सूरज  ने  दस्तक  दी  उषा  के  किवाड़ों  पर  
जीवन  की  डगर  पर  अँधेरा  एक  गुफा  
जिस  पर  रखी  समय  की  शिला  से  टकराकर  
अँधेरे  के  मुँह  पर  बैठ  जाता  है  सूरज  
ये  डर  है  उसका  
या  फिर  इस  अँधकार  में  
भटकने  की  आदी  हों  गई  उसकी  आँखें  
दिन  बहुत  छोटे  हों  गएँ  
शैतान  की  आँत-सा  बढ़ता  जा  रहा  अँधेरा  
रात  की  गुफा  में  उनींदी  पड़ी  है  उषा  
धुँधला  गएँ  नाउम्मीदी  के  सब  रंग  
आकाश  की  नीरवता  में  ठिुठुर  रहा  चाँद  
अँधेरे  के  अनुयाई  बेख़ौफ़  बजा  रहे  नगाड़ा  
उसको  उम्मीद  है  कि  लंबी  यात्रा  पर  निकला  सूरज  
एक  दिन  ज़रूर  वापस  आएगा  अँधेरे  की  छाती  पर  मूँग  दलने  
निरंतर  क्षितिज  को  घूर  रही  हैं  उसकी  रक्तिम  आँखें  
कोहरे  की  चादर  में  लिपटे  
धरती  के  किसी  घूसर  कोने  में  आग  ताप  रहा  है  सूरज।  
                suraj  ne  dastak  di  usha  ke  kivaDon  par  
jivan  ki  Dagar  par  andhera  ek  gupha  
jis  par  rakhi  samay  ki  shila  se  takrakar  
andhere  ke  munh  par  baith  jata  hai  suraj  
ye  Dar  hai  uska  
ya  phir  is  andhakar  mein  
bhatakne  ki  aadi  hon  gai  uski  ankhen  
din  bahut  chhote  hon  gen  
shaitan  ki  aant  sa  baDhta  ja  raha  andhera  
raat  ki  gupha  mein  unindi  paDi  hai  usha  
dhundhla  gen  naummidi  ke  sab  rang  
akash  ki  niravta  mein  thiuthur  raha  chaand  
andhere  ke  anuyai  bekhauf  baja  rahe  nagaDa  
usko  ummid  hai  ki  lambi  yatra  par  nikla  suraj  
ek  din  zarur  vapas  ayega  andhere  ki  chhati  par  moong  dalne  
nirantar  kshitij  ko  ghoor  rahi  hain  uski  raktim  ankhen  
kohre  ki  chadar  mein  lipte  
dharti  ke  kisi  ghusar  kone  mein  aag  taap  raha  hai  suraj.  
suraj  ne  dastak  di  usha  ke  kivaDon  par  
jivan  ki  Dagar  par  andhera  ek  gupha  
jis  par  rakhi  samay  ki  shila  se  takrakar  
andhere  ke  munh  par  baith  jata  hai  suraj  
ye  Dar  hai  uska  
ya  phir  is  andhakar  mein  
bhatakne  ki  aadi  hon  gai  uski  ankhen  
din  bahut  chhote  hon  gen  
shaitan  ki  aant  sa  baDhta  ja  raha  andhera  
raat  ki  gupha  mein  unindi  paDi  hai  usha  
dhundhla  gen  naummidi  ke  sab  rang  
akash  ki  niravta  mein  thiuthur  raha  chaand  
andhere  ke  anuyai  bekhauf  baja  rahe  nagaDa  
usko  ummid  hai  ki  lambi  yatra  par  nikla  suraj  
ek  din  zarur  vapas  ayega  andhere  ki  chhati  par  moong  dalne  
nirantar  kshitij  ko  ghoor  rahi  hain  uski  raktim  ankhen  
kohre  ki  chadar  mein  lipte  
dharti  ke  kisi  ghusar  kone  mein  aag  taap  raha  hai  suraj.  
 
    
 
    
        स्रोत : 
                
                                                                    रचनाकार  : रमेश प्रजापति 
                             प्रकाशन  : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
                         
                                     
                
                
     
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
 
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.