कितना सुख है इस बात में
कि मैं तुम्हारे बारे में सोचते हुए
तुम्हें छू सकती हूँ और कुछ लोग
छुअन की पवित्रता से बचे रह जाते हैं
तब मैं विजेता की तरह महसूस करती हूँ
कितना सुख है इस बात में
कि इस पूरे संसार में
तुमने सिर्फ़ मुझे चाहा
जबकि तुम चाह सकते थे
किसी भी रूपकन्या को
और सबसे सुंदर होने का गर्व
मेरे होंठों को सुर्ख़ बना देता है
कितना सुख है इस बात में
कि बियाबान से जंगल के टेसू का रंग
धीरे-धीरे तुम्हारे गले के
निचले हिस्से पर चढ़ता है
एक मैं हूँ
एक तुम हो
और सफ़ेद बारहमासा के फूल बरसते हैं
यही मेरे जीवन का वसंत है
यह दौर नरसंहारों का है
ख़ून जमने वाले रोगों का है
घुटते दमों के बावजूद
जीने की मजबूरियों का है
शोषितों और शोषण का है
कितना सुख है इस बात में
कि हम सबसे मजबूत शस्त्र के साथ पैदा हुए
जिससे युद्ध किया जा सकता है
इन सभी वीभत्सों से
kitna sukh hai is baat men
ki main tumhare bare mein sochte hue
tumhein chhu sakti hoon aur kuch log
chhuan ki pavitarta se bache rah jate hain
tab main vijeta ki tarah mahsus karti hoon
kitna sukh hai is baat men
ki is pure sansar men
tumne sirf mujhe chaha
jabki tum chaah sakte the
kisi bhi rupkanya ko
aur sabse sundar hone ka garv
mere honthon ko surkh bana deta hai
kitna sukh hai is baat men
ki biyaban se jangal ke tesu ka rang
dhire dhire tumhare gale ke
nichle hisse par chaDhta hai
ek main hoon
ek tum ho
aur safed barahmasa ke phool baraste hain
yahi mere jivan ka vasant hai
ye daur narsanharon ka hai
khoon jamne vale rogon ka hai
ghutte damon ke bavjud
jine ki majburiyon ka hai
shoshiton aur shoshan ka hai
kitna sukh hai is baat men
ki hum sabse majbut shastr ke saath paida hue
jisse yuddh kiya ja sakta hai
in sabhi vibhatson se
kitna sukh hai is baat men
ki main tumhare bare mein sochte hue
tumhein chhu sakti hoon aur kuch log
chhuan ki pavitarta se bache rah jate hain
tab main vijeta ki tarah mahsus karti hoon
kitna sukh hai is baat men
ki is pure sansar men
tumne sirf mujhe chaha
jabki tum chaah sakte the
kisi bhi rupkanya ko
aur sabse sundar hone ka garv
mere honthon ko surkh bana deta hai
kitna sukh hai is baat men
ki biyaban se jangal ke tesu ka rang
dhire dhire tumhare gale ke
nichle hisse par chaDhta hai
ek main hoon
ek tum ho
aur safed barahmasa ke phool baraste hain
yahi mere jivan ka vasant hai
ye daur narsanharon ka hai
khoon jamne vale rogon ka hai
ghutte damon ke bavjud
jine ki majburiyon ka hai
shoshiton aur shoshan ka hai
kitna sukh hai is baat men
ki hum sabse majbut shastr ke saath paida hue
jisse yuddh kiya ja sakta hai
in sabhi vibhatson se
स्रोत :
रचनाकार : सृष्टि वत्स
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.