खेतों में गुड़ाई करते पैर
खदानों की खुदाई करते पैर
…इन पैरों की एड़ियाँ फट जाती हैं
एक वक़्त ऐसा भी आता है
जब एड़ियों के बीच गहरी दरारें साफ़ दिखाई देती हैं
इन दरारों में दबी होती हैं मन की पीड़ाएँ
इन दरारों में सुबकती हैं मज़बूरियाँ
ये दरारें आए दिन दर्द से चीखती हैं
लेकिन पैर इनके दर्द को अनसुना कर देते हैं
और हर दिन अपने सफ़र पर निकल पड़ते हैं
वे महज़ दो वक़्त की रोतो के जुगाड़ के लिए
दिन-दिन भर भटकते रहते हैं
एड़ियाँ पैरों से झगड़ती हैं
चीखती हैं—चिल्लाती हैं
उनका तर्क है कि वे रोटियाँ नहीं खाती हैं
रोटियों के लिए फिर वो क्यों खटकते हैं
भटकते हैं साल के चारों मास, मास के हर दिन
दिन के हर पहर उन्हें केवल एक ही चिंता सताती है
कहाँ से और कैसे आएँगी रोटियाँ
जब-जब फटी एड़ियाँ बगावत को कड़ी होती हैं
पेट की ऐठन उनसे मिन्नते करती है
एडियों की दरारों का घाव और उनमें भरा मवाद,
पेट की ऐठन के की असहनीय पीड़ा के सामने छोटे लगते हैं
और फटी एड़ियाँ फिर से ख़ुद को कष्ट दें के लिए तैयार कर लेती हैं
kheton mein guDai karte pair
khadanon ki khudai karte pair
…in pairon ki eDiyan phat jati hain
ek vaqt aisa bhi aata hai
jab eDiyon ke beech gahri dararen saaf dikhai deti hain
in dararon mein dabi hoti hain man ki piDayen
in dararon mein subakti hain mazburiyan
ye dararen aaye din dard se chikhti hain
lekin pair inke dard ko ansuna kar dete hain
aur har din apne safar par nikal paDte hain
ve mahz do vaqt ki roto ke jugaD ke liye
din din bhar bhatakte rahte hain
eDiyan pairon se jhagaDti hain
chikhti hain—chillati hain
unka tark hai ki ve rotiyan nahin khati hain
rotiyon ke liye phir wo kyon khatakte hain
bhatakte hain saal ke charon maas, maas ke har din
din ke har pahar unhen keval ek hi chinta satati hai
kahan se aur kaise ayengi rotiyan
jab jab phati eDiyan bagavat ko kaDi hoti hain
pet ki aithan unse minnte karti hai
eDiyon ki dararon ka ghaav aur unmen bhara mavad,
pet ki aithan ke ki asahniy piDa ke samne chhote lagte hain
aur phati eDiyan phir se khud ko kasht den ke liye taiyar kar leti hain

स्रोत :
रचनाकार : श्रेया शिवमूर्ति
प्रकाशन : हिन्दवी के लिए लेखक द्वारा चयनित
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.