वो पुरुष आज़ाद ख़याल है—
मगर एक शर्त है।
वो है तरफ़दार
महिलाओं के उड़ान भरने का,
आकाश तलक़ परवाज़ का—
मगर एक शर्त है।
वो नुमाइंदा है
औरत की तरक़्क़ी का।
हाँ, वो पुरुष आज़ाद ख़याल है—
मगर एक शर्त है।
आसमान पर दायरों के निशान
वो लगाएगा,
पंखों पर क़ायदों के वज़न का
फ़ैसला उसका होगा।
आग़ाज़ का परचम
उसके हाथ होगा,
पैमाने के हाशिए
वो खींचेगा।
ख़्वाहिशों की लगाम
उसकी उँगली में होगी।
वो पुरुष आज़ाद ख़याल है—
मगर एक शर्त है।
बुलंदी पर ठहरने का
वक़्त वही तय करेगा।
उसकी मर्ज़ियों का हो
तौर-ए-सफ़र,
और उसके मुताबिक़
हद-ए-मंज़िल।
हिदायतों से
वो तआरुफ़ कराएगा,
उसकी दिखाई रहगुज़र पर
मंज़ूरी की मुहर के बाद
बराबरी की
वो वकालत करेगा।
औरत को सोचना कितना है—
वो सोचेगा।
उसकी इजाज़त से
रंग भरे जाएँगे सपनों में।
वो चुनेगा
जनाने क़दमों के फ़ासले।
क़ाबिलियत की गठरी लिए
वो आज़ाद महिला
हलक में घुटन का धुआँ भरकर
दहलीज़ पर खड़ी है—
आज़ादी की अर्ज़ी लिए।
वो आदमी तो
आज़ाद ख़याल है—
मगर
एक शर्त है।
wo purush azad khayal hai—
magar ek shart hai.
wo hai tarafdar
mahilaon ke uDaan bharne ka,
akash talaq parvaz ka—
magar ek shart hai.
wo numainda hai
aurat ki taraqqi ka.
haan, wo purush azad khayal hai—
magar ek shart hai.
asman par dayron ke nishan
wo lagayega,
pankhon par qaydon ke vazan ka
faisla uska hoga.
aghaz ka parcham
uske haath hoga,
paimane ke hashiye
wo khinchega.
khvahishon ki lagam
uski ungli mein hogi.
wo purush azad khayal hai—
magar ek shart hai.
bulandi par thaharne ka
vaqt vahi tay karega.
uski marziyon ka ho
taur e safar,
aur uske mutabiq
had e manzil.
hidayton se
wo taaruf karayega,
uski dikhai rahguzar par
manzuri ki muhr ke baad
barabari ki
wo vakalat karega.
aurat ko sochna kitna hai—
wo sochega.
uski ijazat se
rang bhare jayenge sapnon mein.
wo chunega
janane qadmon ke fasle.
qabiliyat ki gathri liye
wo azad mahila
halak mein ghutan ka dhuan bharkar
dahliz par khaDi hai—
azadi ki arzi liye.
wo adami to
azad khayal hai—
magar
ek shart hai.
wo purush azad khayal hai—
magar ek shart hai.
wo hai tarafdar
mahilaon ke uDaan bharne ka,
akash talaq parvaz ka—
magar ek shart hai.
wo numainda hai
aurat ki taraqqi ka.
haan, wo purush azad khayal hai—
magar ek shart hai.
asman par dayron ke nishan
wo lagayega,
pankhon par qaydon ke vazan ka
faisla uska hoga.
aghaz ka parcham
uske haath hoga,
paimane ke hashiye
wo khinchega.
khvahishon ki lagam
uski ungli mein hogi.
wo purush azad khayal hai—
magar ek shart hai.
bulandi par thaharne ka
vaqt vahi tay karega.
uski marziyon ka ho
taur e safar,
aur uske mutabiq
had e manzil.
hidayton se
wo taaruf karayega,
uski dikhai rahguzar par
manzuri ki muhr ke baad
barabari ki
wo vakalat karega.
aurat ko sochna kitna hai—
wo sochega.
uski ijazat se
rang bhare jayenge sapnon mein.
wo chunega
janane qadmon ke fasle.
qabiliyat ki gathri liye
wo azad mahila
halak mein ghutan ka dhuan bharkar
dahliz par khaDi hai—
azadi ki arzi liye.
wo adami to
azad khayal hai—
magar
ek shart hai.
स्रोत :
रचनाकार : मधु चतुर्वेदी
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.