71  
अर्गल  है  क्या  जो  रखे,  प्रेमी  उर  में  प्यार।  
घोषण  करती  साफ़  ही,  तुच्छ  नयन-जल-धार॥  
72  
प्रेम-शून्य  जन  स्वार्थरत,  साधें  सब  निज  काम।  
प्रेमी  अन्यों  के  लिए,  त्यागें  हड्डी-चाम॥  
73  
सिद्ध  हुआ  प्रिय  जीव  का,  जो  तन  से  संयोग।  
मिलन-यत्न-फल  प्रेम  से,  कहते  हैं  बुध  लोग॥  
74  
मिलनसार  के  भाव  को,  जनन  करेगा  प्रेम।  
वह  मैत्री  को  जन्म  दे,  जो  है  उत्तम  क्षेम॥  
75  
इहलौकिक  सुख  भोगते,  निश्रेयस  का  योग।  
प्रेमपूर्ण  गार्हस्थ्य  का,  फल  मानें  बुध  लोग॥  
76  
साथी  केवल  धर्म  का,  मानें  प्रेम,  अजान।  
त्राण  करे  वह  प्रेम  ही,  अधर्म  से  भी  जान॥  
77  
कीड़े  अस्थिविहीन  को,  झुलसेगा  ज्यों  धर्म।  
प्राणी  प्रेम  विहीन  को,  भस्म  करेगा  धर्म॥  
78  
नीरस  तरु  मरु  भूमि  पर,  क्या  हो  किसलय-युक्त।  
गृही  जीव  वैसा  समझ,  प्रेम-रहित  मन-युक्त॥  
79  
प्रेम  देह  में  यदि  नहीं,  बन  भातर  का  अंग।  
क्या  फल  हो  यदि  पास  हों,  सब  बाहर  के  अंग॥  
80  
प्रेम-मार्ग  पर  जो  चले,  देह  वही  सप्राण।  
चर्म-लपेटी  अस्थि  है,  प्रेम-हीन  की  मान॥  
             
                71  
argal  hai  kya  jo  rakhe,  premi  ur  mein  pyaar.  
ghoshan  karti  saaf  hi,  tuchchh  nayan  jal  dhaar॥  
72  
prem  shunya  jan  svarthrat,  sadhen  sab  nij  kaam.  
premi  anyon  ke  liye,  tyagen  haDDi  chaam॥  
73  
siddh  hua  priy  jeev  ka,  jo  tan  se  sanyog.  
milan  yatn  phal  prem  se,  kahte  hain  budh  log॥  
74  
milansar  ke  bhaav  ko,  janan  karega  prem.  
wo  maitri  ko  janm  de,  jo  hai  uttam  kshaem॥  
75  
ihlaukik  sukh  bhogte,  nishreyas  ka  yog.  
prempurn  garhasthy  ka,  phal  manen  budh  log॥  
76  
sathi  keval  dharm  ka,  manen  prem,  ajan.  
traan  kare  wo  prem  hi,  adharm  se  bhi  jaan॥  
77  
kiDe  asthivihin  ko,  jhulsega  jyon  dharm.  
parani  prem  vihin  ko,  bhasm  karega  dharm॥  
78  
niras  taru  maru  bhumi  par,  kya  ho  kislay  yukt.  
grihi  jeev  vaisa  samajh,  prem  rahit  man  yukt॥  
79  
prem  deh  mein  yadi  nahin,  ban  bhatar  ka  ang.  
kya  phal  ho  yadi  paas  hon,  sab  bahar  ke  ang॥  
80  
prem  maarg  par  jo  chale,  deh  vahi  sapran.  
charm  lapeti  asthi  hai,  prem  heen  ki  maan॥  

        स्रोत : 
                
                        पुस्तक  : तिरुक्कुरल : भाग 1 - धर्म-कांड  
                                                                    रचनाकार  : तिरुवल्लुवर  
                                                         
    Additional information available 
    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
    
    rare Unpublished content 
    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.