पैरों में पड़ी है
श्रमण धर्म की ज़ंजीरें
और समझदार लोग
चाहते हैं कि हम दौड़ें और
ज़माने की दौड़ में आगे निकल जाएँ।
हमारी भुजाओं को काट कर
वे उम्मीद रखते हैं—
हम भविष्य मे सुंदर मंदिर की सर्जना करें
और वे अपनी टकसाली लक्ष्मी प्रतिमा की
स्थापना करें।
हमारी कनपटी पर वे हमेशा करते हैं
अपने अधिकारी हथौड़े की चोट
और हुक्म देते हैं—
हम उनकी मौज के लिए
मुनाफ़े की योजनाएँ बनाते हुए
पूरे होते रहें और मरते रहें।
कैसे हैं वे अयोग्य निर्बल किंतु धनबल वाले लोग
जो हमारी हत्याएँ कर हमारे मुर्दों से माँग करते हैं—
हम जीवित बलवान
अक्लमंद मनुष्य की भाँति
उनके काम साजें और साजते रहें।
सोने की डोरियों के सहारे
कठपुतलियों की भाँति
शवों को उछाल-उछाल कर
दर्शन करते हैं मदारी बने हुए
वे शवों को नृत्य करवाने वाले।
मौत मार खाकर भी
कठपुतलियाँ बनने के बाद भी
हमारे चेहरों पर पसरी मुस्कुराहट
लोप नहीं होगी, जिसको देखकर
उनके दिन तो क्या? रात भी नहीं कटेगी।
बेचैनी बेचारी बढ़ती है, पर घटती नहीं।
pairon mein paDi hai
shramn dharm ki zanjiren
aur samajhdar log
chahte hain ki hum dauDen aur
zamane ki dauD mein aage nikal jayen.
hamari bhujaon ko katkar
ve ummid rakhte hain—
hum bhavishya mae sundar mandir ki sarjana karen
aur ve apni taksali lakshmi pratima ki
sthapana karen.
hamari kanpati par ve hamesha karte hain
apne adhikari hathauDe ki chot
aur hukm dete hain—
hum unki mauj ke liye
munafe ki yojnayen banate hue
pure hote rahen aur marte rahen.
kaise hain ve ayogya nirbal kintu dhanbal vale log
jo hamari hatyayen kar hamare murdon se maang karte hain—
hum jivit balvan
aklamand manushya ki bhanti
unke kaam sajen aur sajte rahen.
sone ki Doriyon ke sahare
kathaputaliyon ki bhanti
shavon ko uchhaal uchhalkar
darshan karte hain madari bane hue
ve shavon ko nrity karvane vale.
maut maar khakar bhi
kathaputaliyan banne ke baad bhi
hamare chehron par pasri muskurahat
lop nahin hogi, jisko dekhkar
unke din to kyaa? raat bhi nahin kategi.
bechaini bechari baDhti hai, par ghatti nahin.
pairon mein paDi hai
shramn dharm ki zanjiren
aur samajhdar log
chahte hain ki hum dauDen aur
zamane ki dauD mein aage nikal jayen.
hamari bhujaon ko katkar
ve ummid rakhte hain—
hum bhavishya mae sundar mandir ki sarjana karen
aur ve apni taksali lakshmi pratima ki
sthapana karen.
hamari kanpati par ve hamesha karte hain
apne adhikari hathauDe ki chot
aur hukm dete hain—
hum unki mauj ke liye
munafe ki yojnayen banate hue
pure hote rahen aur marte rahen.
kaise hain ve ayogya nirbal kintu dhanbal vale log
jo hamari hatyayen kar hamare murdon se maang karte hain—
hum jivit balvan
aklamand manushya ki bhanti
unke kaam sajen aur sajte rahen.
sone ki Doriyon ke sahare
kathaputaliyon ki bhanti
shavon ko uchhaal uchhalkar
darshan karte hain madari bane hue
ve shavon ko nrity karvane vale.
maut maar khakar bhi
kathaputaliyan banne ke baad bhi
hamare chehron par pasri muskurahat
lop nahin hogi, jisko dekhkar
unke din to kyaa? raat bhi nahin kategi.
bechaini bechari baDhti hai, par ghatti nahin.
स्रोत :
पुस्तक : सदानीरा
संपादक : अविनाश मिश्र
रचनाकार : पारस अरोड़ा
प्रकाशन : सदानीरा पत्रिका
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.