पेड़  खड़े  हैं  कृतज्ञ  भाव  से  
धूप  के  चेहरे  पर  भी  है  तेज  
और  कृतज्ञता  की  हरियाली  
पानी  दिख  जाता  है  धरती  पर  हर  जगह  
शालीनता  और  कृतज्ञता  की  तख्ती  लेकर  
किसी  भी  रूप  में  ढलने  के  लिए  
नदी  बही  जा  रही  है  कृतज्ञता  से  
न  छल  है  मन  में—  
न  कपट,  न  चमचागिरी  
उसका  सरल-सुंदर  रूप  देखकर,  
सैकड़ों  जीव-जन्तु  भी  हैं  कृतज्ञ  
उसके  प्रति  
फल,  फूल-फसलें,  
सूरज,  चाँद,  सितारे,  समुद्र,  माटी  
पहाड़  भी  पढ़  रहे  हैं  कृतज्ञता  के  पाठ  
बाकी  बचा  आसमान  तो  
वह  पहले  ही  पढ़  चुका  है  कृतज्ञता  के  सभी  अध्याय  
और  विचार-विमर्श  
आग  भी  तो  कृतज्ञ  है  
दिखती  नहीं  है  पर  होती  है  प्रत्येक  जगह  
बिलकुल  हवा  की  तरह,  
ज़िंदगी  उगाने  के  लिए  
तभी  छोड़कर  नहीं  जाती  है  कभी  किसी  को  
सुबह,  दोपहर,  शाम  और  शांत  रातें  
सबके  हाथों  में  डायरी  
जिसमें  लिखा  हुआ  है—  हम  सब  कृतज्ञ  हैं  
ये  किनके  प्रति  कृतज्ञ  हैं?  
और  किनका  किससे  संबंध  है?  
ये  सब  ये  जानें  
मैं  तो  बस  यह  कहना  चाहता  हूँ  
कि  मेरे  ऊपर  से  दुख  की  चादर  हटाकर  
आपने  जिस  प्रकार  मुझे  छुआ—  
मुझे  भारी  विश्वास  और  सुख  का  एहसास  हुआ  
बस  तभी  से  हूँ  मै—  
कृतज्ञ  आपका।  
             
                peD  khaDe  hain  kritagya  bhaav  se  
dhoop  ke  chehre  par  bhi  hai  tej  
aur  kritagyta  ki  hariyali  
pani  dikh  jata  hai  dharti  par  har  jagah  
shalinata  aur  kritagyta  ki  takhti  lekar  
kisi  bhi  roop  mein  Dhalne  ke  liye  
nadi  bahi  ja  rahi  hai  kritagyta  se  
na  chhal  hai  man  men—  
na  kapat,  na  chamchagiri  
uska  saral  sundar  roop  dekhkar,  
saikDon  jeev  jantu  bhi  hain  kritagya  
uske  prati  
phal,  phool  phaslen,  
suraj,  chaand,  sitare,  samudr,  mati  
pahaD  bhi  paDh  rahe  hain  kritagyta  ke  paath  
baki  bacha  asman  to  
wo  pahle  hi  paDh  chuka  hai  kritagyta  ke  sabhi  adhyay  
aur  vichar  vimarsh  
aag  bhi  to  kritagya  hai  
dikhti  nahin  hai  par  hoti  hai  pratyek  jagah  
bilkul  hava  ki  tarah,  
zindagi  ugane  ke  liye  
tabhi  chhoDkar  nahin  jati  hai  kabhi  kisi  ko  
subah,  dopahar,  shaam  aur  shaant  raten  
sabke  hathon  mein  Dayri  
jismen  likha  hua  hai—  hum  sab  kritagya  hain  
ye  kinke  prati  kritagya  hain?  
aur  kinka  kisse  sambandh  hai?  
ye  sab  ye  janen  
main  to  bas  ye  kahna  chahta  hoon  
ki  mere  uupar  se  dukh  ki  chadar  hatakar  
aapne  jis  prakar  mujhe  chhua—  
mujhe  bhari  vishvas  aur  sukh  ka  ehsaas  hua  
bas  tabhi  se  hoon  mai—  
kritagya  aapka.  
peD  khaDe  hain  kritagya  bhaav  se  
dhoop  ke  chehre  par  bhi  hai  tej  
aur  kritagyta  ki  hariyali  
pani  dikh  jata  hai  dharti  par  har  jagah  
shalinata  aur  kritagyta  ki  takhti  lekar  
kisi  bhi  roop  mein  Dhalne  ke  liye  
nadi  bahi  ja  rahi  hai  kritagyta  se  
na  chhal  hai  man  men—  
na  kapat,  na  chamchagiri  
uska  saral  sundar  roop  dekhkar,  
saikDon  jeev  jantu  bhi  hain  kritagya  
uske  prati  
phal,  phool  phaslen,  
suraj,  chaand,  sitare,  samudr,  mati  
pahaD  bhi  paDh  rahe  hain  kritagyta  ke  paath  
baki  bacha  asman  to  
wo  pahle  hi  paDh  chuka  hai  kritagyta  ke  sabhi  adhyay  
aur  vichar  vimarsh  
aag  bhi  to  kritagya  hai  
dikhti  nahin  hai  par  hoti  hai  pratyek  jagah  
bilkul  hava  ki  tarah,  
zindagi  ugane  ke  liye  
tabhi  chhoDkar  nahin  jati  hai  kabhi  kisi  ko  
subah,  dopahar,  shaam  aur  shaant  raten  
sabke  hathon  mein  Dayri  
jismen  likha  hua  hai—  hum  sab  kritagya  hain  
ye  kinke  prati  kritagya  hain?  
aur  kinka  kisse  sambandh  hai?  
ye  sab  ye  janen  
main  to  bas  ye  kahna  chahta  hoon  
ki  mere  uupar  se  dukh  ki  chadar  hatakar  
aapne  jis  prakar  mujhe  chhua—  
mujhe  bhari  vishvas  aur  sukh  ka  ehsaas  hua  
bas  tabhi  se  hoon  mai—  
kritagya  aapka.  
 
             
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : खेमकरण ‘सोमन’  
                                            
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.