यदि  मिलें  अपकर्म  से,  
उपलब्धियाँ,  उपहार  मुझको।  
यह  नहीं  स्वीकार  मुझको!  
मूर्ख  महिमासिद्ध  हों,  गौरवमयी  उद्बोधनों  से।  
व्यक्त  कर  दूँ  कंकरों  को,  मैं  शिखर  संबोधनों  से।  
तब  मुझे  यश-कीर्ति  का  दे  लोभ,  मत,  मतिभ्रम  बढ़ाओ।  
है  विनय  करबद्ध,  ये  प्रस्ताव  लेकर  लौट  जाओ।  
वेदिका  पर  पाप  की,    
यजमान  का  सत्कार  मुझको।  
यह  नहीं  स्वीकार  मुझको!  
मत  बताओ  मार्ग  मुझको,  मैं  भटकना  चाहती  हूँ।  
मैं  स्वयं  के  तीर्थाटन  पर  निकलना  चाहती  हूँ।  
पुष्प  सब  चुन  लो,  यही  सबसे  बड़े  अवरोध  देंगे।  
पथ  सजाओ  कंटकों  से,  तीव्र  गति  ये  ही  बनेंगे।  
रोक  सकता  है  अभी,  
कोई  मृदुल  व्यवहार  मुझको!  
यह  नहीं  स्वीकार  मुझको!  
जो  स्वयं  को  सूर्य  समझें,  शीत  से  अविदित  नहीं  हैं!  
बस  अभी  मेरी  उचित  पहचान  से  परिचित  नहीं  हैं।  
यदि  उठाई  आँख  कोई,  फिर  प्रलय  तक  आ  रुकूँगी।  
मैं  नदी,  नभ  तक  गई  हर  बूँद  वापस  माँग  लूँगी।  
मैं  करूँ  निर्माण  तब,  
निर्वाण  का  अधिकार  मुझको।  
है  यही  स्वीकार  मुझको!  
                yadi  milen  apkarm  se,  
uplabdhiyan,  uphaar  mujhko.  
ye  nahin  svikar  mujhko!  
moorkh  mahimasiddh  hon,  gauravamyi  udbodhnon  se.  
vyakt  kar  doon  kankron  ko,  main  shikhar  sambodhnon  se.  
tab  mujhe  yash  kirti  ka  de  lobh,  mat,  matibhram  baDhao.  
hai  vinay  karbaddh,  ye  prastav  lekar  laut  jao.  
vedika  par  paap  ki,  
yajman  ka  satkar  mujhko.  
ye  nahin  svikar  mujhko!  
mat  batao  maarg  mujhko,  main  bhatakna  chahti  hoon.  
main  svayan  ke  tirthatan  par  nikalna  chahti  hoon.  
pushp  sab  chun  lo,  yahi  sabse  baDe  avrodh  denge.  
path  sajao  kantkon  se,  teevr  gati  ye  hi  banenge.  
rok  sakta  hai  abhi,  
koi  mridul  vyvahar  mujhko!  
ye  nahin  svikar  mujhko!  
jo  svayan  ko  surya  samjhen,  sheet  se  avidit  nahin  hain!  
bas  abhi  meri  uchit  pahchan  se  parichit  nahin  hain.  
yadi  uthai  ankh  koi,  phir  prlay  tak  aa  rukungi.  
main  nadi,  nabh  tak  gai  har  boond  vapas  maang  lungi.  
main  karun  nirman  tab,  
nirvan  ka  adhikar  mujhko.  
hai  yahi  svikar  mujhko!  

        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : इति शिवहरे 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.