चौसर के इस दाँव पेंच पर,
अभी न निर्णय कोई सुनाओ,
शकुनि जैसी चालें चलकर,
अभी न अपनी जीत मनाओ,
कुरूक्षेत्र में पाँचाली से
अभी खुले हैं केश हमारे!
अभी युद्ध है शेष हमारे !
अभी समर की पुण्यभूमि में,
हमने पहला क़दम रखा है,
अभी अश्रु पोंछे हैं हमने,
अब आँखों से साफ़ दिखा है,
अभी हमारे अपमानों का,
हमको उत्तर नहीं मिला है,
अभी रक्त भी नहीं थमा है,
अभी घाव भी नहीं सिला है,
अभी नियंत्रित रहो हृदय तुम,
मानो सब आदेश हमारे!
अभी पाँव ये नहीं थके है,
अभी न चाहे कोई किनारे,
स्वयं रथी हैं स्वयं सारथी,
अभी न माँगे कोई सहारे,
अभी हृदय है व्यथित,
समर में अभी शेष प्रतिशोध हमारा,
संधिपत्र हम कैसे लिख दें,
अभी शेष है क्रोध हमारा
कल को हमको धिक्कारेंगे,
अपमानित अवशेष हमारे!
अभी कहाँ ये न्याय हुआ है,
किसका दोषी कौन रहा है?
पाप, कृत्य दुशासन सा या
धर्मराज-सा मौन रहा है?
मौन रहें गाँडीव गदा सब,
मुझे न कोई आशा इनसे,
कृष्ण! चीर की नहीं मुझे
अब गीता की अभिलाषा तुमसे,
बात मान पर आ पहुँची है,
रण-निर्णय अनिमेष हमारे!
chausar ke is daanv pench par,
abhi na nirnay koi sunao,
shakuni jaisi chalen chalkar,
abhi na apni jeet manao,
kurukshetr mein panchali se
abhi khule hain kesh hamare!
abhi yuddh hai shesh hamare !
abhi samar ki punybhumi mein,
hamne pahla qadam rakha hai,
abhi ashru ponchhe hain hamne,
ab ankhon se saaf dikha hai,
abhi hamare apmanon ka,
hamko uttar nahin mila hai,
abhi rakt bhi nahin thama hai,
abhi ghaav bhi nahin sila hai,
abhi niyantrit raho hriday tum,
mano sab adesh hamare!
abhi paanv ye nahin thake hai,
abhi na chahe koi kinare,
svayan rathi hain svayan sarthi,
abhi na mange koi sahare,
abhi hriday hai vyathit,
samar mein abhi shesh pratishodh hamara,
sandhipatr hum kaise likh den,
abhi shesh hai krodh hamara
kal ko hamko dhikkarenge,
apmanit avshesh hamare!
abhi kahan ye nyaay hua hai,
kiska doshi kaun raha hai?
paap, kritya dushasan sa ya
dharmaraj sa maun raha hai?
maun rahen ganDiv gada sab,
mujhe na koi aasha inse,
krishn! cheer ki nahin mujhe
ab gita ki abhilasha tumse,
baat maan par aa pahunchi hai,
ran nirnay animesh hamare!
chausar ke is daanv pench par,
abhi na nirnay koi sunao,
shakuni jaisi chalen chalkar,
abhi na apni jeet manao,
kurukshetr mein panchali se
abhi khule hain kesh hamare!
abhi yuddh hai shesh hamare !
abhi samar ki punybhumi mein,
hamne pahla qadam rakha hai,
abhi ashru ponchhe hain hamne,
ab ankhon se saaf dikha hai,
abhi hamare apmanon ka,
hamko uttar nahin mila hai,
abhi rakt bhi nahin thama hai,
abhi ghaav bhi nahin sila hai,
abhi niyantrit raho hriday tum,
mano sab adesh hamare!
abhi paanv ye nahin thake hai,
abhi na chahe koi kinare,
svayan rathi hain svayan sarthi,
abhi na mange koi sahare,
abhi hriday hai vyathit,
samar mein abhi shesh pratishodh hamara,
sandhipatr hum kaise likh den,
abhi shesh hai krodh hamara
kal ko hamko dhikkarenge,
apmanit avshesh hamare!
abhi kahan ye nyaay hua hai,
kiska doshi kaun raha hai?
paap, kritya dushasan sa ya
dharmaraj sa maun raha hai?
maun rahen ganDiv gada sab,
mujhe na koi aasha inse,
krishn! cheer ki nahin mujhe
ab gita ki abhilasha tumse,
baat maan par aa pahunchi hai,
ran nirnay animesh hamare!
स्रोत :
रचनाकार : स्वरिका कीर्ति
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.