मैं  हलीम  तृतीय  हूँ,  महान्  और  पवित्र,  
सुल्तानों  का  सुल्तान;  
मेरे  गौर  हाथों  से  शुरू  होते  हैं  दिन  
मेरी  रियाया  के  
मेरा  उठना  मात्र  ही  
अज्ञात  कुमारियों  तक  मेरी  उद्दीप्ति  पहुँचा  देता  है  
मैं  समय  का  बोध  करता  हूँ  
अपने  ही  नैरंतर्य  से  
अखिल  ब्रह्माण्ड  की  समस्त  दिशाएँ  प्रसारित  हैं  
मेरे  ही  तन  की  परिधि  तक  
और  मेरे  तमाम  स्थल  सुखद  हैं  
मेरे  ही  तन  से  
मैंने  ही  उक़ाबों  के  साथ  
आज़ाद  कर  दिया  है  विज्ञान,  कविता  और  विजय  अभियानों  को  
ताकि  आने  वाली  पीढ़ियाँ  सुखी  हों  
समुद्रों  पर  ज़मीन  पर  
आसमान  बाअदब  हैं  मेरे  ऊपर  छाए  हुए  
गहरे  और  नीले  
मेरा  प्यार  और  रक्त  दो  अनंतताओं  की  भाँति  
परस्पर  समान  हैं  
जहाँ  तक  गुंजायश  है  अक़्ल  की  
भद्र,  सुंदर,  स्वस्थ  और  परम  हूँ  मैं  
हलीम  तृतीय—  
और  तुम  कौन  हो,  ओ  पर्वत  ओ  चट्टानों?  
                main  halim  tritiy  hoon,  mahan  aur  pavitra,  
sultanon  ka  sultan;  
mere  gaur  hathon  se  shuru  hote  hain  din  
meri  riyaya  ke  
mera  uthna  maatr  hi  
agyat  kumariyon  tak  meri  uddipti  pahuncha  deta  hai  
main  samay  ka  bodh  karta  hoon  
apne  hi  nairantarya  se  
akhil  brahmanD  ki  samast  dishayen  prasarit  hain  
mere  hi  tan  ki  paridhi  tak  
aur  mere  tamam  sthal  sukhad  hain  
mere  hi  tan  se  
mainne  hi  uqabon  ke  saath  
azad  kar  diya  hai  vigyan,  kavita  aur  vijay  abhiyanon  ko  
taki  aane  vali  piDhiyan  sukhi  hon  
samudron  par  zamin  par  
asman  baadab  hain  mere  uupar  chhaye  hue  
gahre  aur  nile  
mera  pyaar  aur  rakt  do  ananttaon  ki  bhanti  
paraspar  saman  hain  
jahan  tak  gunjayash  hai  aql  ki  
bhadr,  sundar,  svasth  aur  param  hoon  main  
halim  tritiy—  
aur  tum  kaun  ho,  o  parvat  o  chattanon?  
main  halim  tritiy  hoon,  mahan  aur  pavitra,  
sultanon  ka  sultan;  
mere  gaur  hathon  se  shuru  hote  hain  din  
meri  riyaya  ke  
mera  uthna  maatr  hi  
agyat  kumariyon  tak  meri  uddipti  pahuncha  deta  hai  
main  samay  ka  bodh  karta  hoon  
apne  hi  nairantarya  se  
akhil  brahmanD  ki  samast  dishayen  prasarit  hain  
mere  hi  tan  ki  paridhi  tak  
aur  mere  tamam  sthal  sukhad  hain  
mere  hi  tan  se  
mainne  hi  uqabon  ke  saath  
azad  kar  diya  hai  vigyan,  kavita  aur  vijay  abhiyanon  ko  
taki  aane  vali  piDhiyan  sukhi  hon  
samudron  par  zamin  par  
asman  baadab  hain  mere  uupar  chhaye  hue  
gahre  aur  nile  
mera  pyaar  aur  rakt  do  ananttaon  ki  bhanti  
paraspar  saman  hain  
jahan  tak  gunjayash  hai  aql  ki  
bhadr,  sundar,  svasth  aur  param  hoon  main  
halim  tritiy—  
aur  tum  kaun  ho,  o  parvat  o  chattanon?  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : देशान्तर (पृष्ठ 249)संपादक  : धर्मवीर भारती रचनाकार  : फ़ाज़िल हुस्नू दालारजा 
                             प्रकाशन  : भारतीय ज्ञानपीठ, काशी
                         
                                                संस्करण   : 1960 
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.