हिलते  हैं  दरख़्तों  के  तने  और  बाज़ार  में  भूचाल  आ  जाता  है  
कोई  रात  भर  जागकर  लिखता  है  किसी  का  नाम  
और  सुबह  भूल  जाता  है!  
एक  अकेली  उदास  लड़की  पीली  पत्तियों  में  से  गुज़र  जाती  है  
धूप  अकेली  लेटी  रहती  है  चुपचाप  
और  लावारिस  कुत्ते  छतों  को  ताक़ते  सड़क  को  गालियाँ  देते  हैं!  
मैं  एक  बुझे  सिगार  को  रास्ते  से  उठा  लाता  हूँ  
और  अपने  फटे  घुटनों  पर  सिर  टिकाकर  
सुलगाता  हूँ  
एक  गर्म  साँस  छत  से  उतरती  है  
और  जिस  ओर  मैं  मुँह  उठाता  हूँ  
बेहया  की  तरह  सामने  पसर  जाती  है!  
रात  लोमड़ी  की  तरह  चुपचाप  जंगल  से  भाग  आती  है  
और  मेरे  कलेजे  में  चुभने  लगती  हैं  सुइयाँ  
किसी  बियाबान  में  घूमती  एक  आवारा  गाय  
किसी  गिरफ़्त  में  आने  को  बेचैन  नज़र  आती  है।  
फट  जाता  है  आसमान  
और  उगल  देता  है  काला  सूर्य  
मैं  अपने  फटे  हुए  जूतों  में  उँगलियाँ  फँसाता  हूँ  
और  उन  गलियों  की  ओर  निकल  जाता  हूँ  
जहाँ  रात  में  घूमते  हुए  मुझे  शर्म  आती  थी!  
                hilte  hain  darakhton  ke  tane  aur  bazar  mein  bhuchal  aa  jata  hai  
koi  raat  bhar  jagkar  likhta  hai  kisi  ka  nam  
aur  subah  bhool  jata  hai!  
ek  akeli  udas  laDki  pili  pattiyon  mein  se  guzar  jati  hai  
dhoop  akeli  leti  rahti  hai  chupchap  
aur  lawaris  kutte  chhaton  ko  taqte  saDak  ko  galiyan  dete  hain!  
main  ek  bujhe  cigar  ko  raste  se  utha  lata  hoon  
aur  apne  phate  ghutnon  par  sir  tikakar  
sulgata  hoon  
ek  garm  sans  chhat  se  utarti  hai  
aur  jis  or  main  munh  uthata  hoon  
behaya  ki  tarah  samne  pasar  jati  hai!  
raat  lomDi  ki  tarah  chupchap  jangal  se  bhag  aati  hai  
aur  mere  kaleje  mein  chubhne  lagti  hain  suiyan  
kisi  biyaban  mein  ghumti  ek  awara  gay  
kisi  giraft  mein  aane  ko  bechain  nazar  aati  hai  
phat  jata  hai  asman  
aur  ugal  deta  hai  kala  surya  
main  apne  phate  hue  juton  mein  ungliyan  phansata  hoon  
aur  un  galiyon  ki  or  nikal  jata  hoon  
jahan  raat  mein  ghumte  hue  mujhe  sharm  aati  thee!  
hilte  hain  darakhton  ke  tane  aur  bazar  mein  bhuchal  aa  jata  hai  
koi  raat  bhar  jagkar  likhta  hai  kisi  ka  nam  
aur  subah  bhool  jata  hai!  
ek  akeli  udas  laDki  pili  pattiyon  mein  se  guzar  jati  hai  
dhoop  akeli  leti  rahti  hai  chupchap  
aur  lawaris  kutte  chhaton  ko  taqte  saDak  ko  galiyan  dete  hain!  
main  ek  bujhe  cigar  ko  raste  se  utha  lata  hoon  
aur  apne  phate  ghutnon  par  sir  tikakar  
sulgata  hoon  
ek  garm  sans  chhat  se  utarti  hai  
aur  jis  or  main  munh  uthata  hoon  
behaya  ki  tarah  samne  pasar  jati  hai!  
raat  lomDi  ki  tarah  chupchap  jangal  se  bhag  aati  hai  
aur  mere  kaleje  mein  chubhne  lagti  hain  suiyan  
kisi  biyaban  mein  ghumti  ek  awara  gay  
kisi  giraft  mein  aane  ko  bechain  nazar  aati  hai  
phat  jata  hai  asman  
aur  ugal  deta  hai  kala  surya  
main  apne  phate  hue  juton  mein  ungliyan  phansata  hoon  
aur  un  galiyon  ki  or  nikal  jata  hoon  
jahan  raat  mein  ghumte  hue  mujhe  sharm  aati  thee!  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : विजप (पृष्ठ 60)रचनाकार  : जगदीश चतुर्वेदी 
                             प्रकाशन  : राधाकृष्ण प्रकाशन
                         
                                                संस्करण   : 1967 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.