वे कंकर के साथ खेले
किसी भी कंकर जैसा कंकर
उनके हाथों में खिलौना बना, जैसे वह बेदिल हो
कंकर पर उन्होंने अपनी झुंझ उतारी
तोड़ दिया घास में उसे
और चौंककर देखा उसका दिल
उन्होंने कंकर का दिल खोला
दिल में एक साँप
स्वप्नहीन नींद में कुंडली मारे सोता हुआ
साँप के साथ उन्होंने छेड़छाड़ की
वह ऊपर की ओर चिटका
दूर चले गए वे भागकर
दूर से उन्होंने देखा
साँप ने दिगंत को अपनी कुंडली में लपेटा
और अंडे की तरह खा गया
वे जहाँ खेल रहे थे वहाँ वापस आए
साँप, घास या कंकर के टुकड़ों का नामोनिशाँ तक नहीं
कोई नामोनिशाँ नहीं उस घेरे में किसी भी चीज़ का
एक-दूसरे की तरफ़ देखते हुए उन्होंने दाँत निपोरे
आँखें मिचकाई एक-दूसरे की तरफ़।
ve kankar ke saath khele
kisi bhi kankar jaisa kankar
unke hathon mein khilauna bana, jaise wo bedil ho
kankar par unhonne apni jhunjh utari
toD diya ghaas mein use
aur chaunkkar dekha uska dil
unhonne kankar ka dil khola
dil mein ek saanp
svapnhin neend mein kunDli mare sota hua
saanp ke saath unhonne chheDchhaD ki
wo uupar ki or chitka
door chale ge ve bhagkar
door se unhonne dekha
saanp ne digant ko apni kunDli mein lapeta
aur anDe ki tarah kha gaya
ve jahan khel rahe the vahan vapas aaye
saanp, ghaas ya kankar ke tukDon ka namonishan tak nahin
koi namonishan nahin us ghere mein kisi bhi cheez ka
ek dusre ki taraf dekhte hue unhonne daant nipore
ankhen michkai ek dusre ki taraf.
ve kankar ke saath khele
kisi bhi kankar jaisa kankar
unke hathon mein khilauna bana, jaise wo bedil ho
kankar par unhonne apni jhunjh utari
toD diya ghaas mein use
aur chaunkkar dekha uska dil
unhonne kankar ka dil khola
dil mein ek saanp
svapnhin neend mein kunDli mare sota hua
saanp ke saath unhonne chheDchhaD ki
wo uupar ki or chitka
door chale ge ve bhagkar
door se unhonne dekha
saanp ne digant ko apni kunDli mein lapeta
aur anDe ki tarah kha gaya
ve jahan khel rahe the vahan vapas aaye
saanp, ghaas ya kankar ke tukDon ka namonishan tak nahin
koi namonishan nahin us ghere mein kisi bhi cheez ka
ek dusre ki taraf dekhte hue unhonne daant nipore
ankhen michkai ek dusre ki taraf.
स्रोत :
पुस्तक : रोशनी की खिड़कियाँ (पृष्ठ 308)
रचनाकार : वास्को पोपा
प्रकाशन : मेधा बुक्स
संस्करण : 2003
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.