वे काँटों से बचकर बेर तोड़ने के दिन थे
जब पगडंडियों से उड़ती धूल-सी तुम्हारी हँसी
फैल जाती थी मुझ पर
तुम हँसती थी मुझे जामुन के पेड़ से उतरते देखकर
कहती थी कि मैं बंदर हो जाता हूँ
एक डाल से दूसरे पर उछलते हुए
अधपके हरे-बैंगनी और खट्टे जामुन मैं तुम्हारे दुपट्टे में रखता था
और तुम हवा से बिखरे मेरे बालों को देखकर
मुझे पुराने ज़माने का हीरो कहती थी
साँझ में कभी पीले बादल उतर आते थे
मेरे दरवाज़े पर लगे नीम के पेड़ पर
और कड़वे होने पर सिंदूरी हो जाते थे
जब मैं तुम्हें दिखाना चाहता था
बादल के बदलते रंग
तब तुम सरसों के खेत से उड़ती मधुमक्खियों से
डरती हुई भागती थी
न जाने किस ओर
और मैं दूर से ही कहता था
तुम्हारे दरवाज़े पर तो कभी नहीं आते हैं बादल?
लेकिन मेरी वह आवाज़ लौट आती थी
मिडिल स्कूल की रंग उड़ी दीवारों से टकराकर
we kanton se bachkar ber toDne ke din the
jab pagDanDiyon se uDti dhool si tumhari hansi
phail jati thi mujh par
tum hansti thi mujhe jamun ke peD se utarte dekhkar
kahti thi ki main bandar ho jata hoon
ek Dal se dusre par uchhalte hue
adhapke hare baingni aur khatte jamun main tumhare dupatte mein rakhta tha
aur tum hawa se bikhre mere balon ko dekhkar
mujhe purane zamane ka hero kahti thi
sanjh mein kabhi pile badal utar aate the
mere darwaze par lage neem ke peD par
aur kaDwe hone par sinduri ho jate the
jab main tumhein dikhana chahta tha
badal ke badalte rang
tab tum sarson ke khet se uDti madhumakkhiyon se
Darti hui bhagti thi
na jane kis or
aur main door se hi kahta tha
tumhare darwaze par to kabhi nahin aate hain badal?
lekin meri wo awaz laut aati thi
middle school ki rang uDi diwaron se takrakar

स्रोत :
- रचनाकार : गुलज़ार हुसैन
-
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.