ-दाह,  
शीतल  मिली  किन्तु  
सुधि  की  सघन  छाँह,  
जब-जब  बना  कल्पना-कूल  कारा,  
मझधार  में  प्राण  तुमने  उतारा!  
भूली  प्रणय-पीर,  
रीता  नयन-नीर,  
संघर्ष  बनता  गया  
द्रौपदी-चीर,  
जब  हारकर  बन  गया  आत्महारा,  
तुमने  मुझे  चेतना-तीर  मारा!  
जब  स्वप्न  का  फूल,  
मिटकर  बना  धूल,  
जग  याद  था  और  
तुमको  गया  भूल,  
तुमने  नहीं  किंतु  मुझको  बिसारा,  
देती  रहीं  नित्य  गति  का  सहारा!  
तुम  तृप्ति  बन,  प्यास—  
में  आ  गई  पास,  
था  जब  लगा  टूटने  
आत्म-विश्वास,  
जब-जब  लगे  पाँव  कसने  किनारा,  
तुम  स्वप्न  बन  भर  गईं  शक्ति-धारा!  
जब-जब  मुझे  ध्यान  आया  तुम्हारा,  
मुझको  नई  मंज़िलों  ने  पुकारा!  
             
                jab  jab  mujhe  dhyaan  aaya  tumhara,  
mujhko  nai  manzilon  ne  pukara!  
jivan  raha  raah,  
pathey  path  daah,  
shital  mili  kintu  
sudhi  ki  saghan  chhaanh,  
jab  jab  bana  kalpana  kool  kara,  
majhdhar  mein  praan  tumne  utara!  
bhuli  prnay  peer,  
rita  nayan  neer,  
sangharsh  banta  gaya  
draupadi  cheer,  
jab  harkar  ban  gaya  atmhara,  
tumne  mujhe  chetna  teer  mara!  
jab  svapn  ka  phool,  
mitkar  bana  dhool,  
jag  yaad  tha  aur  
tumko  gaya  bhool,  
tumne  nahin  kintu  mujhko  bisara,  
deti  rahin  nitya  gati  ka  sahara!  
tum  tripti  ban,  pyaas—  
mein  aa  gai  paas,  
tha  jab  laga  tutne  
aatm  vishvas,  
jab  jab  lage  paanv  kasne  kinara,  
tum  svapn  ban  bhar  gain  shakti  dhara!  
jab  jab  mujhe  dhyaan  aaya  tumhara,  
mujhko  nai  manzilon  ne  pukara!  
jab  jab  mujhe  dhyaan  aaya  tumhara,  
mujhko  nai  manzilon  ne  pukara!  
jivan  raha  raah,  
pathey  path  daah,  
shital  mili  kintu  
sudhi  ki  saghan  chhaanh,  
jab  jab  bana  kalpana  kool  kara,  
majhdhar  mein  praan  tumne  utara!  
bhuli  prnay  peer,  
rita  nayan  neer,  
sangharsh  banta  gaya  
draupadi  cheer,  
jab  harkar  ban  gaya  atmhara,  
tumne  mujhe  chetna  teer  mara!  
jab  svapn  ka  phool,  
mitkar  bana  dhool,  
jag  yaad  tha  aur  
tumko  gaya  bhool,  
tumne  nahin  kintu  mujhko  bisara,  
deti  rahin  nitya  gati  ka  sahara!  
tum  tripti  ban,  pyaas—  
mein  aa  gai  paas,  
tha  jab  laga  tutne  
aatm  vishvas,  
jab  jab  lage  paanv  kasne  kinara,  
tum  svapn  ban  bhar  gain  shakti  dhara!  
jab  jab  mujhe  dhyaan  aaya  tumhara,  
mujhko  nai  manzilon  ne  pukara!  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : दिवालोक (पृष्ठ 50) 
                                                                    रचनाकार  : शंभुनाथ सिंह  
                                            
                             प्रकाशन  : राजकमल प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 1953 
                 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.