(एक)
जो घट गया
वह छूटता नहीं है सचमुच
एकांत की किसी गुंजलक में
अपने ही प्रतिबिंब को देखता
कुछ देर ठहरा रहता है चुपचाप
क्षणों की धूल के नीचे दबी रहती है
वह गलती
जिसे हमने नाम देना छोड़ दिया
कोई गली सूनी अब भी
अपने भरे होने की कामना में
हर साँझ को गिनती है
वह गोधूलि
जो चौखट पर अधमुँदी आँखों की तरह रखी थी
वैसी ही पड़ी है रंगों की चुप में
अर्धविस्मृत स्पर्श
दीवार पर पानी की परछाइयों सा काँपता है
जैसे किसी सुनसान घाट पर कई अधूरे स्नान ठहरे रहते हैं
और लहरें उन्हें छू कर गीली होती रहती हैं।
धूप कमरे में उतरती है
पर किसी कोण को नहीं चुनती
दीवार पर रुकती है फिर बिना संकेत लौट जाती है
कभी ठहरती है
जैसे फेरती हो सुमरनी किसी ऐसे की
जो अब केवल नाम में शेष है
भीतर की छायाएँ उसके साथ खिसकती जाती हैं
किसी पुराने गुलदान पर ठहरी दृष्टि
अब भी उसी दिशा में जमी है
जहाँ से लौटना नहीं हुआ था
कुछ आहटें पाँव नहीं रखतीं
वे झुकी हुई कमीज़ों में
या अनिद्रा से थके तकिये की सलवटों में
अपना रह जाना चुनती हैं
धूप हर दिन कुछ कहती है
पर उसके वाक्य
कभी पूरे नहीं होते
जैसे विस्मरण से ठीक पहले
लिखा गया कोई अधूरा उच्चारण।
पनघट पर पाँव डुबो देना
बस वहीं तक
जहाँ तक जल तुम्हें पहचानता हो
उसके बाद छवियाँ धुँधली होने लगती हैं
ज़्यादा उतरते ही
अपनी ही परछाई विलीन हो जाती है
मैं लौटती हूँ उसी किनारे पर
जहाँ हँसी की नर्म थपकियाँ थीं
दोपहर की लंबाई
कभी किसी बोली में सिमट जाती थी
अब जल शांत है
पर उसके भीतर घूमती है
एक पुरानी आहट
जो तुम्हारा नाम नहीं जानती
पर उसे पुकारना अब भी नहीं भूलती।
कभी किसी टूटी हुई कंघी के दाँतों में अटका होता है
कोई अनसुना नाम
जो बालों में उलझ कर सपनों की गाँठें बाँध देता है
वह नाम किसी अधलिखी चिट्ठी जैसा है
जो मन की दीवार पर हाथ रख
एड़ियाँ उठा-उठा कर पुकारा जाता है
हम कहते नहीं
पर वह उँगली की हर छुअन में दोहराया जाता है
प्रेम टटोलता है उन स्पर्शों को
जो कभी घटे ही नहीं।
जो कहा गया,
किसी घाटी में गिर पड़ी आवाज़ की तरह चक्कर लगाते
लौटता है
पहाड़ों पर जमा होती रहती हैं मनुहारें
अधूरे शब्द संकेतों में रिसते हैं
दूर किसी सूनी रात में
किसी और की साँसों में धीमे-धीमे गूँज उठते हैं
कोई पुकार देर तक ठिठकी रहती है
कभी धीमे से लौट आती है परिचित क़दमों की आहट में
हर उच्चरित स्वर कभी अनसुना नहीं होता
हर प्रश्न उत्तर की प्रतीक्षा में भटकता रहता है
किसी अदृश्य अनुगूंज में।
कोई नाम जंग खाए सिक्के पर खुदा रह जाता है
या पुरानी डाक टिकटों पर चिपका किसी अजनबी देश का अतीत
वे कभी नहीं आते वापस
पर महसूस किए जा सकते हैं
डोरबेल बजे और देहरी पर कोई न मिले
तो मन के हाथ सबके दरवाजे थपथपा आते हैं
समय की चिट्ठियाँ फड़फड़ाती रहती हैं बंद घरों में
उनके मायने बचे रहते हैं
जरूरतें ही खत्म हो जाती हैं।
ओस की बूँद
किसी अँधेरे पत्ते पर सुबह का इंतज़ार करती है
वह जानती है कि उजाले से उसका क्षय होगा
फिर भी ठहरी रहती है प्रतीक्षा के मोल में
जैसे कोई स्मरण अपने मिट जाने से पहले
संपूर्ण होना चाहता हो
हर बूँद में छिपा है एक असंभव क्षण
जो घटा नहीं
पर जिसके घटित होने की संभावना ने हमें जीवित रखा।
jo ghat gaya
wo chhutta nahin hai sachmuch
ekaant ki kisi gunjlak mein
apne hi pratibimb ko dekhta
kuch der thahra rahta hai chupchap
kshnon ki dhool ke niche dabi rahti hai
wo galti
jise hamne naam dena chhoD diya
koi gali suni ab bhi
apne bhare hone ki kamna mein
har saanjh ko ginti hai
wo godhuli
jo chaukhat par adhmundi ankhon ki tarah rakhi thi
vaisi hi paDi hai rangon ki chup men
ardhavismrit sparsh
divar par pani ki parchhaiyon sa kanpta hai
jaise kisi sunsan ghaat par kai adhure snaan thahre rahte hain
aur lahren unhen chhu kar gili hoti rahti hain.
dhoop kamre mein utarti hai
par kisi kon ko nahin chunti
divar par rukti hai phir bina sanket laut jati hai
kabhi thaharti hai
jaise pherti ho sumarni kisi aise ki
jo ab keval naam mein shesh hai
bhitar ki chhayayen uske saath khisakti jati hain
kisi purane guldan par thahri drishti
ab bhi usi disha mein jami hai
jahan se lautna nahin hua tha
kuch ahten paanv nahin rakhtin
ve jhuki hui kamizon men
ya anidra se thake takiye ki salavton men
apna rah jana chunti hain
dhoop har din kuch kahti hai
par uske vakya
kabhi pure nahin hote
jaise vismran se theek pahle
likha gaya koi adhura uchcharan.
panghat par paanv Dubo dena
bas vahin tak
jahan tak jal tumhein pahchanta ho
uske baad chhaviyan dhundhli hone lagti hain
zyada utarte hi
apni hi parchhai vilin ho jati hai
main lautti hoon usi kinare par
jahan hansi ki narm thapkiyan theen
dopahar ki lambai
kabhi kisi boli mein simat jati thi
ab jal shaant hai
par uske bhitar ghumti hai
ek purani aahat
jo tumhara naam nahin janti
par use pukarna ab bhi nahin bhulti.
kabhi kisi tuti hui kanghi ke danton mein atka hota hai
koi ansuna naam
jo balon mein ulajh kar sapnon ki ganthen baandh deta hai
wo naam kisi adhalikhi chitthi jaisa hai
jo man ki divar par haath rakh
eDiyan utha utha kar pukara jata hai
hum kahte nahin
par wo ungli ki har chhuan mein dohraya jata hai
prem tatolta hai un sparshon ko
jo kabhi ghate hi nahin.
jo kaha gaya,
kisi ghati mein gir paDi avaz ki tarah chakkar lagate
lautta hai
pahaDon par jama hoti rahti hain manuharen
adhure shabd sanketon mein riste hain
door kisi suni raat mein
kisi aur ki sanson mein dhime dhime goonj uthte hain
koi pukar der tak thithki rahti hai
kabhi dhime se laut aati hai parichit qadmon ki aahat men
har uchcharit svar kabhi ansuna nahin hota
har parashn uttar ki prtiksha mein bhatakta rahta hai
kisi adrishya anugunj mein.
koi naam jang khaye sikke par khuda rah jata hai
ya purani Daak tikton par chipka kisi ajnabi desh ka atit
ve kabhi nahin aate vapas
par mahsus kiye ja sakte hain
Dorbel baje aur dehri par koi na mile
to man ke haath sabke darvaje thapthapa aate hain
samay ki chitthiyan phaDaphDati rahti hain band gharon mein
unke mayne bache rahte hain
jarurten hi khatm ho jati hain.
os ki boond
kisi andhere patte par subah ka intzaar karti hai
wo janti hai ki ujale se uska kshay hoga
phir bhi thahri rahti hai prtiksha ke mol men
jaise koi smran apne mit jane se pahle
sampurn hona chahta ho
har boond mein chhipa hai ek asambhav kshan
jo ghata nahin
par jiske ghatit hone ki sambhavna ne hamein jivit rakha.
jo ghat gaya
wo chhutta nahin hai sachmuch
ekaant ki kisi gunjlak mein
apne hi pratibimb ko dekhta
kuch der thahra rahta hai chupchap
kshnon ki dhool ke niche dabi rahti hai
wo galti
jise hamne naam dena chhoD diya
koi gali suni ab bhi
apne bhare hone ki kamna mein
har saanjh ko ginti hai
wo godhuli
jo chaukhat par adhmundi ankhon ki tarah rakhi thi
vaisi hi paDi hai rangon ki chup men
ardhavismrit sparsh
divar par pani ki parchhaiyon sa kanpta hai
jaise kisi sunsan ghaat par kai adhure snaan thahre rahte hain
aur lahren unhen chhu kar gili hoti rahti hain.
dhoop kamre mein utarti hai
par kisi kon ko nahin chunti
divar par rukti hai phir bina sanket laut jati hai
kabhi thaharti hai
jaise pherti ho sumarni kisi aise ki
jo ab keval naam mein shesh hai
bhitar ki chhayayen uske saath khisakti jati hain
kisi purane guldan par thahri drishti
ab bhi usi disha mein jami hai
jahan se lautna nahin hua tha
kuch ahten paanv nahin rakhtin
ve jhuki hui kamizon men
ya anidra se thake takiye ki salavton men
apna rah jana chunti hain
dhoop har din kuch kahti hai
par uske vakya
kabhi pure nahin hote
jaise vismran se theek pahle
likha gaya koi adhura uchcharan.
panghat par paanv Dubo dena
bas vahin tak
jahan tak jal tumhein pahchanta ho
uske baad chhaviyan dhundhli hone lagti hain
zyada utarte hi
apni hi parchhai vilin ho jati hai
main lautti hoon usi kinare par
jahan hansi ki narm thapkiyan theen
dopahar ki lambai
kabhi kisi boli mein simat jati thi
ab jal shaant hai
par uske bhitar ghumti hai
ek purani aahat
jo tumhara naam nahin janti
par use pukarna ab bhi nahin bhulti.
kabhi kisi tuti hui kanghi ke danton mein atka hota hai
koi ansuna naam
jo balon mein ulajh kar sapnon ki ganthen baandh deta hai
wo naam kisi adhalikhi chitthi jaisa hai
jo man ki divar par haath rakh
eDiyan utha utha kar pukara jata hai
hum kahte nahin
par wo ungli ki har chhuan mein dohraya jata hai
prem tatolta hai un sparshon ko
jo kabhi ghate hi nahin.
jo kaha gaya,
kisi ghati mein gir paDi avaz ki tarah chakkar lagate
lautta hai
pahaDon par jama hoti rahti hain manuharen
adhure shabd sanketon mein riste hain
door kisi suni raat mein
kisi aur ki sanson mein dhime dhime goonj uthte hain
koi pukar der tak thithki rahti hai
kabhi dhime se laut aati hai parichit qadmon ki aahat men
har uchcharit svar kabhi ansuna nahin hota
har parashn uttar ki prtiksha mein bhatakta rahta hai
kisi adrishya anugunj mein.
koi naam jang khaye sikke par khuda rah jata hai
ya purani Daak tikton par chipka kisi ajnabi desh ka atit
ve kabhi nahin aate vapas
par mahsus kiye ja sakte hain
Dorbel baje aur dehri par koi na mile
to man ke haath sabke darvaje thapthapa aate hain
samay ki chitthiyan phaDaphDati rahti hain band gharon mein
unke mayne bache rahte hain
jarurten hi khatm ho jati hain.
os ki boond
kisi andhere patte par subah ka intzaar karti hai
wo janti hai ki ujale se uska kshay hoga
phir bhi thahri rahti hai prtiksha ke mol men
jaise koi smran apne mit jane se pahle
sampurn hona chahta ho
har boond mein chhipa hai ek asambhav kshan
jo ghata nahin
par jiske ghatit hone ki sambhavna ne hamein jivit rakha.
स्रोत :
रचनाकार : दीप्ति कुशवाह
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.