देव! तुम्हारे कई उपासक कई ढंग से आते हैं।
सेवा में बहुमूल्य भेंट वे कई रंग की लाते हैं॥
धूमधाम से साजबाज से वे मंदिर में आते हैं।
मुक्तामणि बहुमूल्य वस्तुऐं लाकर तुम्हें चढ़ाते हैं॥
मैं ही हूँ ग़रीबिनी ऐसी जो कुछ साथ नहीं लाई।
फिर भी साहस कर मंदिर में पूजा करने को आई॥
धूप-दीप-नैवेद्य नहीं है झाँकी का शृंगार नहीं।
हाय! गले में पहनाने को फूलों का भी हार नहीं॥
कैसे करूँ कीर्तन, मेरे स्वर में है माधुर्य नहीं।
मन का भाव प्रकट करने को वाणी में चातुर्य नहीं॥
नहीं दान है, नहीं दक्षिणा ख़ाली हाथ चली आई।
पूजा की विधि नहीं जानती, फिर भी नाथ! चली आई॥
पूजा और पुजापा प्रभुवर! इसी पुजारिन को समझो।
दान-दक्षिणा और निछावर इसी भिखारिन को समझो॥
मैं उन्मत्त प्रेम की प्यासी हृदय दिखाने आई हूँ।
जो कुछ है, वह यही पास है, इसे चढ़ाने आई हूँ॥
चरणों पर अर्पित है, इसको चाहो तो स्वीकार करो।
यह तो वस्तु तुम्हारी ही है ठुकरा दो या प्यार करो॥
dev! tumhare kai upasak kai Dhang se aate hain.
seva mein bahumulya bhent ve kai rang ki late hain॥
dhumdham se sajbaj se ve mandir mein aate hain.
muktamani bahumulya vastuain lakar tumhein chaDhate hain॥
main hi hoon gharibini aisi jo kuch saath nahin lai.
phir bhi sahas kar mandir mein puja karne ko ai॥
dhoop deep naivedya nahin hai jhanki ka shringar nahin.
haay! gale mein pahnane ko phulon ka bhi haar nahin॥
kaise karun kirtan, mere svar mein hai madhurya nahin.
man ka bhaav prakat karne ko vani mein chaturya nahin॥
nahin daan hai, nahin dakshina khali haath chali aai.
puja ki vidhi nahin janti, phir bhi naath! chali ai॥
puja aur pujapa prabhuvar! isi pujarin ko samjho.
daan dakshina aur nichhavar isi bhikharin ko samjho॥
main unmatt prem ki pyasi hriday dikhane aai hoon.
jo kuch hai, wo yahi paas hai, ise chaDhane aai hoon॥
charnon par arpit hai, isko chaho to svikar karo.
ye to vastu tumhari hi hai thukra do ya pyaar karo॥

स्रोत :
पुस्तक : स्वतंत्रता पुकारती
संपादक : नंदकिशोर नवल
रचनाकार : सुभद्रा कुमारी चौहान
प्रकाशन : साहित्य अकादमी
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.