बहन,  तुम  देखती  हो  कितने  सारे  भिखारी  
और  अभागे,  और  कितने  सारे  भलेमानस  चीथड़े  बीनने  वाले  
सिर्फ़  हम  दो  हैं  :  मुट्ठी  बंधे  भिखारी  
और  गूँगे  अभागे  
बहन,  अपना  हाथ  मुझे  पकड़ाओ,  यहाँ  इतनी  कारें  
और  इतने  सारे  बड़े  लोग  चलते  हैं  कि  हमें  होशियार  रहना  होगा  
अगर  मैंने  तुम्हें  छोड़  दिया  तो  अंधे  गलियारे  तुम्हें  ले  जाएँगे  
बहन,  देखो,  हम  दो  हैं  :  एक  पिता  के  सपने  
और  दो  माँओं  की  तकलीफ़ें  हम  में  चीख़ती  हैं  
दो  सुंदर  आलिंगनों  की  निशानियों  की  तरह,  देखो,  
हम  बचे  हैं,  दो  महान्  स्वप्न-स्मृतियाँ,  और  हमारे  ख़्वाब  
सुबहों  में  धीरे-धीरे  सरकते  हैं,  दिन  के  डंठलों  के  खेतों  पर  
हम  सपने  देखते  हैं  
और  जब  घूमने  जाते  हैं  तो  एक-दूसरे  का  हाथ  पकड़े  रहते  हैं।  
                bahan,  tum  dekhti  ho  kitne  sare  bhikhari  
aur  abhage,  aur  kitne  sare  bhalemanas  chithDe  binne  vale  
sirf  hum  do  hain  ha  mutthi  bandhe  bhikhari  
aur  gunge  abhage  
bahan,  apna  haath  mujhe  pakDao,  yahan  itni  karen  
aur  itne  sare  baDe  log  chalte  hain  ki  hamein  hoshiyar  rahna  hoga  
agar  mainne  tumhein  chhoD  diya  to  andhe  galiyare  tumhein  le  jayenge  
bahan,  dekho,  hum  do  hain  ha  ek  pita  ke  sapne  
aur  do  manon  ki  taklifen  hum  mein  chikhti  hain  
do  sundar  alingnon  ki  nishaniyon  ki  tarah,  dekho,  
hum  bache  hain,  do  mahan  svapn  smritiyan,  aur  hamare  khvaab  
subhon  mein  dhire  dhire  sarakte  hain,  din  ke  Danthlon  ke  kheton  par  
hum  sapne  dekhte  hain  
aur  jab  ghumne  jate  hain  to  ek  dusre  ka  haath  pakDe  rahte  hain.  

        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : प्यास से मरती एक नदी (पृष्ठ 208)संपादक  : वंशी माहेश्वरी रचनाकार  : मिक्लोश राद्नोती 
                             प्रकाशन  : संभावना प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 2020 
                
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.